Posts: 7
Threads: 1
Likes Received: 0 in 0 posts
Likes Given: 1
Joined: Jan 2019
Reputation:
0
03-06-2020, 01:12 AM
Nazdeekiyaan - Do rishto ke pyaar ki daastaan
Hello friends mera naam Sushant hai aur main xossipy ka purana reader hoon main yahan ka regular reader hoon mujhe kahaniyaan padhna bahut achha lagta hai aur aaj main aap sabke liye ek anokhi love story lekar aaya hoon jo romantic toh hogi hi saath mein erotic bhi hogi. Main pehli baar yahan story likhne ja raha hoon so please mujhe instructions dijiyega kyunki yeh story lambi chalegi so index kaise banaun, images kaise add karun, font colours etc kaise hoga yeh batlayiega aur haan story mein koi galti ho toh mujhse kahiyega aur maaf kijiyega main usay theek karunga. Ab se thodi hi dair mein pehla update dunga aur haan updates mobile se dunga so main try karunga ki update lamba ho.
•
Posts: 7
Threads: 1
Likes Received: 0 in 0 posts
Likes Given: 1
Joined: Jan 2019
Reputation:
0
03-06-2020, 10:02 AM
So guys welcome to my thread aaiye aapka kahani ke characters se introduction karwata hoon.
Ajit Kshatriya (purv major general Indian Army)
Age - 62, Bahut hi swabhimaani aur usoolon waale insaan hain. Deshbhakti khoon ke saath inke ragon mein behti hai pehle Indian Army mein thhay aur ab Mumbai sheher ke jaane maane bussiness woman ke bussiness ko yahi sambhalte hain.
Asha Kshatriya (Highclass bussiness woman aur housewife bhi hain) Age - 60,
Ajit ki humsafar unki life partner yaani unka pyaar.
Ajit aur Asha ji ki love marriage thi dono college ke waqt se hi ek dusre ko chahte thhay aur unhonein shaadi kar li college complete karte hi but Asha ke father iss shaadi se khush nahin thhay jo apne zamane ke bussiness tycoon thhay but Asha ke eklauti beti hone ke kaaran unhein Ajit ko apna son in law accept kiya.
Ab aage ke characters ki baari - Ajinkya Kshatriya (Indian Army mein captain ki post per hain) Age - 27.
Ajit aur Asha ke bade bete hain dusre shabdon mein kahein toh dono ke pyaar ki pehli nishaani. Ajinkya bilkul apne Papa par gaye hain apne father ki hi tarah karodon rupiye ki property aur bussiness chhoddkar army join kar li aur deshbhakti aur khuddari mein yeh apne pita se bhi 2 kadam aage hain.
Aalekh Kshatriya - (Medical student in Prayag raj university)
Age - 24
Kshatriya khaandaan ke dusre aur chhote sahabzaade hain inke baare mein jaan na hai toh itna hi kahunga ki kaafi oonchi naak waale insaan hain aur apni maa ki daulat aur unke naam ka istemaal poora-poora karte hain inshort yeh bigde raees hain.
Yeh toh kahani mein pehli family ka introduction tha jo iss story ke hero ki family hai ab milte hain heroine ki family se.
Aarushi Bharadwaj - (Medical practitioner & student in same college)
Age - 24, Aarushi ke baare mein jitna bataun utna kam hai but short mein inka parichay deta hoon yeh bhi same university mein medical student hain aur Aalekh ki class mate bhi hain, Aarushi modern khayalaaton waali ladki hai but utni hi shy aur sanskaro waali bhi hai. Apne culture aur traditions mein bahut maanti hai aur sabse zaruri baat ki yeh bhi Aalekh ke jitna hi high class status waali hai but Aarushi ko iss baat ka koi ghamand nahin. Woh kaafi sundar aur sushil ladki hai aur apne mom dad ki laadli bhi.
Ashish Bharadwaj - (Mashoor industrialist hain)
Aarushi's father, Age 62, Yeh bahut hi mahatvakanshi vyakti hain daulat toh inke pass beshumaar hai lekin aur paane ki inki chahat kabhi khatam nahin hoti. Paisa aur khud se pyaar karne ke alawa ek aur cheez hai jo inke life mein bahut maayne rakhti hai aur woh hai Aarushi inki eklauti beti yeh uski khushiyon ke liye kuch bhi kar guzarne ko taiyaar rehte hain.
Neelima Bharadwaj - (Gynecologist hain aur housewife bhi)
Age - 60, Aarushi's mother agar main kahun ki Aarushi mein jitni bhi achhi qualities hain jaise achhe gunn aur sanskaar toh woh Neelima se usay viraasat mein mili hain. Neelima sirf Aarushi ki maa nahin balki ek dost bhi hain jo hamesha se apni beti ko khush rakhti hain aur uski khushi mein hi apni khushi samajhti hain yahan yeh batana bhi zaruri hai ki sirf sanskar hi nahin sundarta bhi Aarushi ko inhi se viraasat mein mili hai.
Ok friends kahani ke main characters ko maine bata diya hai ab main story likhna shuru karunga toh dil thaam ke baith jaaiye kyunki yeh ek love story hai jismein eroticism ke saath saath do dilon ke beech badhti naazdeekiyan bhi hain yu samajhiye ki ek anokhi prem kahani hai. Story starts in next update tab tak aap log comment kar batayein ki characters se milke kaisa laga ?
•
Posts: 7
Threads: 1
Likes Received: 0 in 0 posts
Likes Given: 1
Joined: Jan 2019
Reputation:
0
03-06-2020, 04:57 PM
Update - 1
Jammu & Kashmir (Indian Army Headquarter)
Time : 7'o'clock in the morning
Colonel Bakshi - Telephone pe kisi se, Hello Captain Ajinkya ko bulao immediately.
Dusri oar se aawaaz aati hai - Ok Sir, Abhi aapka message un tak pahunchata hoon. Receiver dono taraf se rakh diya jaata hai aur turant thodi dair baad ek naujawan Captain Ajinkya ke tent ki oar badhta hai.
Naujawan - Good Morning Captain, Aapko Colonel sahab ne yaad kiya hai woh abhi aap se issi waqt milna chahte hain.
C.Ajinkya - Ok ! Tum chalo main aata hoon.
[Cadets ko order dete huay] Cadets ! Apni aankhein khuli rakhna dhyaan rahe palkein jhapakne na paayein. Ek chook aur dushman ko ghuspayth ka mauka mil jayega agar jhaadiyon mein koi bhi hulchul ho then shoot the target aur agar koi bhi aisi baat ho jo situation ko kharaab kare ya sarhad par khatre ko badhaye toh mujhe turant inform karo. Is that clear ? [Army troops mein sabhi ek aawaaz mein bolte hain] Yes Sir !
C.Ajinkya - Good ! Tumlog nazar rakho main abhi turant Colonel sahab se milke aata hoon.
[Colonel ke office mein enter karte huay Ajinkya salute karta hai]
C.Ajinkya - Jai Hind Sir, Aapne mujhe bulaya ?
Colonel Bakshi - Jai Hind Captain aao baitho mujhe tumse hi milna tha suna hai tum 6 mahiney ki chhuti chahte ho ! Kya baat hai ghar pe sabhi theek hai na ?
C.Ajinkya - Yes Sir, Everything is allright fikar karne waali koi baat nahin hai bas parents ne mujhe strictly ghar aane ke orders diye hain (hanste huay) Darasal Sir mere chhote bhai ki janmdin ki 25th saalgirah hai aur iss saal uski padhayi bhi complete ho jaayegi toh mummy papa ne uski engagement bhi rakhi hai usi din. Issliye leave application diya tha.
Colonel Bakshi - Oh great ! Yeh toh good news hai aur tumhare liye bhi good news hai aur woh yeh ki tumhari application ko sanction kar diya gaya hai yaani ab tum 6 mahiney ke liye free ho.
C.Ajinkya - Thank You Sir, Mujhe yahi ummeed thi main jaanta tha ki meri chhutti sanction ho jaayegi.
Colonel Bakshi - Aray hoti kaise nahin aakhir tum hamari Indian Army ki shaan ho aur phir tumhara record bhi bahut achha raha hai Army join karne ke baad se lekar abtak. I am proud of you Ajinkya aur tumhare pita ko bhi tumpar garv hoga aakhir kaar woh bhi toh army mein thhay. Tumne itne kam waqt aur umar mein jo safalta haasil ki hai ki uske liye tumhe teen - teen baar promotion diya gaya jiske tum haqdaar ho aur phir chhuttiyan bhi toh tum lete kam ho. Ok ! Yeh raha tumhari leave ka sanction letter ab tum jaa sakte ho aur haan meri taraf se apne bhai ko congratulate karna uske bright future ke liye aur upcoming wedding ke liye bhi aur ek baat aur meethayi nahin khilayi tumne woh tumpe udhaar raha [Colonel aur Ajinkya dono hans dete hain]
C.Ajinkya - Thanks Sir aur aapki mubarak baad bhi doonga apne bhai ko, Jai Hind Sir [Salute karke nikal jaata hai]
Ajinkya apne room mein aane ke baad apna saara saamaan pack karne lagta hai ki tabhi ek tasveer uske bag se nikalkar gir jaati hai jise woh turant utha leta hai aur uss tasveer ko dekhte hi Ajinkya ki aankhon se aansu nikal padte hain.
【Kiski thi yeh tasveer ? Kyun faulaad ki tarah mazboot aur sakht badan aur dil rakhne wala Ajinkya iss tasveer ko dekhte hi emotional ho gaya ? Kya vajah rahi hogi ? Yeh bataunga agle update mein aur aap bataiye ki yeh update kaisi rahi please comment kar bataiye taaki story aage badha paaun.
•
Posts: 8,908
Threads: 771
Likes Received: 3,910 in 2,739 posts
Likes Given: 47
Joined: Apr 2019
Reputation:
52
acha start hai... Agay dekhte hain kahani ko kaise barhatay ho Ap
Posts: 7
Threads: 1
Likes Received: 0 in 0 posts
Likes Given: 1
Joined: Jan 2019
Reputation:
0
Update - 2
Mumbai - Bandra
Kshatriya mansion
Time - 9'o'clock AM
Ek aadmi breakfast ki table par baitha hai aur naashte ka wait kar raha hai ji yeh aur koi nahin Ajit hain jo office jaane ke liye ready hain aur table pe baithe newspaper padh rahein hain breakfast ke intezaar mein tabhi ek khoobsurat si lady aati hai aur newspaper Ajit ke haath se chheen leti hai.
Ajit - Asha ji, Yeh kya hai aap har subah aisa hi karti hain laaiye newspaper wapas kijiye jab tak naashta aata hai tab tak kuch surkhiyan dekh loon.
Asha - Ji nahin, Naashta ready ho chuka hai aur table pe gopi leke aati hi hogi. (Gopi inki maid hai) Gopi! Sahab ka naashta lekar aao jaldi unko late ho raha hai.
Gopi - Ji laayi mem saab, gopi jaldi garma garam naashta lekar aa jaati hai aur table par parosney lagti hai
Ajit - Aray waah Gopi aaj naashtey mein Aaloo matar ki sabzi aur Paraathhey ! Lagta hai tujhe bhi khabar mil hi gayi Ajinkya ke aane ki. Isliye aaj naashta uski pasand ka banaya hai.
Gopi - Ji saab bade babu ke aane ki khabar toh humko maloom huyi aaj hi subah lekin naashta aaj humne nahin mem saab ne banaya hai khud apne haathon se.
Asha - Suna na aapne Mr. Ajit yeh maine banaya hai khaas apne bete ke liye toh chup chap kha lijiye aur haan 2 se zyada nahin khaana aap warna aaj salad aur kakdi ka double dose doongi samajh gaye na aap ! (Gopi ki oar dekhte huay) Tu yahan khadi khadi kya kar rahi hai jaa jaake taiyaari kar aaj mera Ajinkya aanewaala hai koi kami nahin honi chahiye mere bete ke swagat mein.
(Gopi chali jaati hai)
Ajit - Fikar na kijiye Asha ji main control karna jaanta hoon major general reh chuka hoon so aapki nasihat se mujhe koi farq nahin padnewala aur phir aaj main waise bhi kam hi khaane wala hoon kyunki jab subah ka breakfast itna badhiyaan hai toh raat ka dinner toh waah ji waah jagah khaali rakhna toh banta hai aur aap mujhe rokengi nahin aapko sasur ji ki kasam. (Yeh sunte hi Asha hasne lagti hai aur kehti hai)
Asha - Kasam dene ki zarurat nahin hai aaj main bahut khush hoon isliye aapko sab maaf hai. Aaj mera Ajinkya aa raha hai, Poore 8 mahiney baad dekhoongi usay na jaane kab ghar aayega. Usko dekhne ke liye aankhein taras rahi hain jaise hi aayega apne sine se laga loongi mere kaleje ke tukde ko. (Yeh kehte kehte Asha ki aankhein nam ho jaati hain)
Ajit - Aray yeh kya Asha ji aap phir emotional ho gayin ? Ajinkya agar aapko aise dekhega toh usay dukh nahin hoga. Hanstey muskuraate huay uska swagat kijiyega bhai ! Waise bhi hamara beta real life hero hai aur aap us national hero ki maa hain come on ! Veer kshatrani hai aap aur veer ko janam denewali kabhi roti nahin balki fakr se sar uthake jeeti hain.
Asha - Bas bas ab aap phir puraane rajaon maharajaon jaise shuru mat ho jaiye hum 21st century mein hain aur baaton mein waqt na gawakar nashta khatam kariye aur office chalte baniye.
Ajit - Woh sab toh theek hai Miss Home Minister main toh discipline follow karne waalon mein se hoon so main time par office pahunch jaaunga but aapke chahitey suputra shreemaan Aalekh kahan hain ? Unki subah nahin huyi abhi tak ??
Aalekh - Subah ho chuki hai Dad - Mom. Good Morning Papa Good morning Mom. Dad ab se aapko mujhpe tanj kasne ka ek bhi mauka aapko nahin milne wala hai kyunki ab main bhi bhaiya aur aap ki tarah anushashan aur niyam follow karunga.
Ajit - Waise kitne ghante ke liye hoga tumhara yeh niyam aur anushasan ?
Asha - Bas kijiye aap, Woh time pe uth toh gaya hai na aur ab Aalekh ko bhi apni zimmedari ka ehsaas hone laga hai. Am I right beta ?
Aalekh - Very true mom iss ghar mein sirf aap hi ho jo mujhko samajhti ho varna baaki ke log toh mujhe seriously lete hi nahin. ( Ajit ki taraf tirchhi nazron se dekhte huay kehta hai)
Asha - Yeh lo tum bhi naashta kar lo Aalekh aur haan aaj aap dono se request hai ki aap dono aaj jaldi ghar aa jaayiega kyunki main nahin chahti ki Ajinkya ko yeh lage ki kisi ko uski parwaah nahin hai toh Ajit aap aaj office se jaldi aayenge aur Aalekh khaaskar tum koi club ya discothick nahi jaaoge college se sidha ghar aaoge. Is that clear both of you ??
(Dono ek sur mein kehte hain) Jo aagya Devi ji.
[Sorry friends yeh update chhota diya but aaj hi iske baad wala update bada doonga so please aap apna saath banaye rakhiyega because main time nahin mil paane ki vajah se likh nahin paa raha hoon].
•