Meri Bahu Aisi Nahi
Mujhe to lagata hai naved kisi bahut khoobsurat ladki se shadi karega. rubina ne rai di.
"ismie kya shaq hai. usse karni bi chahiye , jo khud itna smart welldressed aur handsome ho uske saath koi aam si ladki kya suit kareagi." Nazia ke lafaz mie ek gurur tha. Baat kartey waqt ussne apni patli lambi gardan ko uncha kar ke akkad lia tha.
"Ab aisa bhi wah sahjada nahi ki uske saath Bas aalmaara ya hur bano type ladki hi janche."
Imran ko jaise apni bahno se ise tarah ki baat ki ummid nahi thi. aur waise bi wah apne aap ko hamesa naved se jaida khoobsurat aur smart manta tha. Ab ye alag baat ki baaki ki saari toli uske ise khayal par khoob khoob hoot karti aur sarminda karne ki kosis karti kyun ki sabki rai yahi thi ki khandan ka sabse khoobsurat nawjawan naved hi hai.
waise ise khandan ko ,.'a ne khoobsurti ki daulat dil khol ke ata ki thi. ladkiyon se jaida ladke khoobsurat the.ek baar to unki family mien aane wala banda hairan rah jata tha ki kisko pehla number de.
"Tum kyun jealous ho rahe ho? Naved bhai to jai hi aise ki khoobsurat se khoobsurat ladki unke saath chalne mie fakhr karegi. Har mehfil mie chaa jate hai woh." Lubana ke lahje mie bhai ke lia tarif hi tarif hi thi.
"han tum tarif nahi karogi to kaun karega." kamran ne bi baatchit mien hissa lete huey apni maujudgi ka ehsas karaya.
"ji nahi, yeh mien hi nahi meri sari friends ke alawa khandan ki har ladki ki rai hai. aur jis ladki ka naam unke saath jude jayega wah apne aap ko duniya ki khuskismat ladki samjhegi.
Lubana ki baat galat na thi. Naved ki ummidwar khandhan ki har ladki thi. sabke dil naved ke naam par dhadkte the. naved khoobsurat ke saath saath kafi jahin bi tha. Teen bahno ka eklauta bhai tha. Ek bahut badi jaiydad ka akela waris. ladkiyan ke maa baap ki nazro mie woh ke hira tha.
"waise mera khayal hai naved bhai khandan ki hi kisi ladki se shadi karangay. Khandan mie ek se ek khoobsurat ladki maujood hai" Lubana se choti hiba ko suru se apni bhabhi ke roop mie nadia pasand thi.
smart , nili ankhion wali nadia usse bahut acchi lagti thi. chacha ki beti thi. woh log bi chahte the . sayed yahi baat thi ki nadia jiski aamtour par kisi se kam bana karti, hiba se khoob dosti thi.
Hiba ki baat par nadia muskura di. naved usmie uski dilchaspi kisi dhapi chupi baat nai thi. naved ko bi pata tha ki nadia ussmie gehri dilchaspi rakhti hai.usse dekh kar uski ankhion mie chamak aati, hontion par muskrahat bikharti to bahut se raazo se parda khud ba khud uthne lagta. Magar naved jantey huey bi anjaan banne ki adadkari karta tha.
Woh sab saath rehte the. Naved ke papa chacha aur taaya bahar se darwaja ek tha magar andar sabke hisse alag alag the. koi kisi se alag na tha magar kisi pe sawar bi na tha.pure gharane mie mohabbat, khulas aur ristion ke pyar ki mehak rachi basi thi.
USKE taaya iqbal ahmed apni begam nusrat jehan apne do beto kamran aur jishan aur do betiyan sahnaz aur lubana ghar kr magrib hisse mie rehte the.
Chacha apni begam sazia begum apni do betiyon naadia aur rubina ke saathapne do beto imran aur arsalan ke saath masrik hisse mie rehte the...dono ke bich wala hissa unka tha. janha naved apne papa apni teen ladkiyon aur iklauta ladka naved ke saath rehte the.
Saari nawjawan party sham ko ghar ke lawn mien jama ho jati. Rijwan aur Reshma bhi aajate. Yeh naadia ke Khalajaad the. qarib hi inka ghar tha.
Ab bi jab sabke bich naved ki shaadi ka masala discuss ho raha tha. naved wanha na tha. lekin rizwan aur reshma ke aane se mehfil ki raunak badh gai thi.
"ab naved aisa koi sehzada nahi ki hum usse par discuss kartey apna waqt barbad kartey rahe."
pre khandan mie bas reshma hi thi jisse naved mie koi dilchaspi na thi ya woh aisa jaahir karti thi.
hallanki lubaana ka khyal tha ki reshma aati hi naved ke lia hai islia uska yun banna kisi ko pasand na aata. hiba to usse bahut chidti thi.
"ur sehzade kaise hotey hai? waise reshma ! mujhe pura yakin hai naved ko dekh kar tumhari aankhion mie chamak aa jati hai.Rubina ne uske bhai ke parwah kia bina hi bol dala.
ek lamhe ke lia reshama sakpaka gai. Chahe kitni bi advance family thi ,kitni bi dosti thi magar ise tarh ki baaten bhai ke saamne. gusse se reshma ki gori rangat lal pad gai---bakwas....mie ise tarah ki khrafat mie padne wali ladki nai aur na mujhe jarurat hai kisi ke khatir aankhion mie chamak lane ki . yeh jimmadari mere maa baap ki hai , wahi mere lia faisla karngay.mujhe kya jarurat hai ki mien apne lia parasan hun. ussne gusse mie apne bhai ki maujudgi ki wajah se jaanbujhkar kar aisi baat kahi thi.
uski baat par nadia khol gai. Maze ki baat yeh thi ki reshma naadia ki khalajaad thi. jaahir hai woh usi ke wajah se yanha aati thi magar unmie ek pal nahi banti thi.nadia kuch kehti to reshma ko lagta yeh baat ye baat khas tour se usse par kahi gai hai . aur reshma baat karti to naadia ke patange lag jaate , jaise usse waqt lage the.
" tumhara kya khayal hai baaki sabne yeh muamala apne hation mie le rakha hai. hum sab kya apni marziyan se shadi karengay ? naved hamara cousins hai aur hum sabse bada bi.islia uske baare mie baat ho jaati hai kyunki taai amma ab uski shadi karna chahti hai " . nadia ne kaha.
Reshma jo sayed naadia se samjhota na karti , ise baat par chok padi -"accha shadi ka israda hai. kab kisse? ? tum batao lubana!" woh naved ki bahan thi wahi sahi baat bata sakti thi.
"kiske saath , iski khabaer nai . dekho lottary kiske naam ki nikalti hai. ho sakta hai tumhara naam hi nikal aaye."lubana ne sararat se uske kaan mie kaha .
Lubana ke baat par ne Reshma ne dikhawe ko muh banya . usse ghur ke dekha magar uska dil dhadak gaya tha . dhadkan kahe rahi thi , khuda tumhari juban mubarak kare...
"koi aur bi ho sakti hai.yeh to qismat ki baat hai." lubana ne baat jaari rakhi- "kab hogi , iske baare mie kuch pata nahi hai. abhi to ammi ne irada jaahir kia hai."
"mene ammi ko mashwara dia hai." hiba boli
"kya" nadia boli.
"mine ammi se kaha tayarri aapne suru kar di magar ladki abhi pasand nai ki. fir yun kartey hai ki dus jodi naadia aapa ke pasand ke dus sahnaz aur reshma aapa ke pasand ke ho to dus dus unki pasand ke banwa lete hai. teeno mie se jiske naam lottary nikli woh ek dusre ke pasand ke kapde pehne. waise agar koi chauthi ladki hui to jab woh aapki pasand ke kapde pehen kar dikhaya karegi to aap bi dekh dekh kar khus hona."lubana ke lahje mie sararat thi.
uski baat par teeno muskuradi aur dua karne lagi lottory unke naam hi nikley.
********************************
"hello bhaikya ho raha hai? yaar! yeh jishan kanha hai? nazar nahi aa raha. kal bhi nahi na tha. kanha rahata hai? uske bina maza nahi aata ." naved aaya to aate hi mehfil pe cha gaya tha. sab uski taraf dekh rahe the.
"humie to aapke bina maza nahi aata bhai!" saba ne sarrei ladkiyon ka lafaz ki zuban di.
l" lo ji hum aagaye" zeeshan bhi ekdam aa gaya.
" bhai pata hao abhi hum sab appki shadi ki baat kar rahe the. " saba choti thi magar baat hazam na hoti thi usse. har ek ko taza khabar sunana uska masgala tha.
"accha?" naved ne barri barri sokhi se sabki taraf dekha. nadaia ne nazar jhuka li.
"aur hum sabka khayal hai aap kisi bahut khubsurat ladki se shadi karenge.waise suit bi koi hasseen ladki hi karegi aapko " woh boli.
"kyun pure khandan mie ek hi gulfam hai? kisi dusre ke saath haseen ladki suit nahi kar sakti?" zeesan ne narazgi se bahno aur cousins ko dekha.
"kam se kam tumhare saath to bilkul nahi.tumhare saath to kisi khoobsurat ladki ko dekh kar log yahi kahangay hur langoor ki jodi . aur hum tumhari ye tauhin bardasht nahi kar sakte" arsalan ne cheda.
"accha to fir kaunsi tauhin bardasht kar sakte hai?" jishan ko uske baat par gussa to bahut aaya magar jabt kar gaya.
"isse se bi koi badi" arsalan bola.
isse pehle ki un dono ke bich muamla bade ke naved ne hath utha dia --"mujhe ek baat samajh nai aati ki tum sabko meri shadi se itni dilchaspi kyun hai?"
"aji hum sabko hi nai , ghar ke bujorgo ko bi hai. islia ki aap bade hai.taalim puri kar chuke hai , karobar mie lage huey hai. ab shadi hi baaki rahe gai hai." imran ne kaha.
zeesan abi bi arsalan ko ghoor raha tha.
"thik hai to jaise sabki hoti hai meri bi shadi hojayegi . usse par itna discuss karne ki kya jarrurat hai." woh ulajh gaya.
"masala to tumne khud banaya hua hai . tum aaram se bata do kisse shadi karoge ? baat khatam". nadia ne kaha .
:accha ." naved ne usse gaur se dekha. jaidatar lago ko yahi ummid thi naved nadia ko pasand karega . nadia ko 100% yakin tha. halaki ghar mie ummidwar aur bi the. khasakar reshama .
"zahir hai shadi to kisi ladki se hi karunga . aur sayed khandan mie hi ..waise mine abhi isse bare mie gaur nai kia hai. agar aap sab logo ki rai hai to aaj se hi se gaur karna suru kar deta hun . jald hi aapko meri pasand ka pata chal jayega . naved ki baat ne kai ke dil mie khushi ke rang bhar dia....
******************************************************************