27-02-2019, 12:55 PM
Kanha chale gaye tum
Adultery HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala
|
27-02-2019, 12:55 PM
Kanha chale gaye tum
27-02-2019, 06:50 PM
Waiting
27-02-2019, 10:25 PM
Update
Andar pahunch kar maine dekha to wahan bahut sari bheer thi students ki guardians ki couseling kaha ho rahi hai is ko to pata karne ki zarurat hi nahi hui , main andar chali gayi aur maloom hua ki aaj MSC ki counselling nahi ho rahi hai , ye to mujhe pata hi tha ab mujhe srivastav sir ko talash karna tha itni badi jagah me un ko dhundhna mushkil tha aur mere pas ab mobile bhi nahi tha Main wahan se bahar aayi aur main eek larki se us kaha please apna use kar lene diye mera mobile toot gaya hai ya phir mujhe bata diye ki yahan phone ki koi shop PCO agar ho us ne apna mobile mujhe diya aur boli bahar canteen hai wahan pe phone hai coin wala aap use kar sakti hain thank you to main wahin jati hun – main boli arey nahi aap phone kar liye maine aap ko bata diya is ka matlab ye nahi ki main aap ko apna mobile nahi dena chahti – wo boli maine us ke mobile se srivastav sir ka number milaya ye to acha tha ki maine un ka number diary pe note kar liya tha aur wo mere bag me pari thi warna yahan tak aana bekar hi ho jata . maine phone kiya to unhone pucha kahan pe hain aap – maine bataya , wo bole aap ruko main aa raha hun ye kahkar unhone phone cut kar diya maine us ke phone se hi madam ko phone kiya aur un ko bata diya ki main yahan aa gayi hun aur der ho gayi us ki ye wajah hai aj kal sari problems tumhare sath kyun ho rahi hain – wo boli pata nahi madam shahnaz ke admission ko lekar mujhe bahut hi zyada problem face karni par rahi hain – main boli acha hai is se ye pata chalta hai kit um kitni comited ho , meri bat to ho gayi thi lekin ek bar fir main un se bat kar rahi hunt um bfikar raho – wo boli thik hai madam thank you very much – main boli you always welcome – unhone kaha aur phone rakh diya Thank you very much – main us larki ka mobile wapas karti hui boli Its my pleasure – wo boli – lekin aap ki baat ghalat hai – us ne kaha Kya ?? – main us ka munh dekhne lagi Aap ne ek phone karne ko kaha tha lekin aap ne do kiye – wo boli Oooh sorry lekin bahut zaroori tha aur maine ap se pucha bhi nahi i am sorry – main mazrat bhare lahje me boli Hey kidding yar mazak bhi nahi samajhti aap to serious ho gayi – wo boli Ooh – mazaak – main boli Kahan se hain aap yahan ki to nahi lag rahi – wo boli Jee main bahr se aayi hun kahan se aayi hun ye maine bataya Haan is liye warna is shahar ke log itne shaleen nahi hain – wo boli Lekin is shahar ka to naam hi shaleenta ke liye liye jata hai – main boli Wo sirf kitabon me news papar me likhne ke liye hi bacha hai , ab na wo log hain aur na hi wo mahaul – wo boli Us se thori der tak baten hoti rahi fir us ke hi number pe srivastav sir ka phone aaya jo ki samne hi khare phone kar rahe the , main unse mili to wo apne sath mujhe au shahnaz ko andar le gaye. Andar ek room tha jo dekhne se hi office lag raha tha us me kuch baithe hue the , unhone mujhe baithne ka kaha aur peon ko pani pilane ko kaha Bahut der kar dii ap logon ne – wo bole Jee sir – wo kya hua – maine us ko puri bat bata di
27-02-2019, 10:26 PM
Acha counselling kal thi aap ki lekin kal kyun nahi aa saki aap – unhone pucha
Unke sawal par ek aur mangarhant kahani sunani pari un ko kyun ki un se apne ghar walon ke masle to nahi bata sakti thi Fir uhone pucha aap madam ko kaise janti ho Maine bataya wo mere college ki principal hain , Han bahut tareef kar rahi thi wo aap kii chaliye koi baat nahi main dekhta hun kya ho sakta hai – wo bole Aap kaun hain madam ke – shahnaz ne pucha Shahnazz main usko tokne ke lahje me boli – jis ka matlab tha aap chup rahiye Wo meri didi hain bas ap itna samajhiye – wo bole Lekin aap to budhe dikhte hain – wo boli Chup raho bewakoof kahin ki badtamiz – main us ko dantte hue boli Arey koi bat nahi beta bolne do usko – wo bole , ab main budha hun to meri age hai kya karun lekin aap ki madam mujh se 5 saal badi hain Main kuch nahi boli un ki baat pe aur shanaz bhi chup rahi is bar lekin dekhne me wo madam se 10 -12 saal bade lag rahe the , is ki wajah ye ho sakti hai ki madam shuru se azad khyali me rahi aur fikar un ko naam ki nahi hoti , aisa kaha ja sakta hai ... kyun ki kisi ki bhi personal life me us ki kya problem hain ye wahi janta hai koi dusra nahi Sir uth kar chale gaye kahin aur kaafi der ke baad wapas aakar bole – beta abhi aap logon ko thora wait karna hoga kyun ki aaj dusri counselling chal rahi hai is liye counselr buzy hain lekin aj aap ka kaam ho jayega , aap ki madam ka bhi abhi abhi phone aaya tha – wo bole Thik hai koi problem nahi hai , main wait kar lungi - maine kaha lekin hum logn ko wapas bhi jana hai – main ne un ko bataya Haan main samajh raha hun lekin aap logon ne der kar dii agar aap jaldi aa gayi hoti to pahle hi aap ki counselling ho jati khari ab to der ho hi gayi hai is liye befikar rahiye Maine un se pucha aap kis department me hain aur kya parhate hain Wo hanste hue bole , beta main koi professor nahi hun , main account department hun lekin counselling me baitha hun kyun ki dekhna parta hai aur dusri bat ki aap logon ka bhi wait kar raha tha , warna meri chandiya me jo 7-8 baal hain ye bhi tumhari madam gira dengi – ye kahkar wo khud hansne lage jisme hum logon ne bhi un ka sath diya Fir unhone hum logon ke liye unhone nashte ka bhi intezaam kiya , main mana karti rahi lekin wo mane nahi , nashte ke bad wo bole ki aap log aaram se baithiye fir abhi main batata hun , ye kahkar wo vhale gaya Baithe baithe bahut der ho gayi jab 4:30 baj gaya to main uth kar tahalne lagi ab intezaar bojh lag raha tha , aur us sitam ye ki mobile bhi nahi jo ki kisi se bat kar lun Bibbi pucho un se kahan hain phone karo na – shahnaz boli Phone kaise karun mobile to shaheed e counselling ho gaya – main boli Oooh – main ka rahi thi ki mujhe mera mobile le chalne diye lekin aap ne cheen liya – wo boli Haan ghalti ho gayi mujh se maam aur mujhe is ki hi saza bhi mil gayi – main boli Ab kya Karen bataiye – wo boli Kuch nahi aao chalo bahar chalte hain – main boli , aur shahnaz ko lekar bahar aagyi campus me hi koi canteen thi jo mujhe us larki ne batayi thi main us ko talaash karne lagi Canteen me pahunch kar main ek kursi pe baith gayi , wo canteen bahut achi thi aur bahut rush thaw aha zahir hai jahan pe students honge to whan ka mahaul aap log samajh hi sakte hain chai nasta hansi mazak yahi sab , hum dono ne bhi chai pee chai ki shukeen ko aaj bhi bahut kam peene ko mili thi Khair hum logn ne chai pee uske bad wahin canteen se hi maine madam ko phone kiya aur bataya ki abhi tak kuch bhi nahi hua hum log intezaar kar rahe hain _
27-02-2019, 10:26 PM
Bahut der ho gayi hai 5 baj gaya hai – wo boli
Jee madam ab bataiye kya Karen din bhar main pareshan rahi hun ab gussa bhi aa raha hai – main boli Gussa kyun? – aur tum ko gussa kab se aane laga , wait karo main fir phone karti hun – wo boli Thik hai – maine kaha Acha ye batao wahan kya chal raha hai – madam ne pucha Abhi tak to counselling chal rahi thi madam lekin ab wo khatam hoti dikh rahi hai b coz time over ho raha hai – maine bataya Main abhi bata rahi hun – wo boli Aap Batayengi kaise madam mere pas to mobile bhi nahi hai – maine kaha Thik hai main un ko call kar rahi hun tum un ke pas pahuncho – wo boli aur phone cut ho gaya Main fauran wahan se chal di aur andar aagayi jahan pe baithi thi mujhe laga kahin aisa na ho madam phone karen un ko aur fir main wahan na milun Main andar aayi to wahan sir nahi the main fir baith kuch hi minute ke bad wo aaye aur bole beta wo , i am sorry lekin aj tumhari counselling nah ho payegi kyun ki sab bahut busy hain lekn tum pareshan mat ho maine puri bat kar lii hai kal subah tum thik 10:00 baje aa jana sab se pahle aap ka kaam ho jayega , agar aap aaj jaldi aa gayi hoti to koi pareshani hi nahi hoti lekin jo kaam pahle se chal raha hai ab us ko to chora nahi ja sakta – wo bole Aap jo kah rahe hain wo thik hai lekin itni subah main kaise a paungi main yahan to rahti nahi hun , - main boli Arey to aj yahin stay kar lo kal subah counselling us ke bad chali jana – wo bole Kya main madam se baat kar lun aap please apna phone de sakte hain – maine kaha Sure beta ye lo – unhone phone de diya , maine madam ko phone kiya aur puri baat batayi – madam ne kaha haan meri baat hui un se , ab wo jaisa kah rahe hain waisa kar lo beta kyun ki wajah koi bhi ho ghalti to apni hi hai na jo time pe nahi pahunchi – madam ne kaha Thik hai madam main boli aur phone sir ko de diya , sir ne bhi madam se bat ki aur kaha arey ho jayega bas fikar na karo admission hona hai na wo karana meri zimmedari bas , madam se baat karne ke baad wo bole , to fir kal a jana Thik hai – main boli Tum ko rukne ki koi problem ho mera ghar hai aap log mere ghar me ruk sakte hain – wo bole Nahi sir aisi koi problem nahi hai hum log stay kar lenge – maine kaha rukoge kahan – unhone pucha main hotel me stay karungi koi problem nahi hai abhi thora sa shahar me bhi kaam hai kuch lena hai purchasing bhi karni hai – main boli thik hai beta waise tum chaho to mera ghar hazir hai koi takalluf mat karna – wo bole arey nahi takalluf ki kya baat hai sir thank you very much aap ne itna kiya – main boli agar kahin jana ho to thora wait kar lo main abhi free ho jaunga to aap logon ko chor dunga – wo bole Nahi nahi hum log chale jayenge aisi koi problem nahi hai – main boli Thik hai beta fir time se aa jana – wo bole Ok sir thank you – un se vida lekar main wahan se bahar aa gayi Bibbi ab kya karenge – shahnaz ne pucha Kya karenge kuch nahi apna whi hotel zindabad chalte hain wahin – main boli _
27-02-2019, 10:27 PM
Lekin hum log to kuch lekar bhi nahi aaye hain kapre bhi to nahi hain ab kya kal bhi main yahi pahne rahungi – wo pair patakti hui boli
Chalo naa abhi aap ko camera bhi lena hai to ek ek dress bhi le lete hain – main boli Sach me aap camera aur dres dono dilaogi – us ne pucha Yes – main boli Wowwww – fir to acha raha aaj yahan aana – wo khush hote hue boli Main shahnaaz ke sath chalti hui fir se canteen me aayi aur seema ko phone kar ke bataya ki main aaj nahi aa rahi hun kyun ki counselling kal hogi is liye ab main kal aaungi , seema se baat hui aur anty se bhi aunty boli koi baat nahi bibi tum bas apna aur shahnaz bi ka khyal rakhna Thik hai aunty – aunty se bat karne ke baad maine socha shaizan ko bata to dun ki kya hua aaj mere sath warna wo pata nahi kya soch raha hoga yahi soch kar maine uska number milaya ring ja rahi thi lekin uth nahi raha tha us ka phone maine fir se milya to fir ring ja rahi thi lekin is baar phone utha Hello – udhar se awaz aayi Me – hello He – yes kaun – wo bahut tez aur rude lahje me bola Me – main gulnaaz He – oooooh aaaap waah waaah bahut acha mazaak kiya aap ne – itni achi tarah se chottiya banaogi mujhe nahi pata tha – aur is ke sath wo bina ruke pata nahi kya kya kahta aur bakta chala gaya jo meri samajh me hi nahi aaya ki ye kah kya raha hai Mujhe us ka is tarah bat karna acha nahi laga kyun ki kam se kam ye to pata karna chahiye tha ki asal bat kya hai lekin wo non stop bole chala ja raha tha beahooda beten Me - ab to pata chal gaya na He – haan ab pata chal gaya ki chootiya banana aur dusron ko pareshan karna tum se seekhna chahiye Me – thik hai - main aayi thi counselling me aur ja rahi hun , maine aap se kaha tha na ki agar qismat me milna hoga tabhi mulaqat hogi He – jhooth mat bolo jhooth mat bolo tum aayi hi nahi ho (aur us ke sath qismat aur qismat ko man ne walon galiyan ) Me - Main aayi thi aur ja bhi rahi hun -- bye now Ye kah kar maine phone rakh diya aur wahan se bahar ki taraf chal dii
27-02-2019, 10:28 PM
New Update ----
Main shahnaz ke sath bahar ki taraf ja rahi thi tabhi wo larki aa gayi jis se mainemobile liya tha , mujhe dekhte hi wo muskurayi Ho gaya aap kaam – main boli Haan kuch lekin kal fir aana parega – wo boli Arey bahut pareahani hoti hai har jagah bahut dauraya jata hai aaj kal – us ke sath ek lady thi wo boli Oooh mammi ye hota hai koi janbujh kar hum logon ko pareshan nahi kar raha hai – wo boli Oooh to ye aap ki mammi hain – maine un ko Namaste karte hue pucha Haan wo boli – main us ki mom se baten karti hui bhar ki taraf chal dii , wo log kaffi educated aur tameez tahzeeb se wabastagi rakhne wale lag rahe the Tabhi piche se mujhe kisi ne pukara excuse me madam rukiye – maine mud kar dekha to ek admi hum logon ko rukne ka ishara kar raha tha lekin ye nahi samajh me aaya ki wo kis ko bula raha hai Paas akar wo mujhe se bola madam ap ka phone hai Mera phone yahan kaise – main boli Arey main cantees se aaya hun madam aap ne abhi kisi ko phone kiya tha to wo palat kar phone kar ke kah rahe hain ki aap ko bula dun , main idhar udhar aap ko dekh raha hun jab se aap canteen se nikli hoo – wo bola Aap un se kah do ki wo gayi – main us se boli Arey please madam aap khud chal ke ek baar kah diye wo kya hai mera kaam yahin ka hai aur main students se kisi tarah ka jhagra nahi kar sakta is liye sab kuch dekhna sochna parta hai – wo bahut hi samajhdari aur sharafat se baat kar raha tha Maine kaha acha thik hai aap chaliye main aa rahi hun , maine us larki aur uski mom se kaha aap log rukiye main abhi a rahi hun ya fir aap jaiye Wo boli aao hum log bahar ki taraf chalrahe hain – main fir se canteen me aayi aur us se pucha kis ka phone tha Wo bola abhi ap ne jinko phone kiya tha un ko kar liye aur agar aap ko baat nahi karni to bhi un ko bol diye , kyun ki mujhe yahin rahna hai madam Kyun wo kya koi mavaali badmaash hai – maine pucha Pata nahi madam is shahar me kaun kya hai ye pata hi nahi chalta aur mujhe zaroorat bhi nahi hai mujhe kaam karna hai is liye sab mere customer hain aap ho ya koi ho ap yahan call kar ke kisi se bat karna chaho to kya main mana kar dunga – wo bola Thik hai – maine shaizan ka number milaya us ne fauran phone uthaya Hello– wo bola Me– haan kaho kya problem hai He– kuch problem nahi hai , ye batao tumhara mobile kyun band hai Me– ye sab jan ne ki koi zarurat nahi hai , main fir kuch jhooth bol dungi He– nahi nahi sorry – wo main bahut irritate ho gaya aaj din bhar Me– to kaise pata chala ki main aayi hu aur jhooth nahi bol rahi He– maine is number pe call back kiya to pata chala ki ye university ka hi number hai , phone kyun band hai ? Me– koi zarurat nahi hai ye puchne ki badtamizi karo aur kuch nahi He– sorry sorry sorry dear please ab main aap ki tarah suljha hua nahi hun pleaseab gussa mat kariye aur bataiye bat kya ho gayi Maine us ko bataya ki kya problem hui aur kyun phone band ho gaya
27-02-2019, 10:29 PM
He– arey bap re – i am sorry mujhe laga aap ne mazaak kiya is liye mujhe gussa aaraha tha , mian 10:30 baje se --- arey main bhi kitna gadha hun faltu ki bakwaskar raha hun , tum wahin ruko main abhi aa raha hun main zyada door nahi hunisi area me aaj dhamal kar rakha hai maine
Me– nahi koi dikkat nahi hai yahan pahunchne ke liye maine aap se kaha tha abmera kaam ho gaya hai to koi zaruat nahi aap ko takleef karne ki ab main jarahi hun He– acha takleef ki kya bat hai – main abhi aa rahaa hun jana nahi please Yekahkar us ne phone band kar diyaa Mainebhi wahan se bahar ki taraf chal dii , wo larki aur uski mom aur kuch larkiyan bahr ki taraf ja rahi thimain bhi tez tez chalti hui un ke paas pahuch gayi Bahutsi larkiyan aa ja rahi thi aur larke bhi the hum log gate pe khare baten kar rahe the to whan kuchlarkon toil baneye hue kahre the jo aati jati hui larkyon pe coments karte huecher char kar rahe the Bahutbadtamiz hain larke – main boli Haanyahi ho gaya hai ab is shahar ka mahaul pata nahi kahan kahan se badtamiz aagaye hain yahan – wo larki boli Tabhek larka uchalta koodta hua aaya aur un larkon ki bheer me mil gaya aur sabchillate hue haa huu karne lage , kuch der kebad ek auto aaya jis me wo larkiapni m kae sath chali gayi lekin hum logon me achi jaan pahchan ho gayi thi usne apne ghar chalne ko kaha to maine bata diya ki min abhi nahi aa sakti jis peus ki mom ne kaha acha fir kabhi aana , hum logon ne number bhi le liye ekdusre kaa Kaffider ho gayi thi hum logon ko khare khare aur lagbhag sbhi log ja rahe aur shamho chuki thi Bibbiab chalo na mujhe nahi lagta ab aayege wo aap ka friend – shahnaz boli Dekhobeta wait to kiya itni der us ne khud phone kiya ki main aa raha hun – mainboli To yahan aa gayi aap ahin canteen me rahti tokam se kam phone to kar sakti thi ya to pahchan hoti pahle se – wo boli Uski baat to sahi thi lekin is waqt main bhi bahut thak chuki thi aur ja rahi thiki shaizan ka phone aaya aur rukna para , meri samajh me kuch nahi aa rha thaaur bewajah ki pareshani ka samna karna par raha tha Mainekaha acha chalo wahin canteen me hi chalte hain – main boli aur us ko lekarandar chal dii Abaise hi andar bahar karti rahiyega aap – wo boli Andarpahunch kar hum log baith gaye aur chai pii chai ke thora sa kuch snacks bhiliya fir maine shaizan ko phone kiyaa Me– hello kahan ho He– arey yar itni der se tum ko dhundh raha hun main bhi yahin hun isi campus mewhan canteen me bhi gaya lekin tum kahin diokh nahi rahi ho Me– ek minute – aap to aise kah rahehain ki main dikh nahi rahi hun jaise aap mujhe ache sepahchante hain He– arey pahchanta nahi to kya hua dekhte hi pahchan lunga , lekin abhi tak aapdikhi nahi hain Me– arey ye bewakoofi mat kariye maloom hai bas -- abhi kahan pe hain aap He– main andar sab dekh ke gate pe aaya hun Me– main canteen me hun is waqt He– tum bahar aao Me– kyun – aap yahan aaiye He– arey wahan aana thik nahi hai tum bahar aao Me– thik hai
27-02-2019, 10:30 PM
Mainfir wahana se bahar ki taraf chal dii is par shahnaz bahut chilla rahi thipair patakti hui
Patanahi kaun hai jo mil nahi pa raha – wo boli , aap bahar jaiye main yahin baithihun – us ne kaha Nahi aap mere sath chaliye sharafat se aur munh band rakhiye – main thora sakht lahje me boli to wo fauran mere sath chal dii Maingate pe akar khari ho gayi lekin koi aisa nahi dikha jo kisi ka intezar karraha ho , bas wahi kuch larke aur karkiyan yhan wahan khare baten karte hue Ajeebshahar hai ajeeb log hain – main boli itni der apne yahan agar idhar se udharkarti to pata nahi kitne log puch chuke hote ki kya baat hai kyun pareshan hainlekin yahn to koi puchne wala bhi nahi – main boli Ghurbatme koi puchne wala nahi hota Jaltihai shamma phir bhi ujala nahi hota – shahnaz boli Uski is baat pe main usko dekhne lagi --ek bar fir lamba intezar is waqt main chah rahi thi ki bs hum log hotel pahunchjayen kisi tarah lekin us ki jagah yahan khare hokar intezar karna par rha thajo ki eke k lamha bhut bhari par raha tha ` Chaloshahnaaz bhad me gaya – wo ab hum log chalte hain – main shahnaz se boli Oohwoow thik hai bibbi jaldi chalo main bahut thak gayi hun – wo boli Hanaur main subah se aaram kar rahi hun – maine kaha jis pew o hansne lagi Achaek kam karte hain dekho wo yahin kahin hain aur apni bewakoofi ki wajah se humlogon ko tlash nahi kar pa rahe hain is liye main chahti hun ki ab ek bar batadun ki main ab ja rahi hun – maine kaha Thkhai bibbi jo aap chahen – shahnaz ek lambi saans lete hue bahut dhire se boli Iam sorry shahzadii – main boli bahut pareshan ho gayi aap Itsok bibbi ab chaliye – wo boli ek bar fir duniya ke sab se bade bewakoofon kimanind canteen me pahunch gaye , wocanteen wale bhi pata nahi kya soch rahe honge mere bare me , Mainefir se shaizan ko phone kiiya , aur is bar ek sakht lahje me maine kaha shaizanab main ja rahi hun bahut der ho gayi ye natak karte hue ab kuch mat kahiyega He– arey kab se dekh raha hun yar gate pe to aayi hi nahi ho tum Me– akwaas band karo gate se canteen aur canteen se gate yahi kar rahi hun kitnider se ab koi zarurat nahi intezar ki aap jaiye aur mujhe bhi bakhsh diye He– sirf 5 minute wait karo - ye kahkar usne phone cut kar diya Abkya hua chalen – shahnaz boli 5minute wait bola hai – janab ne Oooh– fir wait wo boli Koibat nahi chalo tak tak tum uncle chips khao baith ke – main boli ,aur hum dono wahin baith gaye uncle chips ke sath eke k chai aur ho gayi hum logon ki , humlog chai pee rah the ki tabhi wo canteen wale ne akar kaha ki aap ko koi puchta hua aya hai please bahar aaiye Main shahnaz ke sath bahar aayi aur us se pucha kaun puch raha hai to us ne ek ki taraf ishara kiya , maine palat kar us ko dekha aur dekhte hi boliii Tum Wo bhi dekhte hi bola – tum
27-02-2019, 10:32 PM
Quote:karuna80200
27-02-2019, 10:33 PM
Quote:Dev_Yourwill
27-02-2019, 10:34 PM
Ab aage----
Tum kaun ho – maine pucha Yahanse hato fauran – wo bola bahut tez aage barh gaya Mainefauran shaizan ka number milaya wahin se to uska phone baja , us ne uthaya aurbola ab kya hai kyun phone kar rahi ho Kuchnahi number check kar rahi hun – main boli , maine phone rakh diya Mainshahnaz se boli aao chalo Bibbiye hain wo aap ke friend – shahnaz ne pucha Mujhekya pata main koi janti to nahi hun – main boli Yeto wahi hai na jo jeep me tha – wo boli Haanaur pata nahi kitni bar hum log aamne samne se nikle hain – main boli Kuchage chalkar wo rukte hue bola – aap gulhain Maingul nahi gulnaaz hun gulnaaz banatwala – main boli Auraap hain shahnaz banatwala – wo shahnaz se bola Yes– shahnaz boli Areyye kaise ho gaya kitni bar aap ke samnese nikal main lekin fir bhi nahi pahchan saka – wo bola Pichlekayi ghanton se to yahi mar rahe ho – main boli Haanmain aaj sirf tumhari wajah se din bahar yahin mara hun aur pahchana nahi kitnabada gadha hun main – wo bola Kyunaap to seena zori se kah rahe the ki dekhte hi pahchan lunga – main boli Aapjhoothi hain , jhooth bola aap ne – us ne kaha Mainekab jhoth bola – main boli Baadme batauga abhi to chaliye yhan se – wo bola hum log bahar ki taraf ja rahe thechalte chalte bahar pahunch gaye wo hum logon se aage jar ha tha aur mainshahnaz ke sath piche piche ja rahi thi Gatepe pahuch kar wo bola aap yahin rukiye main abhi gadi lekar aata hun Lekinhum ko jana kaha hain – maine pucha Filhaalyahan to jana hai mere khyal se ya yahin rukna hai aap ko – wo bola Hanjana to hai – main boli Tofir pahle yahan se nikaliye fir baad ki bad me sochenge – wo bola – aur chalagaya Bibbiye aap ke dost hain - waah - waah , kya kahna dosti ka o ek dusre kojante bhi nahi hain -- shahnaz chirhane wale andaz me boli Achaaap chp rahiye maine bataya na ki sirf phone pe hi baat hoti thi aur jab bhimain kahin gayi hun to aap ke sath gayi hun , faltu me milna julna acha nahilagta na mujhe , aur aaj bhi nahi miltiagar pahle se na batya hota counselling ki wajah se – main boli Abjaldi chaliye bibi – wo boli Haanchal rahi hun aa to jeyen ye sahab – amin boli Tabhi wo samne usi jeep ke sath akar rukaaurbola aaiye Wodriving seat pe baitha hua tha , main boli piche baithti hun main Areyye kya baat hui aage bathiye – wo bola
27-02-2019, 10:36 PM
Aagehum dono log nahi baith payenge – maine kaha
Baithjayegne aiye to – wo bola Mainus ke sath wali seat pe aa gayi aurshahnaz se boli aao baitho , lekin shhnaz aage na akar piche chali gayi aurboli main to piche baithungi Thik hai maine kaha bitho aur main piche murkar shahnaaz ko dekhne lagi wo baith gayi thi , thik se baithna beta – main boli Jee bibbi – wo boli Usne gadi chala dii thi aur kafi door jakar fir u turn liye aur jis taraf se humlog aaye the gadi udhar hi chal diii Humkahan ja rahe hain – main boli Filhaalto aap mere sath chal rahi hain – wo bola Lekinkahan – maine pucha Abhito mere ghar chaliye kyun ki main pagal ho gaya hun subah se is liye ab chupchap baithye , bahut pareshan kiya aap ne – wo bola Mainekyun pareshan kiya pichle kuch ghanton se aap khud pareshan kar rahe hain aurho bhi rahe hain sirf apni bewakoofi se – main boli Kyunmaine kaha tha ki apna mobile tor do – wo bola Istarah ki problem to kabhi bhi kisi ke samne aa sakti hain , bus bahut kam chalrahi thi is election ki wajah se is liye hamare yahn aur kuch ho na ho lekinelection har saal hota hai – main boli Meribt pew o hansne laga , kuch der khamoshi rahi wo bar bar meri taraf ghoor ghoorkar dekh raha tha jo mujhe bahut buralag raha tha Abhikitni door hai – maine pucha Abhidoor hai – wo bola Aapaage dekhiye aur gadi dhyan se drive kariye main jhunjhlahat bhare lahje meboli , mere kahne ka asak kuch zyada hi hua aur bahut hi dhyan se bina idharudhar dekha gadi chalane laga – kuch der tak gadi bahut hi bheer bhari sarkonpar chati rahi aur akhir kaar ek bahut hi badi alishan multistory building kecoumpund me ruki Gadise utar kar wo bola aaiye aa gaya mera ghar , main utri aur shahnaz bhi utarayi , wo aage chalte hue bola aaiye Humdono us ke sath chal diye , chalte hue hum log lift me dakhil hue aur us nelift me 3 floor ka button press kiya Aapke ghar me lift bhi hai – shahnaz boli Isapartment me lift hai shahnaaz – maine us ko toka 3rdfloor par pahunch kar lift se bahar nikle aur chal diye corridor me dono tarafdoor the us me se hi ek darwaze ke samne wo ruka aur idhar udhar pocket me hathdalne laga Mainedoor bell bajayi - meri harkat pew ohansne laga , aur jeb se chabi nikal kar us ne lock khola Oooh– main samajh gayi wo kyun hansa tha – maine pucha kya ghar me koi hai nahi Nahi - wo bola , a mujhe bahut jhijhak ho rahi thiandar jane me kyn ki us ghar me jahan koi tha hi nahi siwaye us ke , wo shayad meri is jhijhak ko samajh chukka tha Aaiye dariye nahi ghar ap ka hi hai – wo bola Khairkisi tarah main andar dakhil hui , andar aayi to maine apne aap ko ek bade sehal me paya jis me bade bade sofe pare hue the aur dusri taraf dining table adi hui thi us se hi milahua ktchen tha ye sab samne dikh raha tha aur baki sare darwaze band the Sofe ke samne hi deewar pe ek bahut bada sa TV laga hua tha , main aur shahnaz dono andar aa gaye .
27-02-2019, 10:39 PM
Baithiyeaap log wo andar aate hi bola , hum dono sofe pe baith gaye , haal puri tarah sewel decorate tha jo ki drawing cum dining room tha
Wokitchen me chala gaya aur tray me cold drink lekar aaya , aur bola please , humdono nele liye to woe k gilas lekar samne baith gaya Gilaskhatam karte hi shahnaz boli bibbi mujhe washroom jana hai Woek taraf ishara karta hua bola wo hai , main bhi uth kar us ke sath chal dikitchen se mili hui galar thi jo balcony me jakar khatam ho rahi thi , aur usigalary me bathroom tha maine darwaza khola aur shahnaz andar chali gayi to mainwapas aakar sofe pe baith gayi . Je je to counselling ho gayi – us ne pucha Mainkuch nahi boli Yebatao paidaishi lafange ho – maine pucha Matlabye achanak aap ka mood – wo haklate hue bola Haankyun ki meri bahan thi sath me is liye nhi bol rahi thi , kya kaha that um newahan auto stand pe – main daant pees kar boli , aur university se bahar wolarke jo lrkiyon ko ched rahe the un ki sardari tum hi kar rahe the na – mainboli Areynahi sardari warddari nahi wo sab mujhe jante hain pahchante hain bas aur kuchnahi main aaj wahan aap ki wjah gaya tha warna man whana nahi parhta – womimyate hue bol raha tha Jantepahchante hain to mana karna chahiye un ko na ki , maine dekha tha jaise hi tumaaye the to un larkon ka wo haal hua tha jaise discharge battery charge ho gayiho – main boli – aur wahan auto stand pe wo kya tha Areyab please choriye na ye sab aam baat hai yahan aur maine aap se pucha hi to thaagar kah diya hota university jana hai to fir itna bhatakna nahi parta – wobola Uswaqt agar ek bar aur bolte to shayad pit jate aap – main boli Wochup raha – kuch pal ki khamoshi ke bad bola main to aisa hum aap ko bataya totha Shutup - main boli Aapko wapas bhi jana hoga , aap chaho to ghar phone kar sakti hain , kyun ki aapka mobile to kharab hai – wo bola Mainephone kar diya hai – amin boli Achacounselling ho gayi – wo bola Haan– main boli Pleaseab gussa mat rahiye na – wo bola - ap kaprograme kya hai abhi fauran jana hai ya kahin chal sakti hain aap mere sath –us ne pucha Program kuch nahi hai pahle ye bataiye aap to kahrahe the ki dekhte hi pahchan lunga aur dekhte hi name lekar pukarunga fir kya hua aap ko , aap to kitni barsamne se nikle – main ne pucha Jawabme wo bas haan ye wo wo hi kar paua tab tak shahnaz aa gayi , wo munh hathdhokar aayi thi aur ate hi boli bibbi abchaliye please kuch dress le ke diye mujhe paseene se bheeg kar khara ho gayihai ye dress – wo boli Dressleni hai kyun – shaizan ne pucha Mainebataya ki shahnaaz first aayi hai sirf first hi nahi balki college topper bhi hain is liye in ko ek camera le ke denahai , aur kuch purchasing krni kyun kicounselling aaj nahi ho payi wok al subah honi hai hai is liye aaj hum log humlog yahi hotel me stay karenge aur kalmorning me wapas ghar jayenge – mainboli Oohhoo – lekin aap log hotel me kyun stay karengi itna bada ghar hai aap log yahanrukiye na – shaizan ne kaha Jeenahi bahut bahut shukriyaa aap ka lekinhum log hotel me hi stay karenge – , acha ab hum log jana chahenge - main boli Dekhiyeye ghalat baat hai aap ki aap yahan tak aayi hain aur pura ghar khali para haius ke bawajood aap aisi bat kar rahi hain to mujhe yahi lag raha hai ki aapmujhe apna dost nahi samajhti aur shayad zaleel bhi kar rahi hain – wo bola _
27-02-2019, 10:39 PM
Nahinahi aisi koi baat nahi main bhla kyun aap ko zaleel karne lagi , ye aap khudek ghalat bat kar rahe hain – main boli
Tofir kya problem hai sab kuch yahanmaujood hai aap ko koi takleef nahihogi - wo bola Jeehaan bahut acha ghar hai aap ka bahut khubsurat bhi hai upar wale ka diya sb kuch hai aap ke pas –main boli Meremaa baap ka diya hua hai – wo bola Maineus ki baat ka koi jawab nahi diya kyunki main janti thi bewajah bahas karne se koi faida nahi aur meri ya mere jaisebahut logon ki adat hoti hai ki wo bat karne me bhi upar wale ka naam le letehain lekin shaizan jaise nastik log in sab baton ki sakht mukhalifat karte hain Aapke ghar me koi hai nahi kahan gaye aap ke parents – maine pucha Wolog out station gaye hain – wo bola Thikhai to fir chalun ijazat hai – maine pucha Jee– kahan jana hai ap ko – us ne pucha Marketjana hai camera ek acha sa kahan milega – maine pucha Chaliyemain bhi chalta hun – kya main join karsakta hun aap ko agar ijazat ho aap ki – us ne pucha Jeebilkul waise bhi hum log new hain is shahar me aur is area me to pahli bar aayihun – main boli Tochaliye wo uthte hue bola Mainbhi shahnaz ke sath khari ho gayi shaizan ek rrom me chala gaya , shahanazdhire se boli wow bibbi hum log fir se jeep me jayenge – tum nahi sudhar saktiho bewakoofi karogi zaroor – main boli Kuchhi der ke baad shaizan bahar aaya wo change kar ke aya tha us ne black jeans kesath light green T shirt pahani hui thi , wo bahut handsome larka tha , hightus ki above avrg thi rang bahut hi goratha , t shirt se bahar jhankti uski bahen muscular body hone ka sabot pesh karrahi thi us ka face thora sa lamba tha aur sir ke baal avrg the Hehas a complete personality aur awaz to us ki bahut achi thi hi jo main pichlekayi salon se sunti chali aa rahi thi , apni personality se wo bilkul holywoodacters ki tarah dikhta tha Aaiye– wo bola Humlog us ke sath bahar chal diye bhar akar us ne lock kiya aur hum log lift seniche aa gaye , niche akar wo jeep kidriving seat pe baithte hue bola aiye Mainfir us ke sath wali seat pe baith gayi aur shahnaz piche baith gayi wo gadicompound se nikal kar sarak par daurane laga kuch hi der ke baad gadi jis areame phunchi to wo mera jana pahchana lag raha thaw o last me hum log us shopingmall me pahunche jahan hum log ek bar aaye the aur bahut der tak baithe rahethe chuzi bhi mere sath thi Humlogon ko bahar ho chor kar shaizan bola yahi rukiye main park kar ke aata hun ,kuch der ke bad wo wapas aya aur bola aaiye , hum log us ke sath andar chalegaye , hum log yahan aa to chuke the lekin zahir hai ki jitna wo janta tha harcheez ko utna main nahi janti thi Humlog andar pahunche mall bahut bada thaaur kayi floor the us me shaizan upar niche niche upar har jagah ghumata raha ,hum logon ne kuch dress purchase kii maine to sirf ek hi lii , kyun ki zarooratthi , lekin shahnaaz un ko to koi rok nahi sakta tha un ko jo pasand aayaunhone le liya , aur mujhe uska shoping karna bahut acha lagta tha kyun ki wojob hi chahti thi wo leti rahti thi aur us ka vash hota to puri ki puri dukaanle leti Dresske alawa shaihnaz ne kayi night suit bhi liye , us ke bahut request karne par maine bhi ek nightsuit le liya warna aaj tak maine is tarah ke night suit pahne hi nahi the Maineshazan se pucha aap ko kuch nahi lena hai Nahibas main aap logon ki shoping dekh raha hun mujhe is se hi khushi ho rahi hai –wo bola Kyun– maine pucha Yepata nahi ya yuk ah liye ki main bata nahi sakta – wo bola
27-02-2019, 10:40 PM
Purchasingke bad counter pe payment ke liye shaizan me apna card ddene ki koshish ki tomaine mana kiya – main boli nahi main paise le ke aayi hun , aap please ye matkariye
Areyaap mehmaan hain meri ab itna to karna chahiye na mujhe – wo bola Nahimain mehmaan nahi hun main apne kaam se aayi hun aur purchasing ke liye aap kopareshan kiya aap ne tna waqt diya yahi kya kam hai – main boli Jawabme wo sirf muskuraya – pata nahi kyu aisa lag raha tha jaise wo kuch Sharma rhahai ya dara hua hai bahut jhijhak raha thaw o bolne me bat karne me , ye batmeri samajh me nhi aa rahi thi ki phone pe itna bak bak karne wala aur binasoche samjhe behooda lahje me baat karne wala shakhs itna reserve kyun hai Wahanse nikal kar hum log camera ki shop par gaye – jahan bahut sare cameras the abyahan pe shahnaaz ko dekhna tha aur wo hi dekhte hue us ke features ke bare mesales girl se bat kar rahi thi Shahnaazne NIKON ek camera select kiya aur mujhe bataya ki bibbi maine ye liya hai ,maine dekha to camera dekhne me kuch ajeeb sa tha , maine oucha ye pasand haiaap ko Jeebibbi – wo boli , ye bahut hi acha camera hai is ke alawa ek aur hai lekinbahut mahnga hai – wo boli Yekitne ka hai – maine pucha – to us sales girl ne bataya ki - 32000 INR - main uska to kabhi shanaz ka munh dekh rahithi Shahnaz to fir wo kitne ka hai jis ko aap mahnga kahrahi hain – maine pucha 59000INR – wo boli Yekuch mahnga nahi lag raha hai aap ko –maine pucha Areybahut acha camera select kiya hai nice and right choise – shaizan bola Aapchup rahenge – main boli - meri baat pe shaizan chup hokar alag hatgaya Bibbicamera mahnga to hai lekin mujhe yahi chahiye tha ab ordinary camera to hain naapne pas aur aap ne kaha tha ki jo main select karungi wo aap le ke dengi mujhe– wo boli Haankaha tha aur main mana bhi nahi kar rahi hun beta lekin ye puch rahi hun kya yemahnga nahi hai – main ne kaha Iski khususiyaat ko dekhte hue to yemahnga nahi hai – wo boli Koiaur le liye jo kam qeemat ka ho – main boli Usse koi faida nahi hai bibbi us se to aur nuksan hi hoga – wo boli Kaise– maine pucha Areyfarz kariye ap ne koi 10000 ka camera lediya to mujhe acha nahi lagega aur meri pasand ka bhi nahi hoga to 10000 –ya 5000 kharcha karna zaya krna hi hoga – wo boli Haanbahut samajhdari ki bat kar rahi hain aaj aap – main boli Jawabme wo dant nikal kar hansne lagi – khair maine us ko wo camera purchase kardiya , jo ki mere liye bahut hi mahnga tha lekin ab meri shahnaaz se aur us kikhushi se barhkar mere liye kuch nahi tha , maine le to liya tha lekin itne paise mainsath lekar aayi nahi thi to maine shaizan se pucha yahan ATM hai kahin , kyun ki itna paise to merepas nahi hain Koibaat nahi main apne card se payment kar deta hun – wo bola Areynahi aap ye bataiye ATM hai kya – maine pucha Haanhai groung floor pe hai - aiye wo bola main us ke asath chal di aur kuch hi derme main paison ke sath wapas aa gayi , maine payment kiya aur shahnaz ne camerale liya camera jo ki ek bade se box me tha us ko le kar bahar aayi aur khushise mujh se lipat kar boli Thank youbibbi Yeap ka gift hai BSC complete karne ke liye , maine kaha tha ki jab complete karlengi to mil jayega – main boli Yesbibbi thank you very much der me dilaya lekin wahi mila jo main chahti thi –thank you bolte hue wo mujh se lipat gayi
27-02-2019, 10:41 PM
Shaizanmuskura raha tha dekh kar shahnaz kibachkaana harkaton ko , us ne shahnaz ko wish kiya aur bola ab aap photo toliye yaha ke
Nahiyhan nahi main yhn ab nahi kholungi – woboli Thikhai thik hai – main boli Abchaliye yahan se – main boli Haanbibbi ab chaliye – wo boli aur hum log chal diye Shahnaazmaine socha tha ki main ek mobile bhi l lungi lekin ab paise nahi hain sab kharch ho gaye aur abhi aap ki fees bhibharni hai – main boli Ooohbibbi i am sorry for that ab aap kya akrogi mobile bhi to zaroori hai – wo boli Koibat nahi abhi to main yahi thik karaneki koshish karungi ghar pahunch ke – main boli Thikhai bibbi lekin aap ka mobile bhi bahut purana ho gaya tha – wo boli Haanbeta lekin ab kya karun koi bat nahi abhi thik kara lungi fir bad me newpurchase karungi – main boli Abkahan chalna hai – shaizan ne pucha Basab kahin nahi hum logon ka kaam ho gaya hai aur aap ne itna waqt diya hum neaap ko zahmat di us ke liye sorry – main boli Jawabme us ne muskurate hue sirf sir hilaya aur bola ab dinner kar liya jaye – mainsamajhta hun Nahius ki zaroorat nahi hai hum log hotel jake karenge – main boli Firhotel wo daant peeste hue bahut halke se bola , ab kya aap log mere sath dinnerbhi nahi karenge itna to haq banta hai mera mahmaan nawazi ka – wo bola Wothik hai lekin ab yahan se chaliye – mere sir me dard hone laga hai – main boli Firhum log bahar aa gaye wahan se – shaizaan ne apni gadi nikal kar bahar le aayaaur hum log baith gaye , Subahse aap log nikle hue hain itni zahmaton me pura din beet gaya lunch bhi nahihua hoga – shaizan gadi aage barhate hue bola Nahi– main boli Tofir dinner se kyun aitraaz hai aap ko ya fir mere sath nahi karna chahti - wo bina meri taraf dekhe gadi chalate huebola Nahiwo bat nahi hai -- main aage kuch kahnachahti th lekin wo beech me bol diya Wobat nahi hai to fir kaun sii bat hai --- bat koi bhi ho main dinner keliye chal raha hun – wo bola aur kuch der ke baad us ki gadi ek restaurant ke compound me jakr ruki gdi rukte hi 2 admiakar khare ho gaye shaizan un ko gadi ki chabi dekar hum logon se bola aaiye Gadiki chabi us ko kyun de di – main shaizan se pucha Woapne ap park karenge jahan chahenge – wo bola aur hum log andar aa gaye woe kshandaaz bahut hi – fi restaurant tha andar pahunchte hi ek waiter ne warmwelcome kiya aur ek table pe bitha kar pani serve karne ke baad wo order keliye bola Kyalengi aap log – shaizan ne pucha Aapbataiye kya lenge – main boli Sorrymain apna khana aap ko nahi de sakta is liye aap log khud order kariye jo achalage – wo bola Maineorder kiy aur shaizan se kaha aap bataiye aap ko kya lena hai - jawab me bolakuch khas nahi jo madam ne kaha hai yahile aao – wo bola Firhum teeno ne dinner kiya dinner ke bad hum log bahar aa gaye - bahar aate hi shahnaz boli bibbi mujhe ice cream chahiye ooh shahnaz abyahan ice cream kahan hai – main boli Wosamne – wo ek taraf ishara karte hue boli
27-02-2019, 10:42 PM
Quote:simran deol
27-02-2019, 10:43 PM
Last Update se aage ---
Thikhai chalo , main us ke sath chal dii shaizan bhi tha hum logon ne ek ek cone lelii Mainek aur lungi – shahnaz boli Lelo jitni chahe le lo – main boli Usne sirf ek aur lii ek hath me pakre aur ek kati hui wo akr gadi me piche baithgayi shaizan gadi chala chukka tha Toap ne kya socha – shaizan bola Kisbare me – maine pucha Kahanchalna hai mere ghareeb khane pe ya fir hotel Hotel– main boli Lekinkyun us ne pucha mera ghar ap ke liye hazir hai lein fir bhi aap apna paisafaltu me kyun waste karna chahti hain , haan main manta hun ki ghar aap kelayak nahi hai hotel ke jitna acha to nahi hai lekin fir bhi kisi ki ghareebika mazak nahi urana chahiye Kyaaa– main boli Hanaur nahi to fir kya bat hai – wo bola Mainchup rahi aur kuch nahi boli kyun ki mujhe us se is tarah ke lafzon ki ummeednahi thi , hamesha lawbali baten karne wala aisi bat kar raha tha jo ki hameshakahta tha main serious nahi hota emotional vimotional main kabhi nahi hota Lekinus ke ghar to main gayi thi but jab ye dekha ki wahn koi nahi hai to mujhewahan rukna acha nahi lag raha tha , ye bat alag hai ki kayi saalon se hum logbaat kar rahe the aur ek dusre se kuchwaqfiyat rakhte the lekin fir bhi mujhe us ke ghar jate hue dar lag raha tha ,aur zahan me kayi tarah ke khyal aa rahe the , jin ki wajah se main insecurefeel kar rahi thi is liye main baar baar mana kar rahi thi – aur sab se badibaat ki mere sath meri bahan bhi thi jiski fikar mujhe is duniya me sab sezyada thi . Woshayad meri problem ko bhanp chukka tha - wo bola , dekhiye thora mushkil thora nahi aap ke liye shayad bahutmushkil hai ye ki yun pahli bar mile aur ap mujh par yakeen kar len lkin firbhi main yahi kahunga ki darna ki zaroorat nahi , kyun ki zahri mile nahi lekinek dusre se to waqif hain – wo bola Tumse waqif hun is liye hi to dar rahi hun – main apne man me soch rahi thi lekinboli kuch nahi Kisibhi tarah se pareshan hone ki zaroorat nahi hai bas itna hi kahunga ki basbharosa kariye aur bharose ko build karne ka wk mauka diye – wo bola Thikhai – kuch der ki khamoshi se sochne ke bad main boli Thankyou very much – wo bola fir main khmosh rahi aur wo gadi chalata raha Wowlovely lovely – so nice – piche baithi shahnaz Barbara rahi thi – maine us kitaraf murkar dekha aur kya hua dear Kuchnahi kuch nahi bibbi – wo boli Tokya kah rhi ho lovely lovely – main boli Wowo ice cream ice cream – wo khate hue boli Waahkya kahna aap ka – main bahut dhire se boli aur fir se aage dekhne lagi Tabhishahnaaz tez awaz me boli oooh wowwwww yeeee Mainepiche dekha to wo jeep me piche kahri ho ke chehra upar kiye hue chilla rahithi Yekya kar rahi ho – baith jao sharafat se main boli Merekahne par wo fauran baith gayi mainbahut sakht nazron se usko dekh rahi thi usne jhat se apna face ghutno pe rakhliya Raatke waqt is jagte hue shaher ki taveel sarkon ko raundti hui shaizan ki gadikuch hi der ke baad us ki building ke coumpound me dakhil hui |
« Next Oldest | Next Newest »
|