Thread Rating:
  • 8 Vote(s) - 2 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala
Ab aage ---
Room me akar maine box ek taraf rakh diya aur change kar ke bed pea a gayi . maine socha ab is ko subah dekhungi lekin fir kuch soch kar maine mobile uthakar dekha ye mobile puri tarah se meri samajh se bahar tha .
Maine aaj tak is tarah ka mobile use nahi kiya tha , is liye pahle maine dhyan se us ke sath ke papers ko parha mobile kya tha wo hazaron functions the us ke andar 2 CDs thi jinka work computer se related tha kafi der tak achi tarah se parhne ke bad maine SIM lagaya aur batteryn laga kar mobile on kiya lekin touch screen system mere palle nahi par raha tha book ko parhne ke baad maine itna samajh liya ki call kaise karni hai number kaise save karne hain .
Maine us mobile se haizan ko call kiya to fauran hi usne phone cut karke udhar se milaya
Maine call receive ki – hello
He – yes kaisi hain aap
Me – main thik hun , aap ka gift dekha aur abhi use bhi kar rahi hun
He – kaisa hai aap ko pasand aaya
Me – bilkul pasand aaya bahut acha hai lekin itna expensive gift
He - aap ne hi kaha tha ki gift me sirf niyat aur khuloos dekha jata hai keemat nahi ab aap apni kahi baat ke khilaf ja rahi hain
(wo meri baat ko kaat kar bola)
Me – haan kaha tha aur jo kaha wo 100 % true hai lekin fir bhi itna mahnga gift meri samajh me nahi aaya paisa faaltu nahi hota kisi ka
He – jee nahi maine koi faltu kaam nahi kiya ek bahut achi friend ko ek chota sa gift diya jo ki us ki zarurat thi is ummed se ki qabool kiya jayega khushi ke sath
Me – sach kahun to khushi to bahut hai – aur zarurat ko to aap kah hi chuke hain
He – jeee
Me - thank you shaizan aap ke gift ke liye gift bahut acha hai aur mujhe behad pasand aaya
He – thank you kahne ki koi zaroorat nahi , mera chota se gift ka martaba aur bhi buland ho gaya kyun ki wo aap ke hathon me pahunch gaya is se badi aur kya baat ho sakti ho sakti hai
Me – main kya aur meri asliyat kya band kariye ye baten
He – ok - i am thankful aap ne mujhe maaf kar diya – i promise aage se main kabhi aisa nahi hoga
Me – thik hai lekin aage se ab kabhi aap se fizool baat bhi nahi hogi , amine kayi baar aap ko mana kiya tha lekin aap nahi mane
He – thik hai jo aap kahen lekin main aap se baat zaroor karna chahunga aap job hi bat karna chahen mujhe manzoor hai
Me – zaroorat ki baat karna thik hai lekin bewajah ki baton se koi faida bhi nahi hai
He -- wajah bewajah main nahi janta meri aap se bat karne ki wajah wahi hai jo aaj se kayi sal pahle maine aap se kahi – main bas aap ko sun na chata hun aur kuch nahi
Me - - bewakoofi hai aur kuch nahi
He – jo bhi hai mere liye thik hai , ab is bat pe main aap se koi bahas nahi karna chahta
Me – ok
He – aur bataiye kya ho raha hai kya haal hai baki ghar walon ka
Me – thik hai sab log
He – aap ki sister
Me – so gayi bahut thak gayi thi , main bhi bas sone hi wali hun
He – thik hai aap bhi so jaiye bahut thak gayi hongi aap bhi fir baat hogi
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Do not mention / post any under age /rape content. If found Please use REPORT button.
Me – thik hai good night
He – good night – ye to bata diye ki baat kab karengi
Me – hmmmmmmm kal baat hogi
He – kis waqt
Me – main khud call kar lungi jab mujhe waqt milega
He – thik hai abhi bahut baaten karni hain aap se
Me – kis silsile me
He – ab ye to kal hi bataunga
Me – thik hai Good Night
He – Good Night
Maine phone band kar diya aur ek bar fir se mobile ko achi tarah se dekha , abhi kayi din lag jayenge is pe hath set hone me – main boli fir maine mobile rakh diya aur light off kar ke let gayi mujhe pata hi nahi chala ki main kab so gayi .
Subah meri ankh khuli to main fir se sona chahti thi lekin maine ghari dekh lii to us me 6:15 baj chukka tha , main fauran bed se uthi bathroom me ghus gayi jaldi se main fresh hui aur bahar akar main kitchen me chali gayi maine ek cup chai banayi aur akar sofe pe baith gayi .
Main chai pee hi rahi thi ki ki shahnaz apne room se bahar aayi
Arey aap itni jaldi uth gayin wo bhi bina jagaye ye kamal kaise ho gaya – main us ko dekhte hi boli
Bibbi aap ne hi to kaha tha ki subah madam ke yahan jana hai jaldi uthna hai is liye main uth gayi – wo boli
Waaah very good – main boli
Wo dham se akar sofe pe mere pas baith gayi aur mere gale me bahen dalte hue boli bibbi aap bahut achi ho wo mere gaal pe kiss karte hue boli
Acha ye baat mujhe nahi pata thi – main boli – waise aap ken aye camera me film nahi parti hai – maine kaha
Jee mujhe pata hai – wo boli lekin aap ye kyun kah rahi hain
Fir ye buttering kyun ho rahi hai – main boli
Oooh bibbi aap bhi – mujhe neend aa rahi hai wo meri god me sir rakh ke sofe pe let gayi
Ab uth jaiye aur jaldi se taiyar hoiye – warna madam ki daant khani paregi – main boli
Pahle mujhe chai peeni hai – wo boli
Thik hai main chai leke aati hun – maine kaha aur kitchen me chali gayi , chai peen eke bad shahnaz apne room me chali gayi aur main bhi apne rrom me aakr bathroom me chali gayi aur nahakar jaldi se taiyar hone lagi .
Main bahar ayi to shahnaz abhi apne room se nahi nikli thi main us ke room me gayi to wo change kar rahi thi
Abhi aap change hi kar rahi hain jaldi se aaiye – main boli aur bahar aa gayi main ghar lock karne lagi tab tak shahnaz bhi aa chuki thi maine kaha aap scooty bahar nikaliye
Us ne scooty nikali tab tak main lock kar ke bahar pahunchi aur shahnaz ke sath madam ke gahr ki taraf chal dii
Madam ke ghar pahunchi to wo bahut khush hui hum logon ko dekh kar aur shahnaz ko fauran gale laga kar wish kiya , waqt ki bahut pawand ho tum gulnaz – wo mujh se boli
Thank you madam – main boli ye maine apni mom se sekha hai fir bhi bahut afsoos ki bat hai ki main shahanz ki counselling me time pe nahi pahunch saki
Us me aap ki koi ghalti nahi hai - WO boli
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Madam Se baten hoti rahi aur nashta hum logon ne madam ke sath hi kiya madam ne shahnaz ko Saturday ko college aane ko kaha
Kyun Saturday KO kuch khas bat hai kya – us ne pucha
Pata nahi ye aap KO college akar pata chalega – WO boli
Gulnaaz ab tumhara kya programme hai aage – madam ne pucha
Kuch kahas mera Jo programme pahle tha aaj bhi wahi hai bas is darmiyaan aap ne LLB bhi karwa diya – main boli
To acha hai Na waqalat suhuru kar do – WO boli
Nahi ye mere bas ki baat nahi – Maine kaha
Arey kyun!! Main kaha rahi hunt um registration kara loo aur bas aise hi thora practice karti rahi sirf is liye ki apne ko update rakh sako aura age chaho to LLM kar lo , PSC J bhi kar sakti ho bahut sare option hain – wo boli
Thik hai dekhungi madam filhal to bas shahnaz ke liye hi main fikarmand hun – Maine kaha
Haan wo thik hai aur aap ko hona bhi chahiye – wo boli – admission to ho gaya ab aage kya karna hai – madam ne pucha
Next week fees deposit karni hai us din hi baki sab formalities bhi puri hon jayengi aur pata chal jayega ki clas kab se shuru hogi – Maine kaha
Acha hai – wo boli beta shahnaz aap aisa kariye
Kya – shahnaz boli
Aap yahan se upar jaiye
Jee – shahnaz boli
Wahan bahut sari books rakhi hui hain aap dekh liye agar un me se koi aapke matalb ki hai to le liye – madam ne kaha
Thik hai madam – shahnaz boli aur koodti hui upar chali gayi madam us ko jate hue dekh rahi thi main madam ko dekh rahi thi
Bahut pyari bachi hai – madam ne kaha
Yes thanks mam – main boli
Haan to ye bataiye ki rahne ka kya karna hai aap ko kaise manage karogi – madam ne pucha
Abhi to kuch samajh me nahi aa raha hai main to soch rahi hun ki hostel me rakh dun shahnaz ko – main boli
Nahi main hostel ki salah nahi de sakti aap ko – wo boli
Kyun madam – maine pucha
Kyun ki jis mahaul me tum ne aaj tak shahnaz ko rakha hai us ko dekhte hue main kah sakti hun ki wo hostel me nahi rah payegi, aur hostel ka mahaul bhi acha nahi hota – wo boli
Haan ye to hai madam main khud bahut pareshan hun mere pas sirf 7 days hain aur us me se aaj ka pahla din shurtu bhi ho gaya ye 7 din mere liye 7 ghante se zyada nahi hain – main khud samajh nahi pa rahi hun ki agar maine us ko hostel me rakh diya to main yahan kya karungi main to us ko bina dekhe rah hi nahi sakti - main boli
Aur aap ko dekhe bina wo bhi nahi rah sakti – madam boli
Jee – bilkul sahi kaha aap ne – wo bhi nahi rah sakti , main soch rahi hun ki koi private hostel me ya kahin achi jagah pe paying guest ke taur pe rakh dun us ko jab talk clas chale to wahan rahe baki fauran yahan bula lungi main us ko – maine kaha
Nahi beta aisa karna thik nahi hoga bahut achi bahut nek larkiyan ho tum dono aur main nahi chahti kit um usko akela choro ghar se door rah kar bigar jati hain larkiyan aur apni marzi ki malik ho ajti hain fir hath me nahi rahti – wo boli
Aisa to nahi hai madam lakhon larkiyan study ke liye apna ghar chorti hain – maine kaha
Tum mujh se zyada janti ho – WO bahut sard lahje me boli
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Nahi madam main darte hue boli maine aisa nahi kaha
Haan to jo kah rahi hun us ko samjho agar ghar se bahar us ko akele rahne diya to mujhe nahi lagta ki shahnaz ye shahnaz rah payegi - main janti hun ki bahut achi ho lekin mahaul ka asar daro deewar ko badal deta hai insaan kya cheez hai aur fir seedhi bhi be inteha hai wo kyun kit um ne kabhi us ko apne se alag hi nahi kiya us ki duniya sirf tumhare aas paas hi ghoomti hai – wo boli
Haan ye to hai lekin kya aisa karke maine ghalti ki hai – kyun ki is bat ko main sochne ko majboor thi is liye maine madam se pucha
Nahi koi ghalti nahi ki hai tum ne bahut achi tarbiyat dii hai apni choti bahan ko ek akele hokar tum ne job hi kiya wo koi nahi kar sakta aur is liye main khud tumhari bahut izzat karti hun – wo boli
Thank you madam – main boli
Maine sirf is liye aaj aap ko bulaya tha aur shahnaz ko yahan se hatane ka maksad bhi yahi tha ki aap se is bare me bat kar sakun – aur main yahi kahungi ki hostel me shahnaz ko rakhna aap ki sab se badi bhool hogi kyun ki hostel me rahne wali larkiyan zyadatar bigar jati hain aur koi fun aisa nahi hota jo unme paya na jaye – wo boli
Madam ki ye bat meri samajh me nahi aa rahi thi kyun ki agar aisa hai to parents apni larkiyon ko hostel me kyun bhejte hain main yahi soch rahi thi lekin ab un se bahas bhi nahi kar sakti thi kyun ki wo koi mamooli hasti to nahi hain aur mere jaisi pata nahi kitni larkiyan din bhar un ke samne aati rahti hain aur is mamle me main un ke tajurbe pe bhi sawaliya nishan nahi laga sakti thi
Kya hua chup kyun ho – wo mujhe kahamosh dekh kar boli
Kuch nahi madam bas samajh nahi pa rahi hun ki kya Karun - main boli
Ye batao agar tum shahnaz ko akele rahne dogi to kya wo rah legi tum kya sochti ho - madam ne pucha
Study ke liye rahna to parega lekin amine is masle pe abhi koi bat nahi ki hai bas maine to socha tha ki jitney din us ki clas hogi wo kisi hostel me rah legi baki har chutti par apne ghar – maine boli
Ye mat karo warna pachtaogi jaise main aaj pareshan hun apni beti ko bhejkar – wo boli
Matlab – maine pucha
Matlab kya bigar chuki hai wo us ko ab yahana aane ka dil nahi chahta is shahar ko wo ganv kahti hai mujh se bas farmaish hi karti hai aur bolti hai jitni jaldi ho sake ab yahan settle ho jaiye – madam boli
Hmm ye to achi bat nahi – maine kaha
Haan bhejo study ke liye aur log wahin ke hokar rah jate hain ye bahut badi problem hai , ab dekho Razia ki larki ko hi dekh lo wo bhi to parhne gayi thi parhayi fir job aur fir shadi sab ho gaya na – wo boli
Jee madam fir mujhe kya karna chahiye aap bataiye – maine pucha
Kuch nahi jaise aap yahan rah rahi hain waise aap khud us ke sath wahan rahiye jab tak uski parhayi likhayi jari hai aur waise bhi aap ka yahan koi waisa kaam to hai jo ki aap ja nahi sakti hain mera matlab koi service waghaira – wo boli
Jee ye to hai – main boli
Aur chaho to apne ghar ko rent pe utha do ya fir apne kisi janne wale ko rakh do , waise agar rent pe de dogi to udhar jo rent aap ko pay karna hoga wo idhar se mil jayega – madam ne kaha
Us ki zaroorat nahi hai madam ab dekhungi ki kaise set karna hai waise main is bat ko soch to rahi thi lekin ab ye masla aap se discus ho gaya – main boli
Acha ab main jana chahungi fir college me milna thik hai – wo boli
Shahnaz abhi nahi aayi – maine pucha
Main jab tak taiyar ho rahi hun je eke dekho kya wo yahin pe boks parh legi sab – madam ne kaha
Maikn uth kar gayi to dekha wo bahut sari kitabon ke beech me baithi hui sab ko dekh rahi thi aur ek ke bad dusri utha kar dekhti aur us ko bhi rakh deti
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Ye kya ho raha hai – maine pucha
Meri awaz par wo chaunk gayi – kuch nahi bibbi dekh rahi hun – wo boli
Ab dekh chuko madam ko jana hai chalo chalte hain - maine kaha
Bahut sari books hain madam ke pas – wo boli
Aap ke ghar me kya kam books hain – maine kaha
Jee bibbi bahut hain – wo boli
To ab chaliye uyahan se maine kaha aur shahnaz wahan se chali aayi books ke bahane se madam ne us ko wahan se hataya thaw o khud bata chuki thi
Madam bhi niklne ko taiyar thi hum logon ne un se vida lee aur apne ghar laut aaye.
Ghar aakar hum logon ne lunch kiya aur shahnaz apne room me chali gayi main bhi apne room me aa gayi.
Mere pas waqt bnahut kam tha aur is thore se waqt me mujhe bahut kuch manage karna tha agar main khud shahnaz ke sath wahan rahti to ye bhi itna asan nahi tha ki ek jagah se dusri jahag itni jaldi shift ho jana us ke liye bhi bahut kuch karna hoga yahi pas o pesh me thi main
Shahnaz ki fees bhi bharni thi jis ke liye mujhe paise ki zaroorat thi aur is waqt main paise se khali thi aur mere bank A/C ka paisa aane me abhi waqt tha is liye maine socha ki ab chacha se kahun ki wo mujhe paisa de lekin unki harkat ki wajah se main un se bat nahi karna chah rahi thi.
Main uth kar shahnaz ke room me gayi to wo soyi nahi thi
Kya ho raha hai – maine pucha
Kuch nahi bibbi bas camera dekh rahi hun – wo boli
Acha ek kaam kariye aap –apne mobile se chachi ko phone kariye aur un se kahiye ki chacha se kah den ki bibbi kah rahi hain paisa deposit kara den aur agar wo kuch kahti hai to kah diyega ki maine kaha hai ki aap logon se baat nahi akrna chahti aur agar paisa dene me koi problem ho to wo bhi fauran bata den bewakoof banane ki koi zarurat nahi
Lekin bibbi – wo boli
Jo kah rahi hun wo kariye – main sard lahje me boli
Jee – bibbi kahte hue us ne fauran chachi ko phone kiya aur baat ki main chachi ki bat sun rahi thi unhone kaha ki gulnaaz se kaho apne uncle se baat Karen is mamle me main to kuch janti bhi nahi
Shahnaz waise hi sab kuch kah diya jaise Maine us KO bataya tha aur us ne phone rakh diya.
Main shahnaz ke room se apne room me aagayi , main soch rahi thi ki ab pata nahi wo log kya karenge agar paisa abhi nahi deposit kiya to fir mujhe kya karna hoga main yahi soch rahi thi yunhi sochte hue main let gayi kuch hi der ke baad mujhe jhapki aane lagi
_
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Ab aage ----
Tabhimobile pe ring Hui - attention please check the msg screen now
Yekaisi msg tone hai – Maine kahte hue mobile dekha msg shaizan ka tha
Hellokaisi hain aap kya ho raha hai?
Uske msg se yad aaya Maine baat karne KO kaha tha lekin abhi tak waqt hi nahimila is liuye maine us ko call kiya to fauran hi us ne cut kar ke khud phonekiya
Hello– main boli
He– hello kaisi hain aap
Me– thik hun – aap kaise hain
He– fine – aur kya ho raha hai disturb to nahi kiya Maine
Me– nahi bas thora masroof rahi abhi tak is liye ab aake leti hun neend aa rahithi tabhi aap ka msg aaya
He– sorry !!! lagta hai maine aap ko disturb kiya
Me– Nahi aisi koi bat nahi aap bataiye aap kahan hain
He– main to abhi ghar aaya hun bas nikalne wala tha to Maine aap KO msg kiya, Mainesocha pata nahi msg karna thik hoga ya nahi
Me– koi bat nahi
He– aur bataiye ghar pe sab thik thak hai
Me– yes sab thik thak hai – yahi baat ho rahi hai ki ab sister ko wahan kaiserahna hoga kyun ki wo bhi tak akele rahi nahi hai
He– haan ye to hai – waise kya socha aap logon ne
Me– hostel ke liye soch rahe hain
He- ok – hostel ke bare me aap sab logonki raye hai
Me– nahi - sab log ek raye nahi hain koikuch kah raha hai koi kuch
He– waise ek baat kahun agar aap ki ijazat ho to
Me– yes kahiye
He– mere hisab se aap ki sister hostel me rahne ke liye sahi nahi hai
Me– kyun aisa kyjn kah rahe hain
He– kyun ki us ko dekh ke to mujhe yahi andaz hua hai ki wo sirf aap tak himahdood hai aur wo sidhi hi nahi bahut sidhi hai – koot koot ke to us mebachpana bhara hua hai, is liye main to yahi kahunga ki aap us ko akele narahne de ki family member ka sath hona bahut zaruri hai
Me– haan yahi bat bahut log kah rahe hain
He– jo bhi aap logon ko ache se janta hai aur aap ka bhala chahta hai wo aaap seyahi kahega , kyun ki jo larki kabhi akele ghar se bahar na nikli ho us kodusre shahar me akele rahne dena matlab us ko jeete jee jahannum me jhonknejaisa hai – aur agar aap logon ne aisa kiya bhi to mujhe yakeen hai ki wo 2 dinbhi rah le fauran hi rone lagegi aur aap logon ko bulayegi
Me– haan ye to hai lekin abhi yahi soch rahi hun ki kya Karun
He– karna kya hai family member ka sath rahna zaruri hai us ke liye aap log yahankoi intezam kariye
Me– dekhungi abhi to pahle admission ka masla to pura ho jaye
 horseride  Cheeta    
Like Reply
He– us me ab kya bacha hai WO ho hi Gaya hai samajhiye
Me– haan lekin abhi fees deposit karni hai tabhi sari information milegi
He– agar meri kahin par Kisi tarah ki koi bhi zarurat ho to fauran bataiyega
Me– nahi aisi ki zarurat nahi nahi Thank you
He– fees to abhi ek hi semester ki jama hogi Na
Me– yes
He– thik hai agar DD banwana ho to mujhe bataiyega
Me– kyun kya main DD nahi banwa sakti
He– nahi wo baat nahi hai actually main apne A/C se agar DD banwaunga to 1 lacktak free me banega aur aap banwayengi to us ke charges lagenge
Me– koi bat nahi charges lagenge to pay kiye jayenge
He– thik hai koi bat nahi DD ke liye aap pareshan na ho main banwa lunga yahan peaur aap mujhe pay kar diyega is me kya problem hai main koi ahsan nahi kar rahaaap ke upar
Me– nahi is ki koi zarurat nahi main banwa lungi
He– aap banwaogi to extra pay karna hoga Na kyun faltu me paisa barbad karengi,utna hi is ghareeb ko de diyega mera faida ho jayega
Me– haan ye thik hai fir aap banwa liye
He– thank you
Me– welcome
He– aur bataiye aap ki sister kahan hai kya kar rahi hai
Me– WO apne room me hain bas camera hai aur WO hain
He– photography ka bahut shauk hai us KO
Me– be inteha hai puri almari bhari Hui hai unki photo se
He– BAhut achi hai aap ki sister , mainejab us ki awaz suni thi to aap se kaha tha ki bahut pyari awaz hai lekin jab usko dekha to mujhe laga ki jitni pyari awaz hai us se kahin zyada achi wo khudhai – dekhiye ek baat honestly kahunga ki jitni bar meri nazar us pe pari basek hi khyal zahan me aaya
Me– kyaa!! Khyal aaya zara bataiye to
He– bata raha hun ---- ye achanak aap ka lahja kyun badal gaya
Me– nahi kuch nahi --- aap bataiye
He– bas ek hi khyal aaya kitni masoom aur pyari larki hai
Me– thank you us KO dekh ke log yahi kahte hain
He– aur bahut achi tarbiyat bhi hai aap ki lagta hai ki kisi bahut achi family seaap ka talluk hai
Me– thank you bas kariye ab
He– ok - sach kahun to bhi bura lagta hai -- is liye majbooran jhooth bolnaparta hai - aur jhooth bolo to log us kobahut shauq se sunte hain
Me– haan – ye bhi ek sachayi hai
He– aap sirf apni sister ko hi itna pyar karti hain ya baki family member bhi usko chahte hain
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Me– sabhi log – lekin wo mujh se bahut zyada hi kareeb hai kyun ki maa ko us nebachpan se nahi dekha
He– hmmmmmm – aur aap baki family member ko
Me- Haan kyun nahi – sab log barabar hain
He– good – aur bataiye
Me– aur kuch nahi batana hai – aap bataiye aap kah rahe the ki aap ko bahut saribaten karni hain – koi khas baat
He– khas bhi hain aur nahi bhi
Me– matlab
He– aap jab yahan aayi thi to aaap ne pucha tha ki Maine aap ke bare me kyaanalyz kiya
Me– jee pucha tha kyun ki aap kahte the na ki aap jis se milte hain to us ke bareme sab kuch samajh lete hain – kaha tha aap ne ki shakal dekh kar nasal pahchanlete hain – is liye maine pucha tha
He– haan kaha tha lekin us waqt itni jaldinahi bata paya aur bahut si baten aisi thi jo main aap ke samne kahne ki himmatnahi juta pa raha tha
Me– aisi kya baat hai
He– bataun aap ko lekin promise kariye ki aap bura nahi manengi kyun ki main jobhi kahunga wo 100 % sach hoga aur sach kabhi kabhi bahut bura lagta hai
Me– nahi main bura bilkul nahi manungi aap kahiye
He– promise kariye pahle
Me– main promise karti hun bura nahi manungi lekin job hi kahna wo sach hi kahnaaur mazak bilkul bhi nahi
He– yes – koi mazak nahi
Me– thik hai to kahiye
He– shusru se batata hun aap ko – jab se meri aap ki baat cheet shuru hui thi
Me– jee bataiye
He– ek ittefaq hi thaw o ki aap se baat cheet shuru ho gayi , jaise hi aap sebaat shuru hui to main jaisa thaw o aap se bata chukka hun – to maine socha yeek acha item phans gaya – fir us ko hi dhyan me rakh kar maine aap se baatkarta raha – lekin aap zara dusre type ki larki thi – magar main soch raha thaki har larki chahe wo bazaru hi kyun na ho apne kko sati savitri hi batati hai
Firmain apni kahaniyan aap KO sonata raha – aap ko pata hai kyun?
Me– nahi
He– sirf is liye kyun ki main chahta tha ki aap ko seduce kar sakun apni baton seaur aap seduce hokar wahi Karen jo main aap ko suna raha tha – lekin aisa huanahi
Me– oooh to ye hai sachyi
He– suniye aap ne promise kiya hai
Me– jee – kahte rahiye
He-- Fir maine aap se aap ke abre me pucha aap kaisi dikhti ho kya background haietc. Etc. – us se maine ye andaz lagaya ki aap bahut chote tabke se tallukrakhne wali hain – i mean backward society se jo log apni izzat ki hi bat kartehain lekin mauka milne par khushi seapni izzat ko koi na koi naam dekar asani se dusre ke hawale bhi kar dete hain
Me– hmmmm
(jaisa us ne kaha ki wo sach kah raha tha lekin is qadar bhi koi sach kah saktahai is ka mujhe imkaan bhi nahi tha soch to yahi rahi thi ki ab baat na karunlekin fir ye soch kar baat kii job hi ho sach sun to lun )
 horseride  Cheeta    
Like Reply
He– aap ne abtaya ki aap black dark color hain aur moti naati – to ye sab jan karmaine socha ki jab ye aisi hai to koi aaj tak is ko mila hi nahi hoga is liyebechari shareef hai - chalo koi baatnahi – fir aap se baat hoti rahi aur jab kayi bar aisa hua ki maine ap ko msgnahi kiya aur baat nahi ki to aap ne pucha kya hua kya haal hai – to mujhe lagaab kaam ban jayega chiriya jaal me aa chuki hai
Me– main chiriya
He– sorry lekin jo maine socha tha wo bata raha hun
Me– ok batate rahiye
He-- main yahi sochta tha ki kisi tarah ekbaar mil lun fir jaise hi aap mujhe dekhengi to mujh se impress zaroor hongi aur din bhar akeli rahti hain to mushkilnahi hogi aap ke ghar jane me – aur fir asani se main aap ke sath sex ka kahelkhelta rahunga aur aap khush hoti rahengi ki mujhe hero type ka larka mil gaya.
Me– acha waah bahut khoob
He– bas isi soch ke sath main chah raha tha kisi na kisi tarah ek bar aap semulakat ho jaye – mulakat ka matlab bas aap mujhe dekh loo – yahi sochta raha –lekin jab mulakat hui to uska ulta asar raha – pahle to main aap ko pahchan hinahi saka klyun ki dimagh me to wahi tasveer thi
Lekinfir jab pata chala ki aap hi ho to honth sil gaye mere – main samajh hi nahi paraha tha ki kya bolun – kyun ki maine jo socha tha sab kuch uska ulta tha –maine socha tha mujhe dekh kar jo aap ki halat hogi – aap ko dekh kar wo meriho gayi thi
Mainsamajh chukka tha ki aap koi backwardsociety ki nahi hain – aap wel educated aur aap ki personality ko to main dekhhi raha tha ki main samajh hi nahi pa raha tha ki kya bolun in ke samne – auryakeen nahi ho raha tha ki aap itne dino se mujh se baat kar rahi thi , kyun ki jaisi aap thi us hisab se to harlkarka aap ka deewana hona chahiye tha – is liye jo kuch bhi aap ne batya thawo sab ghalat tha – aur aap bata chuki hain ki aap ne mujhe pappu banaya
Basfir ye khyal aaya ki aap jaise most beautiful girl – jis ko main pasmanadasamajh raha thaw o to aisi nikli apni sister ki farmaish par us ne pattiyon ki tarah paisa kharch karnashuru kar diya is ka matlab aap ek badeghar ki larki hain – maine socha
Firzahan me khyal aaya ki kahin ye bhi to mere jaisi soch kahne wali nahi hain – imean jo main sochta chala aa raah tha aap ke bare me kahin wahi aap bhi to nahisoch rahi yahi soch kar main wo harkatkar baitha – and i am very sorry sorry for that gulnaaz
Lekinmain ne maan liya ki main behad ghalat tha aap asliyat me ek bahut achi larkihain – jiska chehre ki tarah dil bhi roshan hai
Isliye dekhne ke sath to aap ke bare me kuch na kah saka lekin ab kah sakta hunki aap kya hain
Itnakahne ke baad wo khamosh raha main bhi chup thi us ne mujhe kayi bar awaz dii , lekin main nahi boli to us ne kaha
He– shayad jo maine kaha wo aap ko bahut bura laga
Me– bura to lagega na intehayi darja ghatiya socha aap ne mere bare me
He– main janta hun – lekin maine yahi soch kar aap ko sach bataya ki jo kuch bhi hai aap ko bata dun aur agar burabhi lagega to – koi aur to nahi kar sakta lekin gulnaaz mujhe zaroor maaf kardengi – kyun ki bahut bada dil hai --aur aap ne promise bhi kiya tha ki bura nahi manengi
Me– promise to kiya tha – aur is se zyada bhi kuch socha ho to wo bhi bata diye
He– nahi job hi hai sab sach bataya aap ko aur aisa karke main bahut acha feelkar raha hun – ki fir kabhi mulkat ho to dil me koi chor na rahe aur kisi tarahki sharmindagi bhi na ho – kyun ki pata nahi main dost kahlane layak bhi hun yanahi – lekin aap ek bahut acho dost ho khush kismat honge wo log jo kisi na kisi surat me aap ke kareeb hain aapse jude hue hain
Me– ek minute – Mr. Shaizan sach bolne ke bahane se ye koi naya tamasha to nahihai koi new drama – agar
He– ye drama hai ya koi aur tareeka buttering ka ya kuch aur job hi hai aap kokuch na kuch to ehsaas hoga hi sach aur jhooth ka kyun ki jitna maine aap kojana hai – us hisab se aap ko bewakoof bahut asani se nahi banaya ja sakta
Me– acha is ka matlab aap koshish kar chuke hain
He– main kya kahh raha hun itni der se
I- ok – aur kuch kahna hai
 horseride  Cheeta    
Like Reply
He– aap ke naraaz hone ke baad to aisalaga ki main wo badshah hun jiskiriyasat us ke samne hi cheeni ja rahi ho , kuch samajh me nahi aaya – baharbhag gaya – fir socha kuch bhi ho jayemain aap se maafi mang kar rahunga aur aap ko maaf karna hoga kyun ki ghalti hui thi to mujhe maafi mangne me koisharam nahi thi - aur fir se aap kabahut bahut shukriya ki aap ne mujhemaaf kar diya
Me- maaf kiya aur kyun kiya us ki wajah bhi bata dii thi – us wajah ko hameshayad rakhiyega
He– ok
Me– bas aap ki baat mukammal ho gayi ya nahi
He– kyun neend AA rahi hai kya
Me– nahi – chai peeni hai mujhe
He– to banaiye piye aur bat bhi karti rahiye kya problem hai ghar pe koi hai kya ?
Me– ghar pe to sirf sister hai
He– to jahan tak mera khyal hai ab us ke samne aap ko mujh se bat karne me koiproblem to nahi honi chahiye
Me– nahi koi problem nahi
He– acha WO mobile aap ke ghar me Kisi ne dekha
Me– yes – sab ne dekha
He– fir aap ne kya kaha
Me– sister ko pata hai aur bhai dad se kaha ki purchase kiya hai
He– good – thora to jhuth bolna parta hai
I – har koi bolta hai agar koi ye kahe ki WOjhuth nahi bolta to yahi sab se bada jhuth hoga
He– jee (hanste hue) aap ne mujh se kaha tha ki aap koshish karti hain ki sachbola jaye
Me– jee bilkul aur aaj bhi yahi kahti hun
He– to chai bana rahi hain
Me– nahi abhi to room me hi hun
He– kya Karen agar aap kahne to phone rakh dun , fir bat hogi aap chai pee liye –ya fir baat karti rahiye handfree use kariye na
I– yes sure –
Kahte hue Maine ear plug connect kiya aur baatkarti Hui kitchen me aa gayi aur chai banana lagi
He- kitni chai banayengi
Me– bas ek cup – aap KO peeni hai kya
He– kabhi invite kariye chai ke liye to zarur piyunga
Me - ok – dekhte hain pata nahi kya hoga aagehum to kuch nahi jante
He– hoga wahi jo aap chahengi
Me– no wahi hoga jo manzoor e khuda hoga
He– uuunnnnnnhhhhhhhh
Me– kya hua
He– kuch nahi – main kha raha tha ki ek cup chai kyun sister KO nahi dengi
 horseride  Cheeta    
Like Reply
I– WO abhi so rahi hai – UN KO jab chai peni hogi to puri colony KO pat achal jayegaki shahnaz chai maang rahi hain
He– acha
Me– yes
He– waise Jo abhi aap ne kaha mujh se chai peeni hai to us pe mainkuch batanachahta hun
Me– kya
He– jaise hum log phone pe sex karte the us tarah se hi ek role play hota hai usme aise hi kahte hain chai peeni hai khana khana hai
Me– acha waah – waise hota kya hai ye role play
He– leave that -- job hi hota hai ye sabbakwaas hota hai, ab mujhe ye samajh me AA chukka hai
Me– good lagta hai ye sab meri sohbat ka asar hai
He– jee bilkul ek nek sohbat ka asar hai meri maa ne kaha tha beta sohbat hameshanek honi chahiye lekin UN ki baat zahan se door ho gayi thi
Me– ab zahan ke paas kaise AA gayi
He– aap ki wajah se
Me– good bahut achi bat hai kuch to acha socha aap ne
He– bilkul
Me– meri chai ban chuki hai
(mainchai cup me lekar aake sofe pe baith gayi)
He– acha mujhe bhi nikalna hai kuch der me to kuch baaten aur hain jo main aap kobatana chahta hun
Me– kya hai kahiye
He– jo aap ne pucha tha ki maine kya socha aap ke bare me to wo main aap ko abbatana chahta hun
Me– acha abhi kuch aur batana baki hai
He– yes
Me– to kahiye
He– ab jo main kahne jar aha hun wo bhi true hai – aur aisa samajhiye ki main aapko ye bata raha hun aap se kuc h puch nahi raha – aur jo kuch maine khunga uske baad aap ye bataiyega ki job hi maine kaha wok is had tak sach hai
I– ok - lekin aisa kya hai
He– suniye – jo main kaha raha hun
I– kahiye
He– aap ek behad shareef aur nihayat khuddar hain – jis ke zahan me hamesha yerahta hai ki kuch bhi aisa nahi hona chahiye jis ki wajah se aap se koi ye kaheki aap ne ye ghalt kiya hai – matlab kisi bhi tarah ka koi aisa kaam nahi jisse koi ungli aap ki taraf uthe
Auraap KO ye bilkul pasand nahi Kisi se bhi Kisi tarah ki madad Lena – aap WO hainjo bhukhi to so sakti hain lekin kisi se koi sawal nahi kar sakti
Apnizimmedariyon ko hi apni zindagi ka maksad samajhti hain – aur apne logon pejaan chirakti hain aap bahut khushkismat hain wo log aap jinke kareeb ho aurjis se bhi aap ki zara si nazdeeki hoti hai wo fauran aap ko apna samajh letahai aur apna raazdar banal eta hai – aap ke seene me patqa nahi kitne logon keraaz dafan hain
_
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Lekinin sab ke bawajood aap ka koi bhi raazdaar nahi hai – jo log apna sab kuch aaapse ankhen band kar ke share kar lete hain aap un se ya kisi se bhi apna kuchbhi share nahi karti
Mainpuri zimmedari se ye bat kah raha hun ki jo log ap ke bahut kareeb hain wo bhiaap ko thik se nahi jante – kyun ki aap ko samajhna behad mushkil hai
Aapse dosti ya kisi bhi tarah se kareebi rakhne wale log bhale hi apne ko akela nasamjhen lekin aap bahut akeli hain kyun ki aap ko koi razdaar nahi apne dil kibaat aap ne aaj tak kisi se nahi kahi hogi ye mera dawa hai
Aapbahut hi kind heart ho jo bahut jaldi kisi ki bhi problem ko apna samajh letihain – aur shayad aap ki naram dili ka log ghalat faida bhi utha len to koinayi baat nahi , agar koi aap se jhooth bhi kahe ki wo parehsn hai to aap us kimadad ke liye taiyar ho jayengi .
Lekinin sab ke sath aap god fearing hain aur apne sanskaar aur paramparaon mevishvas rakhne wali hain, lekin Kisi bhi tarah se insane ke beech duri paidakarne walon se aap ko nafrat hogi – jaise ki religion ke naam par language kenaam par
AapKO dusron ki bahut izzat karti hain aur chahti hain ki har koi har kisi seizzzat se pesh aaye badtamizi karne walon se aap ki kabhi nahi banti hogi
Aurye baat sach hai jo log hamesha dusron ki fikar karte hain aur dusron ke liyejeete hain wo bahut akele hote hain.
Aapka naam gulnaaz hai to waqayi gulon kobhi aap par naaz hoga , gul ka kaam hota hai mahakna lekin aap wo hain jo apneilm apni zahniyat apne ehsas se sab ko mahka rahi hain .
Iam wishing you All the best , zindagi me job hi aap ka Aim ho wo zaroor pura hoaur jo aap chahti hain wo aap ko zaroor mile bas itna hi kahna tha mujhe
(mainus ki baat ka ek- ek lafz bahut dhyan se sun rahi thi )
I– thanks
He– ab ye bataiye jo maine kaha wo kahan tak sach hai
Me– ye main batana nahi chahti
He– kyun
I– bas nahi batana chahti
He– lekin aap KO batana parega Maine pahle hi kaha tha ki aap ye zaroor bataiyega– kyun ki main janna chahta hun ki aap ke bare me meri soch kahan tak sahi hai
Me– main batana to nahi chahti thi lekin fir bhi aap puch rahe hain to suniye –aap ne Jo kuch bhi kaha hai WO 99% true hai
He– thank you very much
Me– ye kahan se aur kaise seekha aap ne
He– is me kuch khas nahi hai jo seekha jaye bas thora zahan ko khol ke rakhnahota hai thori mehnat ki zarurat hoti hai aur kuch nahi
Me– ok
He– aap ki chai khatam ho gayi
Me– jee
He– acha ab main bhi chalta hun bahut acha laga aap se baat kar ke aur haan DDmat banwaiyega WO main banwa lunga aur hostel me dalne ki baat zahan me bhi mat laiyega
I– ok – thank you
He– bye – fir baat hogi
Me– jee zaroor – bye
Mainephone band kar diya, main uthkar kitchen me cup rakhne gayi to fir phone bajne laga,Maine dekha to phone chachi ka tha – Maine silent pe kar diya aur phone nahi uthaya- chachi ka phone kayi bar aaya lekin maine pich nahi kiya
Mainshahnaz ke room me gayi to WO so rahi thi Maine us KO jagaya to WO bahut buraSA munh banake uthi
Kyahua bibbi kyun jaga diya – WO lagbhag rote hue boli
Shamho chuki hai ab uth jaiye zara uth kar fresh ho jao fir chachi se baat karnahai aap ko unka phone aa raha hai -maine kaha
Toaap baat kar leti – WO boli
Nahi– Maine aap se kaha ki UN se kahiye ki main aapa logon se bat nahikarna chahtitaki un ko pata to chale ki unhone kya kiya hai - main boli
Thikhai bibbi main abhi aa rahi hun wo bed se uthte hue boli aur bathroom me chali gayi- main us ke room se bahar aa gayi.
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Quote:Originally Posted by nice vika View Post
+ 6
Very nice n true update Gulnaaz ji,
Gulnaaz nam ka jo varnan shaizan ne kiya he vo really very true n superb he.
Aur aap bhi bilkul vaise hi he.
Gulnaaz ji aur ek bat, maine exbii pe pehli bar reps add kiye he,
3-4 din se soch raha tha reps ki opening kisase karu but abhi ye update padhake mere man ne without any doubt aap ka approval de diya aur maine reps add kar diye.
Thanks

Gulnaaz_banatwala

Thanx for apriciation Vika
i am highly thankful to you , you have slect me for your first - meri khushkismati aap ne mujhe is qabil samjha
Thank you
 horseride  Cheeta    
Like Reply
this is the end of the story .



On 27th May 2012



Thread closed

AS per TS req.



John Connor
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Bahut hi sandar update hai
Like Reply
Kanha gayab ho gaye
Like Reply
Waiting
Like Reply
(28-02-2019, 08:59 AM)sarit11 Wrote: Lekinin sab ke bawajood aap ka koi bhi raazdaar nahi hai – jo log apna sab kuch aaapse ankhen band kar ke share kar lete hain aap un se ya kisi se bhi apna kuchbhi share nahi karti
Mainpuri zimmedari se ye bat kah raha hun ki jo log ap ke bahut kareeb hain wo bhiaap ko thik se nahi jante – kyun ki aap ko samajhna behad mushkil hai
Aapse dosti ya kisi bhi tarah se kareebi rakhne wale log bhale hi apne ko akela nasamjhen lekin aap bahut akeli hain kyun ki aap ko koi razdaar nahi apne dil kibaat aap ne aaj tak kisi se nahi kahi hogi ye mera dawa hai
........................
.....................

Nahi– Maine aap se kaha ki UN se kahiye ki main aapa logon se bat nahikarna chahtitaki un ko pata to chale ki unhone kya kiya hai - main boli
Thikhai bibbi main abhi aa rahi hun wo bed se uthte hue boli aur bathroom me chali gayi- main us ke room se bahar aa gayi.
 
Bhai next update ki kab se wait hai 

. Pls post
Like Reply
Sarit  Bhai , kya ye story ap puri kr paoge. Xossip band hone ke baad ye pahli aisi story mili hai jisme excitment, suspense, emotions sab ek sath hai. Pls update n complete this story.thanks..
Like Reply
Update pls
Like Reply




Users browsing this thread: 13 Guest(s)