Posts: 861
Threads: 10
Likes Received: 910 in 724 posts
Likes Given: 58
Joined: Nov 2019
Reputation:
6
Update 1
"Doc woh theekh tu ho jaye ge na" ... Us
shakhs ke awaj main khof aur umeed saaf
mehsoos ke ja sakte the
"Dekhain abhi kuch kahna kafi mushkil ha,
jab tak pehle surgery nahi ho jate, main
vishwas ke sath kuch bhi nahi kah sakta,
gardan ke neechay ka sharir kafe bure
tarhan jhulas chuka ha, han etna jaroor kah
sakta hon ke, we will try our best" ... Mumbai
ke aik jane mane hospital ke Burn Ward ke
head Doc.Rajesh ne apne samne bethe us
shakhs ko tasali daite huwe kaha, jo pichle 1
ghante main un se ye sawal 10 se bhi jyada
baar pooch chuka tha
"Doc main use duniya ke bare se bare
hospital lay jane ko tyaar hon, agar yahan
pe surgery theekh tarhan nahi ho sakte tu
please ap muje bataye main charter plan pe
use Europe, America kahin bhi lay ja sakta
hon" ... Us shakh ne betabi se kaha
"Main apko pehle bhi es sawal ka jawab de
chuka hon ke humara hospital India ke
chand behtreen hospitals main se aik ha aur
humare paas jane mane burn specialists bhi
hain, jo india main he nahi duniya main bhi
naam rakhte hain, jo treatment hum karan
ge wohe duniya ke kise bare hospital main
hoga, aise main patient ko bahar lay ke jane
ka faida nahi aur waise bhi unke jo halat ha
aise samay main operation main dair karna
,,khatre se khali nahi ha" ... Doc.Rajesh ne aik
baar fir se tafseel se use samjhaya
"Ok Doc, muje apke baat pe vishwas ha,
main bus apne tasali karna chah raha tha" ...
Us shakhs ne es bar thake thake se lahze
main kaha
"Ap chinta mat kijiye, bhagwan pe bharosa
rakhye, humain operation main jaroor
safalta milay ge" ...
"Bhagwan kabhi mere bharose pe pura nahi
utra Doc" ... Ab ke baar us shakhs ke chahre
pe aik takleef dah muskurahat the
"Main samajhta hon aise halat main ensan
ka har cheez se bharosa uth jata ha" ...
Doc.Rajesh ne aik baar fir se use tasali
daine ke koshish ke
"Ye kuch papers hain jin pe apko sign karne
hain" ... Doc.Rajesh ne apne drawer se kuch
paperz nikal kar us shakhs ke samne rakh
dye, jinhain beghair padhe us shakhs ne un
per sign kar dye aur fir uth kar Doc.Rajesh
ke office se bahar jane laga
"Mr.Akshat, kya aap operation se pehle apne
patni se milna chahen ge ?" ... Doc.Rajesh
ne use kamre se bahar jate dekha tu woh
sawal pooch he lya jis ka shayad woh kafe
dair se entajar kar rahe the
"Nahi" ... Akshat ne unke baat ka buhut
chota sa jawab dya
"Main pooch sakta hon kyun? " ...
"Main use es halat main nahi dekh sakta" ...
Akshat ne unke baat ka jawab dya aur fir
unke office se bahar aa gaya
Woh unke office se nikal kar bahar car
parking main aa gaya, raat kafe beet chuki
the jis karaan hospital ke bahar logon ka
rush kafe kam tha, us ne bahar aa kar aik
lambi saans li aur apne jaib se cig ka pack
nikal kar aik cig jala li ke achanak aik awaj
uske kanon main goonj uthe
"Akshat mat pya kijiye cig, apko pata ha
muje kitne bure lagte ha cig aur kitna
nuqsan hota ha es se, sab jante hain aap fir
bhi baaj nahi ate cig peenay se, apke sehat
ke lye theekh nahi ha ye, apna nahi tu mera
he khayal kar lya kijiye, apne zindagi ke
dushman bane hain aur jante bhi hain ke
apke zindagi sirf apke nahi ha mere bhi ha"
Use laga jaise woh kahin aas paas he ho aur
use cig peeta dekh kar hamesha ke tarhan
us pe naraz ho rahe ho. Us ne honton main
dabaya huwa cig neechay faink kar apne
boot se masal dya aur samne bane canteen
main ja ke beth gaya, use coffee ke shadid
jaroorat mehsoos ho rahe the, us ne waiter
ko coffee lane ka kaha aur thode dair baad
waiter use coffee de ke chala gaya. Us ne
jaise he coffee ka pehla ghoont lya aik baar
se aik awaz uske aas paas goonj uthe
"Akshat ap bina cheeni ke coffee kaise pee
laite hain mujh se tu aik ghoont bhi nahi lya
jata, bina cheeni ke coffee aise he ha jaise
bina teekhay ke bhail poori"
Us se coffee ka ghoont gale se utarna
mushkil ho gaya, woh awaj ab bhi uske aas
paas he goonj rahe the
"Akshat agar apko raat ko coffee peeni hote
ha tu apne lye he banwaya karan muje kyun
jabardasti pila daite hain, khud tu coffee pee
kar maje se so jate hain aur main sare raat
neend ke entajar main karwatain laite rahte
hon, ainda main kabhi raat ko coffee nahi
pyon ge aur na aapko peenay don ge"
Use laga jaise ab woh kabhi coffee nahi pee
sake ga, uske ankhon se aik ansoo ka qatra
coffee ke cup main ja gira, us ne coffee
wahin table pe chor de aur bill ke paise rakh
kar canteen se bahar aa gaya. Us ne ghari
pe time dekhe operation shuru hone main 1
ghante bake tha, woh fir se hospital ke
ander aa gaya aur Doc.Rajesh ke office main
ja ke beth gaya, thode dair baad Doc.Rajesh
apne office main aye
"Operation bus kuch he dair main shuru ho
jaye ga, patient ko operation theater main
shift kar dya ha, ap yahin pe bethan ge ya
operation theater ke bahar entajar karan
ge??" ... Doc.Rajesh ne us se kaha
"Main operation theater ke bahar bethon ga"
... Akshat ne kaha aur fir thode dair baad
Doc.Rajesh aur woh dono office se bahar aa
gaye
"Bhagwan se prathna kijiye ga ke operation
saffal rahe, dawa ke sath duwa bhi jaroori
ha" ... Doc.Rajesh ne Akshat ke kandhe pe
hath rakhte huwe kaha aur fir operation
theater ke ander chale gaye, unke sath unke
sare team bhi operation theater ke ander ja
chuke the aur unke jate he operation theater
ke laal batti jal uthe
"Bhagwan ne mere baat sunana kab se chod
dya ha Doc" ... Akshat ne unke jate he jaise
khud se kaha
Operation shuru ho chuka tha, operation
theater ke ander aur bahar do ensan zindagi
aur mawt ke beech dol rahe the bus fark ye
tha ke operation theater ke ander woh larki
behoshi the aur bahar betha woh shaksh
hosh main tha, eske elawa dono ke halat
main koi fark na tha, dono ke zindagi aur
mawt ka faisla ane wale chand ghanton
main hone wala tha
Bichadte waqt un Ankhon main the humare
Ghazal
Ghazal bhi woh jo kise ko kabhi sunaye na
the
Ke Dhoop chayon ka aalam raha judai na the
Woh Humsafar tha, Woh Humsafar tha ... ________________________________
# baba main baba. Chodu baba
BaBa Main BaBa cHoDu BaBa....
.... Aa gya h. Waapis bhot pelenga ......
•
Posts: 861
Threads: 10
Likes Received: 910 in 724 posts
Likes Given: 58
Joined: Nov 2019
Reputation:
6
Update 2
"Akshat ap bolte kyun nahi?, Akshat please
kuch boliye apke khamoshi muje maar dale
ge, kuch tu kahiye please Akshat, ap jante
hain main aisa nahi kar sakte, kah dijiye en
se ke ye sab jhoot ha ap es sab pe vishwas
nahi karte, please Akshat boliye na enhe, ap
kuch kahte kyun nahi? "Woh door kahin khayalon main khoya huwa
tha ke achanak mobile ke ghanti use hosh
ke duniya main wapas lay aye, us ne
number dekh kar call pick kar le
"Hello, Rohit" ...
"Han abhi operation chal raha ha, lag bhag 2
ghante ho chuke hain" ....
"Nahi tum yahan mat ayo, tum wahan pe
sanbhalo waise bhi yahan ane ka koi faida
nahi, jab operation khatam hoga tu main
khud he tumhain phone kar don ga ya fir
tumhare taraf aa jayon ga" ...
"Han theekh ha tum fiker na karo aur Anjali
Bhabi ko bhi kaho ke woh pareshan na hon,
main operation khatam hote he tumhain
phone kar don ga" ...
Us ne ye kah kar phone band kar dya aur fir
se apne ghadi pe time dekha. Use lag raha
tha jaise waqt ruk gaya ha 60 seconds use
60 saal ke barabar lag rahe the. Use entajar
karna hamesha se bura lagta tha laiken us
ne kabhi socha na tha ke kabhi use aisa
entajar bhi karna pade ga jo har pal main
uske jaan lay ga,har gujarta minute ke sath
use lag raha tha jaise uske zindagi ke
sansain kam ho rahe hain, uska bus nahi
chal raha tha ke operation theater ke ander
chala jaye. Akhir 3 ghante ke takleef dah
entajar ke baad operation theater ka darwaja
khula aur Doc.Rajesh apne team ke sath
bahar ate dikhaye diye, woh enhain dekh ke
khada ho gaya uske chahre pe es waqt
aasha aur nirasha ke bhaav saaf dekhe ja
sakte the. Woh Doc.Rajesh ko aise dekh
raha tha jaise koi mujrim apne mawt ke saza
sunane wala ho
"Mubarak ho Mr.Akshat ye pehle jung tu
hum ne jeet li ha, operation saffal raha" ...
Doc.Rajesh ne jaise uske bejaan wajood
main zindagi ke rooh phoonk de the
"Doc" ... Akshat bus etna he kah saka
"Mr.Akshat maine kaha tha na bhagwan pe
bharosa rakhiye, abhi sahe halat tu humain
patiyan khulne ke baad he pata chale ge,
laiken muje pura vishwas ha ke agay bhi sab
theekh ho jaye ga, ap thode dair main mere
office aye ga ap se kuch batain karne hain"
... Doc.Rajesh ne dostana muskurahat se
kaha aur fir apne office ke taraf chale gaye
Akshat ne aik lambi saans li jaise woh
mehsoos karna chahta ho ke woh abhi zinda
ha. Operation ke safalta ka sun kar uske ruki
huwe sansain bahaal ho chuke thein. Us ne
washroom main ja ke apna chahra thande
pani se dhoya, us ne sheeshay main apne
aap ko dekha tu use lag raha tha jaise uske
sharir se kise ne sara khoon nichod lya ho
uska chahra bilkul peela pad raha tha. Us ne
pani se aik baar fir se apna chahra dhoya
aur pani ke sath uske ankhon se bahne wale
kaye ansoo bhi shamil the, akhir kafe dair
apne chahre ko dhone ke baad us ne apne
jaib se tissue nikal kar apna chahra saaf kya
aur Doc.Rajesh ke office main aa gaya
"Aaye Mr.Akshat bethiye, coffee peena
pasand karan ge aap?" ... Doc.Rajesh ne us
se poocha
"Ji jaroor laiken beghair cheeni ke" ... Woh
es sare samay main pehle baar muskuraya
tha aur uske baat sun kar Doc.Rajesh ne
phone per coffee ka order dya
"Mr.Akshat ap jante hain ke gardan se
neechay ka sharir kafe jhulas chuka ha,
khaas kar kamar abhi bilkul exact situation
tu batana sanbhav nahi woh tu 48 ghanton
ke baad he pata chale ge, laiken uske baad
bhi kam aj kam 1,2 mahine apke patni ko
yahin rahna hoga" ...
"Doc woh pure tarhan theekh tu ho jaye ge
na, ap nahi jante woh buhut kamjoor nerves
ke ha choti choti baat pe ronay lag jati ha
aur kahan etna bada hadsa" ... Akshat ke
awaj main bechani the
"Dekhiye Mr.Akshat ye jo surgery ha koi
jadoo nahi ha, dawai aur malham se sharir
pe lage ghaav tu samay ke sath gayab ho
jayen ge laiken mann pe lage ghaav bharne
main jyada samay lage ga, aise main aap ko
har qadam pe apne patni ka sath dena hoga,
ab unko apke jaroorat pehle se kaye jyada
ha"... Doc.Rajesh ne use tafseel se
samjhaya
"Main apke baat samajhta hon, laiken mere
lye use es takleef main dekhna buhut
mushkil ha" ...
"Apko himmat karna pade ge Mr.Akshat jitna
ap bahaduri ka saboot dain ge utne jald he
woh theekh ho jayen ge" ...
,,"Theekh ha Doc, i will try my best" ... Akshat
ne unke maganye huwe coffee ka akhri
ghoont bhara
"Ab aap chahen tu yahin pe araam kar sakte
hain ya fir ghar jana chahen tu ja sakte hain"
... Doc.Rajesh ne kaha
"Ji muje jana ha mera dost aur unke patni
bhi kafe chintak hain, unhain bhi batana ha
operation ke bare main" ... Akshat ne jawab
dya
"Ok Mr.Akshat" ... Doc.Rajesh ne apne kursi
se khade ho kar us se hath milaya aur woh
un se mil kar bahar car parking main aa
gaya wahan aa kar us ne aik baar fir se aik
gahra aur lamba saans lya aur apne gadi
main beth gaya, ab uske gadi taiji se Rohit
ke ghar ke taraf ja rahe the, jahan use kaye
sawalon ka jawab lena tha, woh sawal jo
pichle 10,12 ghanton se use tang kar rahe
the.
,
Baba main baba chodu baba
BaBa Main BaBa cHoDu BaBa....
.... Aa gya h. Waapis bhot pelenga ......
•
Posts: 861
Threads: 10
Likes Received: 910 in 724 posts
Likes Given: 58
Joined: Nov 2019
Reputation:
6
Update 3
"Kitna nuqsan huwa bulding ko?" ... Akshat
es samay Rohit ke ghar uske sath drawing
room main betha tha
"Etna jyada nahi huwa 7,8 kamre jale hain
aur kitchen jahan se aag lage the, fire
brigade walon ne aag pe qaboo pa lya tha,
waise bhi muje building ke chinta nahi the
woh insured ha"... Rohit ne jawab dya
"Aur tu koi nahi jala?" ... Akshat ne poocha
"Nahi etna jyada koi nahi jala bus thoda
buhut" ...
"Kuch pata chala aag lage kaise?" ... Askhat
ne poocha
"Han kitchen main gas cylinder phutne ke
waja se aag lage aur fir short circuit ho gaya
jiske waja se aag fail gaye" ... Rohit ne jawab
dya
"Akshat, I m very Sorry yaar, woh Ritika
Bhabi .... " ...
"Sorry ke jaroorat nahi Rohit, us main
tumhara tu koi qasoor nahi ha, es main kise
ka bhi qasoor nahi ha siwaye mere" ...
Askhat ke awaj main takleef saaf mehsoos
ke ja sakte the
Es se ke pehle Rohit kuch kahta uske patni
Anjani coffee lay kar aa gaye
"Thanks, Anjali Bhabi" ... Akshat ne coffee
ka cup un se laite huwe kaha
"Askhat bhai we are very sorry jo Ritika ke
sath huwa .... " ... Anjali ne kaha
"Sorry ke jaroorat nahi Anjali Bhabi, main
abhi Rohit se bhi yahe kah raha tha" ...
Akshat ne uske baat beech main he kaat di
"Muje bus ye samajh nahi aa rahe ke Ritika
pe woh khirki kaise gire" ... Akshat ne
ghambeer awaj main kaha
"Akshat Bhai, baat ye ha ke humare Old
Home main aik uncle hote hain Anand
Sahab, Ritika ka unke sath khaas lagav tha
woh kahte the ke use woh apne Papa Ji ke
yaad dilate hain, unke kamre ko bhi aag lag
gaye the, bake sab tu nikal aaye laiken woh
funs gaye aur unko bachane ke khatir Ritika
unke kamre main chale gaye, unhain tu woh
bahar lay aye laiken unke kamre ke khidki
toot ke us pe aa giri, Bhagwan ka shuker ha
ke Anand Sahab ne dimagh se kaam laite
huwe us pe apne chadar daal ke use bacha
lya aur bahar lay aaye" ... Anjali ne tafseel se
bataya
"Hmmm!, use adat ha apne siwa use sab ka
khayal hota ha use" ... Akshat ne thake
thake se lahze main kaha
"Anjali Bhabi kya apko pata tha ke Ritika
mere patni ha?" ... Akshat ne poocha
"Nahi, muje tu es baat ka bhi andaja nahi tha
ke aap Rohit ke dost hain" ... Anjali ne jawab
dya
"Han, Rohit aur main college ke jamane ke
dost hain, College ke baad main America
chala gaya padhne ke lye aur fir kafe arse
baad Rohit se New York main mulaqat huwe
jahan es ne bataya ke woh UNO main job
karta ha, fir India aane ke baad kaye baar
Rohit ne muje apne paas bulaya laiken main
chah kar bhi ap logon se milne na aa saka,
main tu kal apne business ke silsale main
Mumbai aaya tha ke etefaq se Rohit se
mulaqat ho gaye aur main yahan aa gaya" ...
Es baar Akshat ne tafseel se jawab dya
"Tab he tu ap se kabhi mulqat na ho sake" ...
Anjali ne jawab dya
"Tum ne Aunty ko bataya ha? "... Es baar
Rohit ne poocha
"Nahi yaar, woh apne check-up ke lye
America gaye huwe hain, aise samay main
unhain khabar karna majeed pareshan karne
wale baat ha unhain" ... Akshat ne jawab dya
"Ritika ke halat ab kaise ha?, main tu Rohit
se kah rahe the ke hospital chalan laiken
enhon ne kaha ke ap ne mana kar dya ha" ...
Anjali ne kaha
"Han maine he Rohit ko mana kya tha,
yahan pe bhi tu kise ko hona chahye tha sab
sanbhalne ke lye, aur waise bhi wahan tu
bus operation he hona tha,
Doc ka kahna he ke asal halat tu patiyan
khulne ke baad he pata chale ge laiken woh
hopeful ha ke Ritika theekh ho jaye ge" ...
Akshat ne jawab dya
"Anjali Bhabi, main sab kuch janana chahta
hon, apko kya kuch pata ha, Ritika yahan
kaise phunche, mere dimagh main kaye
sawal hain jin ka jawab muje nahi mil pa
raha" ... Akshat jo kafe dair se ye sawal
karna chahta tha akhir kaar pooch betha
"Akshat Bhai, Ritika ne kabhi muje tafseel
se kuch nahi bataya, main tu bus etna jante
hon ke uske pati ka naam Akshat ha uske
elawa us ne muje apke bare main aur kuch
nahi bataya, laiken maine us se kuch na
kuch fir bhi ugalwa lya tha, laiken main
chahte hon ke es se pehle ke main kuch
kahon, main apke moun se sare kahani
sunane chahte hon, agar apko aitraaj na ho
tu" ... Anjali ne jawab dya
Anjali ke baat sun kar Akshat ne lamba
saans lye jaise woh khud ko bolne ke lye
tyaar kar raha ho
"Theekh ha, main ap logon ko shuru se
batata hon, Ritika se mere mulaqat 5 saal
pehle huwe" ... Akshat apne zindagi ke
kitaab ke pannay khol ke padhne laga...
=chodu baba. Like kr do. Sb
BaBa Main BaBa cHoDu BaBa....
.... Aa gya h. Waapis bhot pelenga ......
•
Posts: 861
Threads: 10
Likes Received: 910 in 724 posts
Likes Given: 58
Joined: Nov 2019
Reputation:
6
Update 4
Garewal Group of Industries ka naam india
ke sath sath videsh main bhi aik jana mana
naam tha, laiken eske shuruwat aik choti se
leather industry se Dhanraj Garewal ne ke
the aur apne mehnat se esko kamyabi ke rah
pe lagaya, Dhanraj Garewal ke dihant ke
baad unke akolte betay Aditiya Garewal ne
eske baag-dor sanbhal li aur apne pita ke
tarhan din raat ke parwah kye beghair
mehnat ke laiken es sab main kab unke
jawani aye aur chale gaye ye unhain pata he
nahi chala aur jab unhain ehsaas huwa tu
kafe dair ho chuke the, aisa nahi tha ke woh
etne jyada budhe ho gaye the ke un se koi
ladki shadi na karti laiken woh chahte the ke
woh kise aise larki se shadi karen jo sirf
unke dawlat ke lye nahi balke un se pyaar
karte ho. Aise main unke mulaqat aik
University function main Rachna Desai se
huwe jo wahan pe MBA kar rahe the aur
Aditiya Garewal ko Rachna pehli he najar
main aaise baah gaye ke unhon ne use
propose kar dya. Rachna aik middle class
family se the laiken us main jo khaas baat
the woh uske sundarta the, aur use apne
sundarta ka andaja bhi tha aur middle class
family se hone ke bawajood us ne hamesha
bade bade khaab dekhe the, aik middle
class zindagi gujarna uska khaab kabhi na
tha aur aise main Aditiya Garewal ka
proposal tu jaise uske sapnon ko such
karne he aya tha aur us ne bina kise jhijak
ke apne se umer main 10,15 saal bare
Aditiya Garewal se shadi kar li.
Aditiya se shadi karne ke baad bajaye aik
housewife ban ke rahne ke Rachna ne
Aditiya ke sath office join kar lya aur fir
dono pati patni ne Garewal Industry ko
kamyabi ke naye bulandiyon per lay gaye,
apne pita ke tarhan Aditiya ko bhi bhagwan
ne aik he beta dya Akshat Garewal aur dono
pati patni ke jaan basi the us main laiken es
sukhi parivar ko us waqt dhajka laga jab
Akshat 12 saal ka tha aur tab aik plane crash
main Aditiya ke mawt ho gaye, Aditiya ke
mawt ke baad Rachna ne himmat nahi hari
aur Akshat ko boarding bhaij kar us ne apne
sare tawaju business pe laga de aur desh ke
sath videsh main bhi apne business ko faila
lya. Akshat ka college khatam hone ke baad
unhon ne use America agay padhne ke lye
bhaij dya aur khud business ko sanbhalte
rahen laiken un main aur Aditiya Garewal
main jo aik wajiya fark tha woh mizaaj ka
tha, Aditiya bade naram tabiyat aur dostana
kisam ke MD the laiken Rachna un se bilkul
ulat the, pure staff mian woh MADAM ke
naam se jani jate the aur kise ke majal nahi
the ke unke samne awaj nikal sake, woh
kaam ke mamle main had se jyada sakht
then.
Akshat jab apne padhai pure kar ke wapas
aaya tu apne mummy ke sath office join kar
lya, use office join kye huwe use 6,7 mahine
ho chuke the aur ab woh office main kafe
settle ho chuka tha, aj kal uske secretory ke
job ke lye interviews ho rahe the, jab woh
kise kaam se Mr.Gupta ke cabin main gaya
"Mr.Gupta woh kal Deevan Group ke file de
the maine apko study ke lye" ... Akshat ne
Mr.Gupta ke cabin main dakhil hote huwe
kaha
" Yes Sir, woh maine rakhe huwe bus ye
akhre candidate han interview ke uske baad
main us file ko study karta hon" ... Mr.Gupta,
Akshat ko apne cabin main dekh kar khade
ho gaye
"Acha, please jara jaldi kijiye ga, muje woh
file chahye" ... Woh unhain kah kar jaise he
mura, pehle baar us ne gor kya ke un dono
ke elawa bhi kamre main koi ha.
Table ke dusre aik ladki bethe the aur uske
bare main jo sab se pehle baat Akshat ne
note ke woh ye the ke woh had se jyada
nervous ha us ne chair ko dono hathon se
aise pakad rakha tha jaise agar us ne chair
ko choda tu woh bhag jaye ge. Akshat ab
use uper se neechay tak dekh raha tha, us
ladki ne pink color ka salwar kameez pehan
rakha tha, uske rangat bilkul doodh ke
tarhan sufaid the aur skin ke narmahat tu
use door se he mehsoos ho rahe the,us ne
apne balon ko hairband se main jakra huwa
tha laiken fir bhi kuch lutan bar bar uske
galon ko choo rahe the jinhain woh bar bar
ungli se apne kaan ke peechay atkane ke
nakam koshish kar rahe the, make-up ke
naam per us ne sirf lipstick laga rake the jis
ne uske khoobsurat honton ko aur
khoobsurat bana dya tha aur uske hont
halke halke kanp bhi rahe the, sab se jyada
jis cheej ne Akshat ko hairan kya woh uske
ankhain then us ne buhut kam logon ke
ankhain green rang ke dekhe then, uske
mathe pe halke halke pasine ke qatre the jo
bilkul ghaas pe padi resham ke qatron jaise
lag rahe the. A.C room main bhi usko pasina
ana uske nervous hone ke bata raha tha.
Akshat usko dekh ke soch raha tha ke woh
waqaye main etne sundar ha jitne use lag
rahe ha ya use lag rahe ha.
"Mr.Gupta aap aisa kijiye, Deevan Group ke
file lay kar mere room main chale jaye aur
use study kijiye enka interview main kar leta
hon"... Us ne Mr.Gupta se kaha
"Yes Sir! " ... Mr.Gupta ye kah kar file lay kar
bahar chale gaye aur woh unke kursi pe
beth gaya
"Ji tu Miss ..." ... Akshat ne apne baat adhori
chod de aur apne samne padi uske file utha
li
"Ritika Desai" ... Us ladki ne pehle baar
juban kholi aur Akshat ko laga jaise mandir
main ghantiyan bajne lage hon
"Tu apke qualification MA. Economics ha" ...
Akshat ne uske file padhte huwe kaha
"Yes Sir!" ...
"Apko nahi lagta Msc.Economics, Secretory
ke job ke lye sahe qualification nahi" ...
"Ji ... Ji" ... Ritika bus etna he kah sake aur
sir jhuka lya, jaise Msc.Economics kar ke us
ne koi buhut bada paap kar dya ho
"Koi experience ha apka?" ...
"No Sir" ... Akshat ne pehle kabhi kise ka
interview nahi kya tha laiken use yaqeen tha
ke duniya ke kise interview main etne chote
jawab aj tak kise ne interview main nahi dye
hon ge jitne woh ladki de rahe the
,"Miss.Ritika ap yahan pe kaise ayen?" ...
Akshat ne uske file band kar ke us se agla
sawal kya
"Ji .... Taxi se" ... Ritika ko shayad es sawal
ke bilkul umeed na the
"Mera matlab ha es building ke ander kaise
ayen?" ... Akshat ko shayad use majeed
nervous karne main maja ane laga tha
"Sir gate se" ...
"Good, tu ap ne ander ate huwe es building
ka color tu jaroor dekha hoga, kya ap bata
sakte hain ke es bulding ka color kya ha?" ...
Akshat ne muskurate huwe kaha
"Shayad silver, nahi blue, Blue color ha Sir"
... Ritika ne thode dair sochne ke baad kaha
"Ap pure vishwas se kah rahe hain ke blue
ha?" ...
"Yes Sir" ...
"Cricket dekhte hain aap?" ... Akshat ne agla
sawal kya
"Yes Sir, kabhi kabhar dekh laite hon" ...
Ritika ne Akshat ke taraf aise dekha jaise
use Akshat ke dimagh halat pe shak ho raha
ho, us ne khaab main bhi nahi socha tha ke
us se interview main aise sawal bhi pooche
ja sate hain
"Tu apko Tendulkar ke frontfoot drive jyada
pasand ha ya backfoot?"... Akshat uske
chahre ke bhaav se kafe kuch samajh raha
tha laiken us ne bharpoor ghambeerta se
agla sawal kar dya
"Sir, dono he" ... Ritika ne kafe dair sochne
ke baad sir hilate huwe jawab dya, jaise woh
apne dimagh main imagine kar rahe ho
Tendulkar ke drives
Akshat se apne hansi rokna mushkil ho raha
tha, Ritika se batan karne main use buhut
maja aa raha tha, 15 minute majeed us se
ulte seedhe sawal poochne ke baad us ne
Ritika ko interview khatam hone ke khabar
sunaye aur kaha ke 2,3 din main use
interview ke result ke bare main bata dya
jaye ga. Ritika uske baat sun kar etne jaldi
se kamre se nikle jaise agar thode dair aur
woh us kamre main bethe rahe tu pata nahi
uska kitna bada nuqsan ho jaye.
Ritika ne kamre se bahar aa kar 2,3 lambe
lambe saans lye jaise woh buhut door se
bhag ke aye ho. Jab woh bulding se bahar
aaye tu khud ba khud uska sir peechay ke
taraf ghoom gaya bulding ka color dekhne
ke lye aur use dekh kar koi hairange nahi
huwe ke building ka color silver tha, jitne
nervous woh interview daite huwe the koi
hairange ke baat nahi the ke ne color galat
bataya tha. Us ne wahin khadi aik taxi main
beth gaye aur use ghar ka pata bataya
"Main kah bhi rahe the ke main interview pe
nahi jate, laiken Papa Ji mere koi baat sunte
he nahi, aur woh shakhs pata nahi mera
majak uda raha tha ya such much pagal tha,
laiken jo bhi ha ye job tu muje kabhi nahi mil
sakte, mera 25th interview bhi nakam
raha"... Ritika jaise khud se bol rahe the, us
se apne asnoo rokna mushkil ho raha tha.
Laiken es baat se anjaan the ke uske zindagi
kya naya mor laine wale ha
Chodu baba
BaBa Main BaBa cHoDu BaBa....
.... Aa gya h. Waapis bhot pelenga ......
•
Posts: 861
Threads: 10
Likes Received: 910 in 724 posts
Likes Given: 58
Joined: Nov 2019
Reputation:
6
Update 5
Herman Desai ne apne sare zindagi college
main students ko physics padhte guzar de
the, laiken unke apne zindagi ke laws of
motion kabhi theekh nahi rahe, unhon ne
mohabbat ke shadi ke aur apne patni Pooja
ke sath buhut sukhi zindagi gujar rahe the
jab Ritika ke paida hone ke baad unke patni
ko cancer ne aisa jakda ke akhir kaar unke
patni ke jaan lay kar he choda, 2 saal tak
woh apne patni ko lay kar har cancer
specialist ke paas ghoomte rahe laiken
bhagwan ne unka aur Pooja ka sath etne he
likha tha shayad aur Pooja ke beemari main
unhon ne apne zindage bhar ke kamaye bhi
laga de. Pooja ke marne ke baad unke
zindage Ritika ke erd gird he ghoomte rahe,
aur Ritika ke lye bhi uske Papa Ji he uske
duniya the, dono ke aik dusre ke elawa
kabhi kisi teesray ke jaroorat nahi padi.
Ritika ne zindage main bus aik he dost
banaye Anjali aur woh bhi college ke baad
Mumbai chale gaye, aur uske baat tu Ritika
aur bhi jyada apne Papa Ji ke close ho gaye,
Ritika bake ladkiyon se buhut hat ke the use
bake ladkiyon ke tarhan make-up, kapdon ya
boyfriends banane main koi dilchaspi nahi
the, uske duniya apne padhai aur Papa Ji ke
erd gird ghoomti the aur kabhi kabhi tu uske
Papa bhi use budhi rooh kahte the laiken
woh bus hans ke chup ho jate. Ritika ko
pata tha ke uske Papa uske waja se kafe
pareshan hain kyun ke apne sare kamaye
patni pe lagane ke baad unke paas bus sirf
aik flat he bacha tha aur woh uske shadi ka
soch kar pareshan hote the ke uske jahaiz
ke lye paisa kahan se ekhata karan ge aur
college retire hone ke bawajood woh aik
private college main padha rahe the, ese lye
MA. Economics karne ke baad Ritika ne job
ke talash shuru kar de the laiken uske sath
aik masla tha ke jaise he woh interview
daine phunchate the had se jyada nervous
ho jate the aur theekh tarhan se interview
nahi de pate the, ese lye ab tak 25 interviews
daine ke baad bhi use job nahi mile aur
Garewal Group of Industries ka interview
dye huwe use 2 din ho chuke the laiken ab
bhi woh apne interview ke ghum main ghuli
ja rahe the
,"Papa Ji maine apko kaha bhi tha ke main
etne bade company main interview daine
nahi jate fir bhi aap ne muje bhaij dya" ... Us
ne naraj lahze main kaha
"Tu interview daine se kon sa nuqsan ho
gaya aur waise bhi jab tum interview daina
he nahi chahte the tu ab uske bura hone ka
ghum kyun mana rahe ho?" ... Herman Desai
ne muskurate huwe kaha
"Ghum tu hota ha na, 25 interview de chuke
hon main aur agar yahe haal raha tu main
world record bana lon ge interviews daine
ka" ... Ritika ne afsoos bhare lahze main
kaha
"Chalo ese bahane tumhara naam world
record holders ke list main tu aa jaye ga" ...
Herman Desai abhi bhi majak ke mood main
the
"Ap bus mera majak udate rahiye" ... Ritika
ne naraj lahze main kaha
"Acha chalo jayo aur ache se chaye bana ke
lay ayo" ... Herman Desai ne uska mood
tabdeel karne ke koshish ke aur Ritika unke
baat sun kar kitchen main chale gaye, woh
chaye bana rahe the ke etne main uska
mobile baj utha
"Hello" ... Us ne yes ka button dabate huwe
kaha
"Ji, Ritika Desai speaking" ...
"Ji ...... Ji ?? , ok ... ok thank you, main kal
aa jayon ge" ... Ritika ke lahze se lag raha
tha jaise woh kise shock main ho
"Papa Ji, Papa Ji" ... Us ne kitchen main he
cheekhna shuru kar dya
"Kya huwa??, kyun chila rahe ho?" ...
Herman Desai ne fikarmand lahze main kaha
"Papa Ji, muje Garewal Group of Industries
main job mil gaye, abhi wahin se phone aya
tha" ... Ritika tu hairange ke mare behosh
hone ko the
"Ab muje yaqeen aa gaya ha ke jis ne
tumhara interview lya tha woh waqaye pagal
tha" ... Herman Desai ne muskurate huwe
kaha
"Acha ab es khushi main chaye ke saath
muje kuch acha sa khilayo" ... Herman Desai
ne kaha aur Ritika ne haan main sir hila dya
Ritika ke lye job ka milna buhut bade khushi
the, use jara se bhi umeed nahi the ke use
Garewal Group of Industries main job mil
jaye ge laiken ab tu use bus es baat ke
khushi ke the use job mil gaye. Us ne agle
din he job join kar le, use Akshat Garewal ke
secretory ke tor per kam karna tha aur
Mr.Gupta jo pehle es post pe kam kar rahe
the unhon ne uske buhut madad ke. Akshat
Garewal uske lye buhut acha boss sabit
huwa, shuru shuru main us se kafe galtiyan
ho jate then laiken us ne kabhi us pe ghusa
nahi kya balke aram se samjha deta. Ritika
ko job join kye 2 mahine ho chuke the aur es
sare samay main jo aik baat us ne mehsoos
ke the woh Akshat Garewal ke bolti huwe
najrain the halanke us ne kabhi Ritika ko
kuch kaha nahi tha laiken Ritika ko lagta tha
ke uske najran use kuch kah rahe hain,
laiken Akshat ke uske sath dostana rawaye
ne use buhut had tak relax kar dya tha ab
use koi masla hota tu seedha un se he
pooch laite aur woh hamesha uske madad
kar daite the, kabhi kabhi tu use
sharmindage bhi hote ke Akshat uska boss
ha aur woh uske pas apne masle lay kar
phunch jate ha magar Akshat ne kabhi use
es baat ka eshaas nahi hone dya ke use
uske madad karne main kise kisam ke
,pareshani hote ha. Ritika apne job se buhut
khush the laiken bake sare staff ke tarhan
Rachna Garewal se uske bhi jaan jate the
aur un se baat karte huwe woh hamesha had
se jyada nervous ho jate the aur aksar galti
bhi ho jate the us se, Akshat ke muqable
main woh bilkul ulat then aur galti tu woh
kabhi bardasht nahi karte then aur Ritika ke
bad qismate the ke us se hamesha unke
samne galti ho jate the.
"Miss.Ritika ap jara mere office main aye" ...
Ritika apna kaam kar rahe the jab Akshat ne
use apne office main bulwaya aur woh
phone rakh ke unke office main aa gaye
"Yes Sir!" ...
"Ritika, maine apko es mahine ke financial
statements ke file managaye the" ... Akshat
ne us se poocha
"Ji Sir, maine subha apke table per file rakh
de the" ...
"Apke muraad es blue file se ha?" ... Akshat
ne uske samne aik file hilate huwe kaha
"Yes Sir! , yahe file ha" ... Ritika ne sir hilate
huwe kaha
"Apko pura vishwas ha ke yahe file ha? "...
Akshat ne muskurate huwe kaha
"Yes Sir!, yahe file main kal jate huwe check
kar ke apne drawer main rakh ke gaye the"
... "Ritika, ap buhut ache shairi karte hain,
laiken afsoos ye ha ke Garewal Group of
Industries ka koi publication house nahi ha
warna muje buhut khushi hote apke shairi
,ke kitaab chapwane main" ... Akshat ne aik
baar fir se muskurate huwe kaha
"Sir ... " ... Ritika ka tu bus nahi chal raha tha
ke koi jadoo ke chadi ghumaye aur woh
gayab ho jaye
"Shuker kijiye ke maine ye file check kar le,
ap jante hain na Mom kitne sakht hain kaam
ke mamle main, agar main unhon ye bhijwa
deta tu apke khair nahi the" ...
"Thank you Sir and i m so sorry, woh
shayad dono blue color ke files thein tu galti
se maine ye fil day de apko" ... Ritika se
sharam ke mare bola nahi ja raha tha aik tu
galat file daine pe sharmindage uper se
Akshat ne uske shairi bhi padh le the
"Koi baat nahi, ab aisa kijiye woh file lay kar
aye aur es baar dekh kar laye ga ye file Mom
ko bhijwane ha" ... Akshat ne kaha
"Thanks a lot Sir, ap ne bacha lya warna
Madam ke pas chale jate tu woh yaqeenan
muje job se hi nikal daiten, pata nahi kyun
mere jaan jate ha Madam se, mera tu bus
nahi chalta unke samne main khud ko gayab
kar lon kahin" ... Ritika bolne pe aye tu bolte
chale gaye
"Ritika woh ... " ... Akshat ne kuch kahna
chaha
"Ji Sir, main ja rahe hon file lane, ye shairi
wale file muje de dijiye, aur Thanks again Sir
Madam ke guse se bachane ke lye" ... Ritika
ne unke samne se apne shairi wale file
uthate huwe kaha aur jaise he mudi use laga
woh pathar ke ho gaye ha, Rachna Garewal
uske peechay khade then aur pata nahi kab
se khade uske batain sun rahe the. Ritika
unke bhaav se unka gusa saaf mehsoos kar
sakte the, use apne job saaf jate huwe najar
aa rahe the, Rachna Garewal use kadi najron
se ghoor rahe then
Chodu baba apni. Advice de or bna rha episode daily aayenga isi week ye story puri. Hogi
BaBa Main BaBa cHoDu BaBa....
.... Aa gya h. Waapis bhot pelenga ......
•
Posts: 861
Threads: 10
Likes Received: 910 in 724 posts
Likes Given: 58
Joined: Nov 2019
Reputation:
6
Guys plzzz support kro ....
BaBa Main BaBa cHoDu BaBa....
.... Aa gya h. Waapis bhot pelenga ......
•
Posts: 861
Threads: 10
Likes Received: 910 in 724 posts
Likes Given: 58
Joined: Nov 2019
Reputation:
6
14-12-2020, 10:02 AM
(This post was last modified: 14-12-2020, 10:03 AM by chodu baba. Edited 1 time in total. Edited 1 time in total.)
Update coming soon
BaBa Main BaBa cHoDu BaBa....
.... Aa gya h. Waapis bhot pelenga ......
•
Posts: 861
Threads: 10
Likes Received: 910 in 724 posts
Likes Given: 58
Joined: Nov 2019
Reputation:
6
Update 6
Rachna Garewal ne use kuch kaha tu nahi
us din halanki Ritika ko lag raha tha ke woh
use job se nikal dan ge laiken aisa huwa
nahi. Us din ke baad Ritika aur bhi jyada
koshish karne lage ke uska samna Madam
se kam se kam ho laiken aisa hota kam he
tha aur aksar us se koi na koi galti bhi ho
jate kaye baar use Akshat ne bachaya tha
Madam ke guse se, ese sab main samay
gujarta gaya aur Ritika ko office join kye 5
mahine ho gaye aur tab he achanak Akshat
ne office ana band kar dya, pehle pehal tu
Ritika ko laga ke shayad kise kaam ke waja
se woh office nahi aa rahe laiken jab 1 pura
hafta woh office nahi aye tu us ne Mr.Gupta
se poocha Akshat ke bare main tu tab use
pata chala ke Akshat ke tabiyat theekh nahi
jis ke waja se woh office nahi aa raha tu
Ritika ko kafe afsoos huwa ke Akshat aik
hafte se beemar ha aur us ne aik baar phone
kar ke bhi nahi poocha uske tabiyat ka, us
ne Akshat ke mobile pe call ke
"Hello! Sir, main Ritika baat kar rahe hon" ...
Akshat ne jaise he call receive ke us ne kaha
"Ji Ritika, kaise hain aap?" ...
"Main theek hon Sir, ap kaise han, mane
suna ke apke tabiyat theekh nahi ha?" ...
"Man ab theekh hon" ...
"Sorry Sir, muje pata nahi tha muje laga
shayad ap apne kise kaam ke waja se nahi
aa rahe aj Mr.Gupta ne bataya muje ke apke
tabiyat theekh nahi" ... Ritika apne adat se
majboor bolna shuru ho chuke the
"Its ok Ritika, ap ne phone kya muje buhut
acha laga" ... Akshat ne muskurate huwe
kaha
"Ap wapas office kab ayen ge?" ... Ritika ne
poocha
"Main agle week se office ayon ga, muje
kuch kaam se America jana ha aj raat"...
"Theekh ha Sir, Take care of yourself" ....
"You too, aur koshish kijiye ga kam he
galtiyan hon" ... Akshat ne muskurate huwe
kaha aur phone band kar dya
"Buhut muskura rahe ho, lagta ha Ritika ka
phone tha" ... Akshat ne jaise he phone
band kya use samay Rachna Garewal uske
kamre main ayen aur uske chahre pe
muskurahat dekh kar bolen
"Apko kaise pata chala?" ... Akshat ne
hairange se kaha
"Tumhare chahre ke muskurahat bata rahe
ha, tumhain kya lagta ha muje pata nahi ke
tumhain Ritika pasand ha" ...
"Mom apko pasand nahi kya woh?" ...
Akshat ne poocha
"Woh buhut laparwah ha aur had se jyada
bewaqoof bhi" ... Rachna ne kaha
"Mom woh masoom ha bewaqoof nahi aur
ap se buhut jyada darti ha ese lye apke
samne us se galti ho jate ha" ...
"Tumhain lagta ha ke woh tumhare sath
adjust ho sake ge?, uske aur humare
society main buhut fark ha Akshat" ...
"Mom ap jante hain main en cheejon ke
parwah nahi karta aur waise bhi ap jante
hain ke filhaal aisa kuch nahi ho sakta" ...
Akshat ne kaha
"Kyun nahi ho sakta?" ...
"Mom, ap jante hain ke kyun nahi ho sakta,
filhaal es topic ko jane dijiye muje packing
karne ke ha raat ke flight ke lye" ... Akshat
ne baat badalte huwe kaha aur Rachna
Garewal use gor se dekh kar chup ho gayen
Agle din office main ane ke thode dair baad
Ritika ko Rachna Garewal ka bulawa aa gaya
aur woh bhagwan se prathna karte unke
office phunch gaye aur unke bolne ka
entajar karne lage, Rachna Garewal koi file
check kar rahe then
"Beth jayo, muje tumse kuch batain karne
hain" ... Rachna ne use khada dekh kar kaha
"Tumhare ghar main kon kon hota ha? " ...
Rachna ne file band karte huwe us se
poocha
"Ji bus main aur mere Papa hote hain" ...
"Aur tumhare mother?" ...
"Ji unke death ho chuke ha" ... Ritika ke
awaj main dukh tha, laiken use samajh nahi
aa rahe the ke ye subha subha uska
interview kyun ho raha ha
"Tumhara koi bf ha, ya engagement wagera?
"... Rachna ne agla sawal kya
"No Maam" ... Ritika se tu awaj nikalna he
mushkil ho gaya, us ne kabhi socha bhi nahi
tha ke Rachna Garewal kabhi aisa sawal bhi
kar sakte hain us se
"Dekho muje bat ko gol gol ghumana nahi
ata, main seedhi baat karna pasand karte
hon, agar tumhain aitraaj nahi ha tu main
tumhare pita se milna chahte hon tumhare
aur Akshat ke shadi ke baat karne ke lye" ...
Rachna ne es baar asal baat kah de
"Ji .... Ji" ... Ritika tu jaise behosh hone ko
the
"Koi jaldi nahi ha tum soch lo aur agar
chaho tu apne Papa se bhi baat kar lo muje
tum aram se sochne ke baad jawab de dena"
... Rachna ne uske halat dekhte huwe kaha
"Ok, Maam" ... Ritika bus etna he kah sake
"Ok, you can go now" ... Rachna ne kaha aur
Ritika unke bolte he foran unke room se
bahar chale gaye
Agla pura hafta Ritika ne jaise kanton pe
gujara, use samajh nahi aa rahe the ke
Rachna Garewal ne kya soch kar use Akshat
se shadi karne ko kaha ha uske khayal main
tu Rachna Garewal use na-pasand karte
then tu fir ye shadi ke baat aur Akshat jaise
ameer aur handsome shakhs ke lye woh us
jaise mamooli ladki ko kyun pasand karan
ge, ye sare aise sawal the jin ka uske paas
koi jawab na tha, woh soch soch kar thak
gaye the laiken use bilkul samajh nahi aa
raha tha ke ye sab kya ho raha, akhir kaar us
ne faisla kya ke woh Akshat se es bare main
baat kare ge aur woh Akshat ke wapsi ka
entajar karne lage, akhir kaar hafta khatam
huwa aur Akshat office aa gaya, aur uske
aate he Ritika us se baat karne uske office
phunch gaye
"Sir, muje ap se kuch baat karne ha" ...
Ritika ne Akshat ke office main phunch kar
kaha
"Yes sure, bolo kya baat karne ha?" ...
Akshat ne kaha, tu Ritika ne Rachna
Garewal aur uske darmiyan hone wale sare
baat use suna de. Akshat jaise jaise uske
baat sun raha tha uske chahre ke bhaav
badalte ja rahe the
"Ritika, mera khayal ha ye baat karne ke lye
office theekh jaga nahi ha, lunch break main
kahin bahar jaa kar es bare main baat karan
ge" ... Akshat ne bas etna kaha. Lunch break
main Akshat aur Ritika aik resturant main aa
gaye
"Ritika muje andaja nahi tha ke Mom etne
jald baji karan ge tum se ye baat karne main,
shayad tumhain andaja nahi ha laiken main
tumhain pasand karta hon, shayad pehle din
se he, laiken main filhaal es propsal ke haq
main nahi tha" ... Akshat ke bat sun kar
Ritika ne kuch kahna chaha laiken Akshat
ne use rok dya
"Let me complete, tum jante ho main pichle
2 hafte office kyun nahi aaya? , muje pichle
aik mahine se sir dard ke shikayat ha main
pehle samjha ye aik aam sa dard ha laiken
doctor se check-up karane ke baad muje
pata laga ke muje brain tumor ha, main ese
silsile main America gaya tha apne check-up
ke lye wahan Doctors se baat karne ke baad
muje pata laga ke mamla abhi etna sangeen
nahi mera treatment ho sakta ha laiken fir
bhi ye aik kafe ghambeer mamla ha doctors
ka kahna ha ke 60% chances hain mere
marne ke es treatment ke doran, jiska
matlab ye ha ke 40% chances hain mera
jinda rahne ke, muje 2 hafte ke baad fir se
America jana ha tab mera treamente shuru
hoga" ... Akshat ne use tafseel se bataya aur
Ritika tu bus hairange se uska chahra take
ja rahe the, aik ke baad aik jhatka lag raha
tha aj use
"Maine Mom se kaha tha ke main apna
treatment karane ke baad khud tum se baat
karon ga laiken woh maan han unhain
vishwas ha ke main theekh ho jayon ga
laiken main ye risk nahi lena chahta tha, ab
unhon ne tumhain ye baat kar he de tu ha
main tumhain koi dhoka nahi dena chahta
tha ese lye sab kuch saaf saaf tumhain bata
dya ha, ab faisla tum ne karna ha ke tum kya
chahte ho, mere treatment tak entajar karo
ge ya fir ... " ... Akshat ne apne baat adhori
chod de
"Dekho main janta hon ke maine tumhain aik
mushkil halat main daal dya ha, faisla karna
asan nahi agar tum ye failsa karte ho ke
mere treatment hone tak ka entajar karo ge
tu ho sakta ha ke tumhain lage ke ye khud
garj faisla ha laiken main samajh sakta hon
aur muje es baat pe koi aitraaj nahi hoga aur
agar tum kise aur ko pasand karte ho tu tum
abhi he enkaar kar sakte ho, us se humare
professional tawlaq pe koi fark nahi pade
ga" ... Akshat ne jaise uske mushkil thode
asan kar de
"Nahi Sir, main kise ko pasand nahi karte,
maine kabhi es bare main socha he nahi" ...
Ritika bas etna he kah sake
"Theekh ha tum aram se soch samajh kar
muje jawab de dena koi jaldi nahi ha" ...
Akshat ne uske baat sun kar muskurate
huwe kaha
Ritika ko laga tha ke Akshat se baat karne
ke baad uske muskhil thode asan ho jaye ge
laiken uske mushkil tu aur jyada badh gaye
the, use samajh nahi a rahe the ke woh kya
jawab de. Akshat use pasand karta ha ye
baat uske lye aik dhajke se kam na the aur
uper se uske aise beemari ye aur dhajka tha
uske lye. Ab use samajh aa raha tha ke
Rachna Garewal jase business woman kyun
use proposal de rahe the apne betay ka.
Woh apne betay ke khushi pure karna chah
rahe the. Laiken uske lye dono maan betay
ne mushkilan khade kar de then, agar woh
Akshat ko han bolte the tu use apne Papa ka
khayal aa raha tha agar Akshat ko kuch ho
gaya tu uske Papa ye ghum kase bardasht
karan ge aur agar woh Papa ko sab kuch
such bata daite ha tu woh kabhi raji nahi
hon ge es rishte ke lye aur agar woh Akshat
ko kahte ha ke woh entajar kare ge uske
treatment hone ka tu use lag raha tha ye
entahi ghatiya baat hoge balke aik khud garj
faisla hoga halanki Akshat ne use kaha tha
ke woh ye jawab de sakte ha laiken use
kahin se bhi aisa jawab dena theekh nahi lag
raha tha, es tarhan jawab dane ka matlab tu
seedha yahe tha ke woh Akshat ke dawlat
aur position ke chakar main us se shadi
karne ko raji huwe ha aur Ritika jaise naram
aur hasas jajbat ke ladki ke lye aisa karna
na-mumkin tha. Ritika le lye kise bhi faisle
per phunchna aik na-mumkin se baat the,
Akshat apne elaaj ke silsale main dobara
America ja chuka tha aur Rachna Garewal
ne akhir kaar us se jawab laine ke lye use
apne paas bula lya aur us ne unhan enkaar
kar dya ke uske Papa ka uske elawa koi aur
sahara nahi duniya main aur aise main uske
lye etna bada risk lena sanbhav nahi ha.
Woh Rachna Garewal ko enkaar kar ke
wapas apne cabin main aa rahe the ke uska
mobile baj utha
"Hello" ...
"Ji main Ritika baat kar rahe hon" ...
"Kya??" ... Woh dusre taraf bolne wale ke
baat sun kar sirf etna kah sake, use laga
jaise pure duniya ghoomne lage ha, mobile
uske hath se gir chuka tha aur woh kise
shock ke se halat main jahan khade the
wahin khade rah gaye
BaBa Main BaBa cHoDu BaBa....
.... Aa gya h. Waapis bhot pelenga ......
•
|