Thread Rating:
  • 8 Vote(s) - 2 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala
Chhuzi se baat karaiye – main boli
Nahi wo abhi to bat nahi kar sakti so rahi hai – wo bole
Acha to sone diye – main boli , kitni der me ja rahe hain aap log , mainabhi aati hun – maine kaha
Nahi beta pagal mat bano itni rat ko kaise aa jaogi yahan tum aur hum logbas nikal hi rahe hain – wo bole
Thik hai uncle ap mujhe phone karte rahiyega – maine kaha
Haan beta zarur aur tum zara aunty ko dekh lena ek do bar jake kyun kiharsh bhi ja raha hai - wo bole
Aap is bare me koi fikar mat kariye main boli aur phone rakh diya
Main soch me par gayi ki ye chuzi bhi kya ajayeb ghar se aaya hua koinamoona hai jaise ek pal me thik hai aur agle pal me uski itni buri halat hojati thi ki pucho mat , agar kisi ko bataya jaye to shayad yakeen na kare lekinain apni ankhon se apne samne dekh chuki thi is liye mujhe chuzi ki tabiyat sebahut dar lagne laga tha .
Us ke baad to nind hawa ho gayi , aur main fir soyi nahi chuzi ke bare meye sunkar dil bahut ghabra raha tha maine akeli room me hi tahalne lag mainesocha chalke shahnaz ko jaga dun taki us se hi baten kar sakun lekin fir kuchsoch kar nahi jagaya ki wo so rahi hai to kyun main us km pareshan karun abhiwo bhi pareshan ho jayegi fir hawaron sawal kar ke mujhe pareshan karegi isliye maine us ko na jaga kar apne room se hi lawan me aa gayi
Bahr aakar main nnge pair ghas pe chalne lagi aaj kayi dino ke bad main rat me lawn me thi din bhi kit apish ke baad aisalag raha tha jaise din bhi thak kar rat ki shakal akhtiyar karte hue so rahahai .
Charakh barin par sitare timtima rahe the raat ke is pur sukoot manzar komain lafzon me nahi bayan kar sakti kyun i maine kaha hai ki raat ki tareeki meyun khule aasman ke niche baithna mujhe intehayi darja pasand hai .
Kuch der tak tahalte rahne ke bad maine socha chalo ek cup chai pee jayeis se behtar kya hoga main aur tanhayi raat ki tareeki me agar hath me chai kacup ho to kisi hamsafar se kam nahi mahsoos hota yahi sochte hue main jhule pebaith gayi baithe baithe main apne mobile ko dkhne lagi aur inbox me pahunchkar main msg dekh rahi this are purane msg , sab msg shaizan aur chuzi ke hi the msg ko dekhtedekhte hi achanak khyal aaya ki shaizan ko phone kar ke dekhun kya kar rahahoga kahta to hai ki raat ke kisi wat phone karo jagt hi milunga
Maine phone kiya to pahli hi ring me phone uth gaya aur wo bola hello
Hello – i said
He – haan gul kaho kya haal hai sab khairiyat itni raat ko aaj aap nekaise phone kar liya
Me – bas aise hi kar liya nind nahi a rahi thi aur kuch acha nahi feelkar rahi thi is liye phone kar liya ekin tum soye nahi abhi ?
He – Nahi , main nahi soya , aap ne kaise phone kar liya is ese matlabnahi hai balki phone kiya , mere liye, mere liye , main bata nahi saktaki mujhe kitni khushi hai kam se kam aap ne is kabil to samjha ki akele pan memujhe se bat Karen , main bahut khush thank you gul
Me – is ki koi zarurat nahi main to soch rahi thi ki kahin itni rat memain aap ko disturb to nahi kar rahi hun
He - disturb ki kya baat hai 24hour 365 din kabhi bhi phone kar sakti ho us ke liye kabhi sochna bhi nahi kidin hai ya rat hai
Me – ok
He – aur ye aapaap kahna chor do hazar bar mana kiya hai maine
Me – thik hai
He – ek baatkahun
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Do not mention / post any under age /rape content. If found Please use REPORT button.
Me – haan kaholekin please koi aisi bat mat karna jo mujhe ye ahsas dilaye ki maine aap kophone kar ke ghalti ki hai
He – nahi nahi aisakuch nahi hai , main ye kah raha tha ki main bas tumhra number dial karne hiwala tha ki tumhra phone aa gaya , ab socho mere liye ye waqt kya waqt hoga
Me – kyun iswaqt mujhe kyun call karne wale the
He- bas bahutyad aa rahi thi to maine dekhun phone kar ke aap to so rahi hongi lekin shayadjag jayen
Me - hmmm so jaya karo rat ko to fir ye faaltulogon ko yad nahi karoge
He – hey kaunfaaltu ?.... tum aur mere liye – andaz bhi nahi laga sakti aur na hi main batasakta hun , bas kuch tum ko sunana chahraha tha to us ke liye kafi mehant kit hi is liye yad kar raht ha
Me – sunana chahrahe the wo bhi itni raat me aisa kya ... koi naya tamasha hoga koi khurafat
He – nahi nahidear aaj maine phone kiya to koi ghaltbaat karna to door maine socha bhi nahi
Me – fir
He – actually mainetumhare liye kuch likha hai
Me – kya
He – sunaun kya
Me – yes sunaoagar sunane layak hai to
he – ok waitkaro
ye kahkar wokuch der khamosh raha aur khatar patak ki awazen aati rahi meri kuch samjh menahi aa raha tha ki akhir ye kya hor aha hai
kuch minute kebaad us ne music bajane shuru kar diya
me – ye kya hai
He – guitar bajaraha hun
Me – guitar bajanaaat ahai tum ko
He – yes bahutache se , aur shayad ye maine bataya bhi tha aap ko
Me – mujhe yadnahi ho sakta hai bataya ho
He – suno
Wo ek dhun bajaraha tha
Me – ye itna tezbaj rha hai guitar hai ya koi music lagya hua hai
He – guitar hihai aur khas aap ko sunane ke liye maine puri tarah se sab se kiya hua hai yeelectronic guitar hai
Me – ok – waise bahutacha bajate ho aur dhun bhi achi hai
He – thank you –aur ab is dhun ke words ko bhi suniye khamoshi se aur yahi main aap ko sunanachata tha
Me – ok – itna kahkar main chup ho gayi
He – dil nemahsoos kiya
Tum ko dharkanme
Ankhon ne dekhaman ke darpan me
Tum ho anjaanefir bhi maine tum ko apna samajh liyaa
Dekha nahi tumko
Mila nahi tum se– phir bhi tumhe paa liya
---
Kaash tum yahanhote tumhen jee bhar ke dekhta
Kash tum yahanhote tumhen jee bhar ke dekhta
Dekha nahi tumko mila nahi tum se fir bhi tumhen paa liya
Wo pal na janekab aayenge
Saamne jo meretum ko layenge
Tumhare intezaarme tumhari raahon ko nazar me basa liya
Dekha nahi tumko mila nahi tum se fir bhi tumhen paa liya
Kaash tum yahanhote tumhen jee bahr ke dekhta
Dekha nahi tumko mila nahi tum se fir bhi tumhen paa liya
 horseride  Cheeta    
Like Reply
He – kaisa laga
Me – bahut acha,
He – ye mainelikha hai aap ke liye
Me – really
He – yes , kyun?
Me – mujhe yakeennahi ho raha
He – haan mujhepata tha , sari duniya yakeen kar legi mere upar nahi karengi to sirf aap
Me – wo bat nahihai , maine sirf is nazam ki bat ki hai aur agar ye waqai aap ki hai to qabil etareef hai
He – sach me
Me – yes
He – sachi bataona
Me – haan sachkah rahi hun
He – ye maineaap ke liye likhi
Me – agar ye aapne likhi to ek bat ka jawab diye
He – kya
Me -- paa liya ka kya matlab hai ... dekha nahimila nahi .. wo to thik hai
He – paa liya sematlab wo paa liya nahi jo log aaj kal samajhte hain , aur maine pahle chaahliya ad kiya tha lekin hata diya , ki kahin wo aap ko bura na lage ki chah kyunliya
Aap ghalat nasamjho is liye maine fir paa liya use kiya aur ye ghalt nahi hai hum lgo ekphne caal pe ek dusre ke sath hain
Ek din msg nakarun o aap ko acha nahi lagta , aur aap ka phone na uthe to kitne ache msg aapko send karta hun ye aap janti ho
Me – haan wo tohai
He – aur paalene ke liye kya zaruri hota hai , main soch raha tha ki aap ko phone karunmobile hath me leke number dial karne hi wala tha ki aap ka phone aa gaya
Ab pa lene kakoi aur naam to nahi hota aur gar hota bi hai t mere liye usks koi matlab nahihai
Me – hmmmm bahutachi nazam hai ab yakeen ho raha hai ki tumhari hi hai kyun ki wazahat bhi kardi tum ne is liye
He – aur bataoab kaisa feel kar rahi ho
Me – thiik
He – nooo , thikto nahi hai gul is waqt batao kya bat hai
Me – koi batnahi
He – nahi koibat to zaroor hai tum ne kaha t\bhi tha ki kuch acha feel nahi ar rahi thi islyecall kiya
Me – haan womeri ek bahut achi friend hai us ki tabiyat achanak bahut kahrab bho gayi is liye thora pareshan thi raat ka waqt hai jabhi nahi sakti to kya karun bas phone kar rahi thi
He – koi pareshanni ki to bat nahi
Me – nahi aisakuch nahi
He – to fikarmat karo thik ho jayegi , kahan hai wo
Me – hospital me
He – to fir koitension nahi hai , jab hospital pahunch gayi treatment mil gaya to fir sab thikhai
Me – haan wo tohai
He – au batao
Me – bas aur sabthik hai
He – acha tomain phone rakhta hun der bhi ho gayiraat khatam ho gayi ujala hone laga hai main bhi aur bat nahi karna chahta
Me – ok thik hai
He - kyun ki aj maine tum ko sirf ye sunane keliye phone kiya tha aur man nahi chahta tha ki main koi aur falltu ki baatkarun
Me – good bahutacha hai main bhi ja rahi hun ab prayerke liye
He – ok take care
Me – thanx andyou too
He – you you andonly you shud take care
Me – kyun
He – kyun ki sabkifikar me apne bare me sochti hi nahi ho
Me – aisa nahihai aur koi aisa ho bhi nahi nahi sakta
He – kaun haikaun nahi mujhe mat bataiye , main aap se puch nahi raha aap ko bata raha hun
Me – ok ok thikhai
He – ok dear bye
Me – bye
Maine phone bandkiya
Abhi PG kar rahahai aur Baten falsafiyon ki tarah kartahai
Ye kahti huimain andar aa gayi aur nahakar main prayer ko pahuch gayi kyun ki is waqt maisirf chuzi ke liye hi prayer krna chah rahi thi
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Kafi waqt liyaaaj maine prayer me kyun ki sab jante hain ki mushkil ghariyon me apne bananawale ko hi yad karte hain ab us ko chahe jis naam se pahchane aur hum chahekisi bhi mazhab ke hon
Aur ek baat jolog nahi mante aur jinka mazhab laa amazhabiyat hi hai wo bhi us ko yad kartehain ab bhale hi bura kahne ke liye yad karte hon lekin yad zarur karte hain .
Suraj nikal aayatha maine shahnaz ko uthaya aur chai nashte ke bad maine us ko btya ki chuzi ki fir tabiyat khrab ho gayi hai aur us kodusre city le gaye hain .
Kab bibbi kaisekyun aur dusre city le gay hain kya bahut ...??? .. is tarah ke sawalon ki barish kar di thius ne aur main jawab de rahi thi
BIbbi ap ne batki hospital – wo boli
Haan kit hi wo admit ho gayi hai aur ilaaj to chal hiraha hai lekin abi bahut weak hai pareshani ki bat ye hai ki meri abhi tak chuzi se baat nahi hui hai –main boli
Bibbi chaliye na– wo boli
Kahan ? – mainboli
Chuzi didi kodekhne – wo boli – intehayi darja bechani aur pareshani us ke chehre se jahlakrahi thi
Lekin wo yahannahi hai .. maine kaha ki wo dusre city me hai – main boli
Haan to wahinchaliye na – wo minnati andaz me boli
Thik hai chaltihun abhi chalen ya sham ko – maine pucha
Abhi abhi –bibbi abhi chaliye – wo boli
Maine seema auraunty ke pasjakar un ko bat batayi aur ghr pe rahne ko kaha kar main shahnaz kesath nikal gayi , pahle main chuzi ke ghar gayi aur chuzi ki mom se mili aurkuch der n ke sath rahi unke ghar bhi bahut log the aap paros ke .. kuch der ke bad main wahan se chal dii aurus city me aa gayi jahan par chuzi pahlebhi aa chuki thi
Hum dono sidheample hospital pahunche aur chuzi se mile
Wo abhi bhi be hosh thi maine uncle se pucha – to wobole docter kah rahe hain koi khas bat nahi hai wahi sab baten ki ye kam hogaya wok am ho gaya aur ek bar hosh me aagyi au sab ko pahchann liye to bilkulthik hai aur agar nahi pahchanti to fir dimaghi kaifiyat bigar sakti hai
Shaaam tak mainwahin rahi sham ko chuzi hosh me aayi aur sab se pahle us me mujh ko dekhadocter ne pucha batao ye log kaun hai , “khair thanks god “ us ne sab kopahchan liye tha aur hosh me an eke bad se hi kuch had tak uski halat me bhisudhar hone laga tha , kuch der rukne ke baad unlce shahnaz se bole bei tumbore to nahi ho rahi ho
Nahi nahi uncle– wo boli
Tum chai lakarpilao ab – uncle ne harsh se kaha
Harsh chala gaya to uske piche uncle bhi chale gayemain chuzi se bat karne ki koshish kar rahi thi lekin us ko kafi zahmat ho rahithi bolne me
Achnak wo merahath sakhti se pakar kar boli – gul mujhe tum se shikayat hai
Kyaaa – mainchaunkte hue boli
Wo kuch kahne kikoshish kar rahi thi
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Deho tum thik hojao fir sari shikayat kar lene , waise maine kabhi aisi koshish bhi nahi kimere apno ko mujh se shikayat ho lekin fir bhi main ek adna si insaan hi hun na, lekin tum fikar mat karo ye sab bekarki baten na socho bas tum thik hokar ghar aao fir tum ko koi shikayat nahi rahegi mujh se ye mer waada hai – mainboli
Wo muskurate hueboli – shikayat ye hai kit um mujhe pahle kyun nahi mili bahut der se mili aurbahuthi zyada mere kareeb ho gayi
Der se milne kikoi shikayat nahi hai mujhe lekin bahut khushi hai kit um mujhe mili – mainboli
Lekin mujhe haikaash tum pahle mil gayi hoti to main bhi tum ko follow karti aur tumhare hisabse chalti to shayad aaj main bhi thik rahti
Arey kya bakwaskar rahi ho ye to hota rahta hai na –main boli is m itna pareshan mat ho
Gul you know –wo mere baton ko jaise sun hi nahi rahi thi aur wahi kah rahi thi jo us ko kahnatha
Tum bahut achiho aur tum ne life ko bahut ache dhang se jiya hai jis tarah se shayad hum sabko jeena chahiye , shahnaz ko dekh karmaine bahut baar ye socha kaash agar tum mujhe pahle mili hoti to tum meri bhiidol hoti
Ye kya kah rahiho chuzi tum aaram karo ye sabmat socho – main boli
Yes you are –main jo kah rahi hun us ko suno , mujhe tum se milne ki aur tumhare jaisifriend kp pakar kitni khushi hai ye to main bata nahi sakti lekin dukh is baatka hai kit um pata nahi kahan chupi hui thi – wo boi
Wo thik hai sabkuch lekin hum mile to n ek dusre se yahi kya kam hai aur hum log ssath hainyahi bahut badi khushi hai , ab jaldi se thik ho jao aur parso ka paper bhidena hai – main boli
Pata nahi depaungi ya nahi – wo boli
Chup karbewakoof – main boli , itne me harsh aa gaya chai lekar aur us k piche unclebhi aa gaye hum logon ne chai pee
Tumhar kyaprogramme hai – uncle ne pucha
Abhi to main hunyahan kisi hotel me stay kar lungi kal jaungi parso papaer hai aur kal takchuzi bhi thk ho jayegi kyun ki parso ka paper bhi dena hai na hum dono ko
Haan bilkulpapaer kisi bhi haal me nahi chorna hai – uncle bole
Chahe bed samethi utha kar kyun na le jana pade – harsh bola , jis pe sab hansne lage , kuchder rukne ke baad main wahan se nikal ayi aur chuzi ko bata diya ki main ja rahhun subah aungi
Sham ho chukithi aur andhera hone laga tha ,main wahan se nikal kar usi hotel me aa gayijahan pahle bhi aa chuki thi kyun ki woe k bahut hi acha hotel tha aur dusribaat ye ki mujhe pata bhi tha , is liye idhar udhar bhatke bina hi main sidhiwahin aa gayi
Hotel me aakrhum lgo fresh hue kuch der baithne ke bad main shahnaz ke sath bahar aagayi dinbhar ki shiddat kid hoop ke baa dais lag raha tha jaise ki is shhar me ab subahhui ho har traf chahal pahal aur charon taraf din ka ujala phaila hua tha
Mere shahar meto light bhi puri tarah se nahi aati thi , is liye sab kuch dekh kar bahut achalag raha tha main shahanz ke sath hotel se bahar aayi aur ek taraf yunhitahalti hui chal dii
Hotel se kuchdoor hi ek bahut bada lawn tha jis me bahut bada book fair laga hua tha mainbina kuch soche hi andar chali gayi
Kuch hi minuteke baad mere samne thi to duniya ki anmol daulat aur wo thi hazarha kitaben
Har tarah kibooks har subject ke stall alag alag lage hue the
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Maine religiousstall ko dekha to udhar barh gayi , aur fir kiben dekhne lagi lekin meri samajhme nahi aa rhaa tha ki kaun si kitaab lun


Kyun ki munshipremchand ki kitab parhne ke baad jo sawal aaj bhi mere zahan me the un parmujhe kuch chahiye tha lekin mujhe pata to than hi ki kaun si kitab me kya hai

Tabhi ek shakhsne muh se pucha ki aap ko chahiye kya , aap kya talash kar rahi hain

Maine un ko puribaat bata di ki munshi prem chand ki book karbala ke subkect par mujhe kuch boks chahiye jin me deep information hokyun ki us kitab ko parhne ke baad bahut se sawal hain jink e jawab nahi milemujhe

Dekhiye is keliye ko special kitab tonahi hai kisi me kuch aur kisi me kuch milega is sebehtar hai ki aap history ki taraf dhyan de kyun ki jo kuch bhi ikha gaya haiwo ---c history hi hai

Maine un se aurbhi kuch sawal kiye us ke baad unhone mujhe 2 books sugest ki jinko minepurchase kar liya , aur un ko shukriya kaha jis pe unhone mujhe pana card diyaaur bole kabhi books ke bare me koi bhi information chahiye ho to aap muhe callkar sakti hain , maine card ko ghaur se dekha aur apne bag me rakh liya aur wahanse chali aayi

Pura fair dekhneke baad jab main wahan se bahar aayi to bahut der ho chuki thi , is liye mainphir hotel hi aa gayi ur hum logn ne hotel me hi diner kiya fir so gaye .

Subah main uthiaur chai nashte ke baad fauran hi mainehotel chor diya aur hospital aa gayi chuzi ki halat ab pahle se to thik thilekin abhi bhi puri trah se control menahi thi

Main aur shanazdono us ke paas hi rahe fir sham ko main uncle se boli ki b main chalti hunk alpaper bhi hai – thik hai beta tum jaolekin pareshan na ho mujhe pata hai tum chuzi ke paper ki wjah se pareshan holekin kya kar sakte hain hum log ab ye paper to wo de nahi payegi – wo bole

Haan mujhe tobahut umeed thi ki wo aaj sham tak thik ho jayegi lekin abhi bhi puri tarah sehalaat control me nahi hain – wo bole , lekin tum jo aur bilkul fkar na karo wothik ho jayegi kisi tarah ki tension mat lena ki tumhara paper kharab ho

Ok uncle – yekahte hue main wahan se chali ayi kyun ki main ek pal bhi rukti to mere andarla ghubar ansuon ki shakal me bahar aa jata is liye main fauran wahan se nikliaur shahnaz ke sath apne ghar ki janib chal dii der raat me main apne gharpahunch gayi .


Ghar pahunch karhum logon ne khana khya aur ek bar fir uncle ko phone kiya to unhone kaha kithik hai ab , lekin fir bhi itminaan naam ko bhi nahi tha aur raat bahutbechaini me guzri

Subah fir mainephone kiya to unhone fir yahi jawab diya aur sath sth ye bhi kaha tum pareshanna ho tu aaram se pane paper dene jaao yahan sab thik hai main dekh raha hun na

Main shahnaz aurseema ko lekar chuzi keg hr chali gayi aur wahin aunty ke pas baithi rahi maineun ko bataya ki main gayi thi aur chuzi ab thik hai mera papaer hai is liyewapas aa gayi warna main bhi us ke sath hi rukti

Shahanz aurseema ko wahin chorkar main apna papar dene chali gayi aur fir raat ko wapas aayi , is bech kayi bar bathui hospital aur k baar chuzi se bhi baat hui yahi kaha ki ab thik hai

Chuzi se baat hojane ke bad mujhe bahut sukoon mahsoos hua aur meri zahni uljhna kam hone lagithi . ghar aakar hum log baith gayedinner maine wahin kar liyatha aunty ke sath ye soch kar ki akele aunty kobahut problem ho rahi hogi un ke parosi bhi sab aate jate bane rahte the lekinfir bhi wo maa thi aur khud jaa bhi nahi sakti thin kyun ki unko khud problemrahti thi

Seema apne gharchali gayi shahnaz bhi son eke liye chali gayi main bhi apne room me aa gayiaur sone ki koshish karne lagi


Neend aankhon sekoson door thi lekin khud ko bewakoof nbanate hue main sone ki koshish kar rahithi lakh koshishon ke baad pata nahi kab aankh lag gayi pata hi nahi chala
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Raat ke kisiwaqt meri ankh khuli waqt dekha to 3:30 baj rahe the us ke bad main fir so nasaki aur bahar lawn me aakar baith gayi .
Kafi der takbaithe rahne ke baad maine shaizan ko call kiya to phone kat gaya aur fauran hipalat kar uska phone aaya
He – hello kaisiho
Me – thik hun
He – sabkhiariyat aaj fir itni late phpone subah hone wali hai
Me – han tumsoye nahi abhi
He – nahi sojata to aap ka phone nahi utha pata na
Me – kya karrahe ho
He – kuch nahibas baitha hua tha aap bataiye kaisi hai aap ki friend
Me – abhi waisihi hai , lekin pahle se kuch thik hai
He – ok tumfikar mat karo jaldi thik ho jayegi
Me – thank you.. bas wo thik ho jaye
He – bahut pyarkarti ho us ko
Me – haaan
He – kyarelation me hai koi ?
Me – nahi lekinfir bhi bahut kareeb hai mujh se kuch log aise hote hain ki wo mere kuch nahote hue bhi bahut kuch hote hain
He – haan samajhsakta hun main , shayad tum us ke liye hi preshan ho aur abhi tak soyi nahi ho
Me – pata nahi
He – apni carekaro jab tum thik rahogi tabhi to dusron ke liye kuch kar sakogi na , agar khudk takleef dogi to tum khud beemar ho jaogi fir kaise serve karogi family kofriend ko is liye thora apna khyal rakho baki sab ke liye jo kar rahi hous sekahin zyada karo ye bahut achi baat hai
Me – ok
Maine us ko yenahi bataya tha ki meri friend usi city me hai jahan wo rahta hai aur main aajhi wahan se wapas aayi hun , kafi der tak shaizan se bat hoti rahi aur aaj womere mood aur waqt ki nazakat ke lihaaz se hi bat kar raha tha , ek choti sibhi bat us ne aisi nahi ki jo mujhe nagwaar lagti .
Baton ka silsilakhtam ho gaya main phone band karke jhoole pe hi baithi hui thi
Raat kitareeki kahatam ho chuki thi aur masriqse suhab apni roonayi ke sath namoodar ho rahi thi rat chahe jiti bhi tareek hikyun na ho us ki subah zaroor hoti hai
Tapti hue din kebaad raat bhi intehayi darja garam thi lekin us ke baraqas subah kafi khunk thi halke halke khunk thaperon ke sath naseem e sahar mere badan ko chootihui ghuzar rahi thi .
aaj ki subah karang hi ajeeb that ha jaise ye subah cheekh cheekh kar mujh se kuch kahna chahrahi ho aur main samajh nahi paa rahi hun , ek ajeeb si bechaini ho rahi thiaisa mahsoos ho raha tha jaise qalb chalni ho raha hai lekin samajh me kuchnahi aa raha tha kuch koshish kar rahi thi lekin samajh nahi pa rahi thi
_
 horseride  Cheeta    
Like Reply
main andar chaliaayi aur nahane ke baad prayer ke liye aa gayi aur kafi der tak mahoo e ibadatrahi
us ke fauran badmaine uncle ko phone kiya to phone band jar aha tha , maine harsh ka number trykiya wo bhi band tha .
maine sochashayad so gaye honge ur phone off kar diya hoga ya fir kisi ne mana kiya hogakyun ki hospital ward me phone talk allow nahi hoti , shayad rat me phone bandkara diya gaya hoga
yahi sochte huemaine shahnaz ko jagaya aur chai banana lagi shahanaz ne bhi sab se pahle yahisawal kiya ki bibbi chuzi didi kaisi hain aba baat ki thi kya
maine kaha haanraat ko bat hui thi aur subah to phone band tha abhi fir karungi
ok – bibbi kahtihui wo sofe pe ake baith gayi aur hum logn ne chai pee
kuch der ke baadmaine fir phone kiya to uncle ne phone uthaya aur bole haan beta bolo
maine pucha kyahaal hai uncle
thik hai betabikul thik hai bas hum log wapas a rahe hain – wo bole
matlab – mainkuch samjhi nahi – main boli
koi bat nahibeta mera matlab ab chuzi thik hai aur hum log leke a rahe hain us ko acha abhmain bhusy hun fir jaldi hi phone karunga – ye kahte hue unhone phone band kardiya
maine harsh kaphone try kiya to wo switch off tha , main chup chap baith gayi ye bahut achibat thi ki chuzi wapas aa rahi thi lekinachanak kaise kal to kuch aur kah rahe the uncle fir rat bhar ke baad achanakdischarge ho jana samajh me nahi aa raha tha
kya hua bibbi –shahnaz ne pucha
uncle ne kaha kiwo log wapas aa rahe hain hospital se chutti ho gayi hai – maine kaha , is batpe shahanz bahut khush ho gayi
lagbhag 1 hourke baad fir maine phone kiya to phone nahi utha harsh ka number dial kiya toabhi bhi swith off tha
maine shahnaz sekkaha aao chuzi ke ghar chalte hain wo log aa bhi rahe hain aur hum log bhichuzi se milkar fir wapas aayenge
thik hai bibbimain abhi chalti hun – kuch hi der ke bad hum log chal diye aur jaldi hi chuzeke ghar pahunch gaye ghar pahunch kar maine aunty ko wish kiya , un ke sathwhin ki kuch aur aurten bhi thin , aminbhi wahin baith gayi aur baten karnelagi .
unhone bataya kia rahe hain sab log phone aaya tha un ka – wo boli
acha acha aursab thik hai – maine pucha
haaan sab thikhai – wo boli
Hospital sechutti mil gayi – maine boli
Haan mil gayi abwo normal hai to rukne se kya faida – wo boli
Haaan wo to hai– main boli
Sab log bate karrahe the wahan baithi hui kuch aurton ne mer bare me bhi pucha to aunty ne unko mere bare me bataya , main to nahi janti th un logon ko lekin mere tarruf kebaad sab log hi mujhe pahchante hue nazar aaye , ki main kaun hun kis ki betihun
_
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Kuch der ke baadhi darwaze pe ek ajeeb shor bapra hua , aur kuch Admi andar aaye aur gateholkar khare ho gaye
Aao aao laao laaoki sadayen buland ho rahi thi , kuch samajh me me na aata pakar main gate kitaraf barhi to dekha gate ke bahar ek bheed jama thi is se pahle ki koi kuchkahta ya main kisi se kuch puchti samne hi ek charpayi pe kisi ko laya jar ahatha

Aur dekhte hi dekhteus ko lakar sab chuzi ke ghar ke andar aa gaye aur ek taraf rakh diya us kepiche uncle aaye jink o bahut se log dilasa de rahe the kuch der ke baad harshko bahin me uthaye hue uske dost log andar aaye wo hosh o hawaas me nahi tha usko bithaya gaya to wo gir gaya
Sab kuch saaf hochukka tha aur samajh me aa gaya tha ki kya hua hai lekin fir bhi main uncle kepas gayi aur boli --- uncle , uncle

Unhone meritaraf dekha aur hathon ko jor kar bas rote hue inkar me sir hilaya kuch bolenahi , maine unke hath pakarte hue boli uncle kaise kya ho gaya kal maine phonekiya to aap ne kaha sab thik hai fir
Unke sabar kaband toot chukka thaw o mujhe gale lagate hue zaar zaar rote hue bole betimujhe maaf kar do hum nhi bacha paye tumharidost ko

Ye sunkar shahnaztezi se bhagkar chuzi ke paas pahunch gayi aur white cover jis me usko baandhahua tha us ko kholne lagi , kayi log us ko mana karte rahe lekin wo jaise kisiki sun nahi rahi thi
Us ko is tarahkarte dekh kar main bhi us ke pas pahunch gayi , aur us ko wahan se hataya firchuzi ko us bandhan se khola gaya to maine us ka chehra dekha jiski ankhne bhipuri tarah band nahi thin shayad is waqt bhi wo mujhe hi dekh rahi thi
Tum mujhe pahlekyun nahi mili – akhiri guftugu mere kaano me goonjne lagi meri chuzihameshahansne aur hansane walii aaaj sab ko rota hua chorkar chali gayi thi
Jis ghar me uske kahkahe goonjte the aaj wo sadaye giriya se goonj raha tha ek ajab sazalzala tha aur talatum fizaon me chuziki mom jinko yahi pata tha ki hospital se discharge hoke ghar aa rahi hai jabunhone us ki maiyat ko dekha to ... aap samajh sakte hain shayad ---- ab himmatnahi hai jo main likh sakun
Kuch der ke baadharsh ke doston ne us ko hosh me lane ki koshish ki aur wo utha , uthne ke baadus ne mujhe samne khare hue dekha to bhgta hua mere pas aaya aur mujhe kandhese pakar kar jhinjhorte hue bola mar gayi mar gayi didi gayi gayi

Ye kahte huezamiin par girne laga maine us ko thama hua tha main bhi usko bithate hue khudzameen par baith gayi
Us ki halat dekhkar sabar nahi ho raha tha maine bhi be sakhta rone lagi
Us ne kaha thana tumhare samne hi kaha tha mujh se – harsh paglon ki tarah bol raha tha
Ki abki jaungito ir awaz sun ne aur shakal dekhne ko taras jaoge – ab chali gayi wo , bahutziddi thi chali gayi , us ko nahi pata ki hum sab

Ye bolte hue wous ke paas pahunch kar bola uth na bolo naa , baat karo mujh se hey daantomujhe jhagra karo mujh se – ye khate hue wo zamin par pacharen kha raha tha
Main ek kone mechupchap baith gayi tabhi apne kandhe par main kisi ke dabao ko feel kiya dekhato shahnaz thi wo bilkul khamosh thi kuch nahi bol rahi thi .

Maine seema kophone kar ke bata diya ki kya hua hai , thori der ke baad seema apni mom kesath wahan aayi aur meri colony ke bahut se log aurten admi sab wahan aa gayekyun ki sab jante the ki chuzi meri friend hone ke sath sath kitna mere kareebhai aur sab ke sab chuzi ko ache se jante the koi aisa nahi tha jo us se milke khush na hota ho
_
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Is liye jaise hisab ko pata chal asab ke sab wahin aa gaye , kuch hi ghanton ke bad un ka pura ghar rishtedaron se bahr gaya jomukami the wo to aa hi chuke us ke sath sath baironi rishtedar bhi aa chuke the
Kafi der takyahi silsila chalta raha fir wo waqt bhi aaya jo khuda kisi ma baap ko nadikhaye har maa baap ki yahi tamanna hoti hai ki wo apni ladli beti ko apnehathon se shahani poshaak pahnaye aur khushi khusi us ko doli me bitha kar apneghar vida kare lekin apni beti ke liye yahi arman rakhne wale chuzi ke maa bapthe jinki ankhon ke samne hi unki beti ko kafan pahnaya gaya aur unke samne hi usko un ke ghar se doli ki jagah arthi pe le jaya gaya

jis bhai ki tamanna thi ki wo apni bahan kidoli uthaye wo doli to na utha saka lekin arthi ko kandha zaroor de rahatha
Akhiri baarmaine us ka chehra dekha to bas yahi laga jaise mujhe dekh kar muskura rahi haiaur abhi uth kar mujh se kahegi tu ne kya socha main mar gayi arey mai to natakkar rahi thi marne ka
Lekin aisa nahihua chuzi na fir mujh se boli na hi usne ankhen kholi wo hamesha ke mujh sedoor ja chuzki thi ... is se aage main aur kuch bayan nahi kar sakti
Der raat mainghar laut aayi ghar aayi to surjeet aunt aur unke husband khana lekar aayelekin khana dekh kar uljhan ho rahi thi

Maine sochashahnaz ko to khila dun lekin shahnaz bas khamosh baithi thin a bol rahi thin ahans rahi thi yahan tak ki us ne pani bhi nahi piya , bas woe k tak samne dekheja rahi thi ba mushkil tamam wo kabhi kabhi palken jhapka rahi thi ek ke bad ekus ko sab logon ne aawazz di lekin wo jawab nahi de rahi thi ye dekh kar mainbehaal hone lagi to fauran hi surjjet aunty apne husband ke se boli is kodocter ke pas le chalo usko lekar hum log docter ke pas gaye to unhone puchasara haal aunty ne bataya

Wo bole main basek injection de raha hun ye so jayegi , ye so jaye to fir is ko sone dena jabtak soye is ko jagana nahi , aur agar ye roye to rone dena aur koshish karo kiye rone lage agar ye dil khol kar ro legi to thik ho jayegi
Shahnaz konormal hone me kayi din lag gaye aur wo bahut din tak is sadme me rahi .
Chuzi ke papaaur unki mom bhai ka haal kya hoga is ka andaaz main apne aur shahnaz ki halatse laga sakti thi ki hum dono to us ke koi bhi nahi the aur wo to us ke apnethe
Nexy day mainchuzi ke ghar gayi to ghar kaatne ko daur raha tha , harsh ne mujhe dekh kar himujh se lipat kar rona shuru kar diya aur main us ko samjhane me nakaam thi

Baki rishtedarthe to kisi ko towel ganda nazar aa raha tha to kisi ko sabun chahiye tha kisike paas tooth brush nahi tha kisi chai me cheeni kam thi ... gussa aa raha thamujhe
Fir sab logdastoor e duniya nibha kar chale gaye aur chuzi ke ghar walon ke pas thi to uski furkat aur tarap aur aansu
Mujhe chuzi kewo alfaaz yad aa rahe the us ki awaz mere kano me goonj rahi thi ki
Ek din humhanste hue chale jayenge aur sab ko rota chor jayenge ye chuzi ke jumle baarbaar mere kano me goonj rahe the

Tuesday 24 April 2007 ko chuzi hum sab ke sath sath is duniya ko bhi chorkar chali gayi ,chuzi ke jane ke baad maine kya khoya ye main hi janti hun ,aaj bhi rulati hai mujhe wo bahut rulati hai bahut rulati hai
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Quote:nice vika

Gulnaaz ji thank u for sharing this wonderful story with us n specially thanks for introduced chuzi's character to us,
Gulnaaz ji hum to sirf story me padhke chuzi se itna lagav kar baite he, bahot dukh huaa last update padhke,
aapne to aapki jindagi k kuch lamhe uske sath share ki he,
Me samaj sakta us samay aap pe kya biti hogi.
Once again Thanks for sharing ur life's story with us.
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Quote:Sexy Reet

page no. 318 tak padha didi......padhte padhte aankho mein se pani jane laga....ye bahut hi bura huya....ek reader hone ke nate ham sabh kahani se jud chuke hain.....aur sachi bata rahi hun naaz didi chuzi ka ham sabh ko chor kar jana bardasht nahi huya......lekin chuzi ne aisa kiun kaha ki 'kaash aap mujhe pehle mili hoti' aisa kya huya tha uski jindagi mein...?
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Ab aage ----
Shahnaz chuzi keliye bahut pareshan thi ahista ahista wo normal ho chuki thi 2-3 roz ke badmain fir jab uske ghar gayi to lag hi nah raha tha ki ye wahi ghar hain bas yunmahsoos ho raha tha jaise yahan koi rahta hi nahi hai
Main aunty semili to fauran hi wo mujh se lipat kar rone lagi , aine un ko samjhane kinakkam koshish ki lekin un ka sab se bada dard ye tha ki wo kab se beemar haito wo kyun nahi mar gayi , un ki beti kyun hcali gayi un ko chor kar , aur apniproblem ke chalte wo sirf apne ko hi kos rahi thi ki akhiri waqt wo us ko dekhbhi na saki
Arey hanstekhelte achanak hi us ki tabiyat kharab hui aur wo ghar se gayi aur mar karwapas aayi yahi kah kah kar wo apne dil ki bharas nikal rahi thi
Main bhi be sakhtaro rahi thi kya karti jab kisi chiz par apna vash na ho to insaan kar hi kyasakta hai siwaye rone ke esi ko to bebasi kahte hain
Maine apneshoulder pe kisi ka hath mahsoos kiya to piche dekha mere piche uncle khare huethe
Gulnaaz betasamjhao aunty ko , tum ko to in dono kosamjhana hai jab kit um khud ro rahi ho itni mazboot hokar har tarah ke halaatse larti hui tum aaj khud ro rahi ho – wo bole
Apno ko khoyahai maine pahle mom fir dad ab meri sab se achi dost khone ka gham kya hota haiye mujhe pata hai ye kahte hue main un se lipat kar rone lagi
Nahi beta chupho jaao ek hakeekat hai is ko samajh lo ki hum aaye hain to hum ko jana bhi hailekin kab jana hai ye koi nahi janta aur hamare liye har jane wala achanak hichala jata hai kyun ki hum nahi jante kisi ke jane ka samay kya hai – wo bole
Kuch derkhamoshi rahi main uth kar bahar aa gayi aur munh dhone lagi uncle bhi bahar aagaye the
Harsh kahan haiuncle – maine pucha
Wo bhi aise hihaal me hai pagal sa ho gaya hai kya karun kuch samajh me hi nahi aata – wobole
Hai kahan wo –maine pucha
Wo apne kamre mehai abhi subaha subah hi chuzi ke room me jakar us ki eke k chiz ko dekh dekhkar ro raha tha main khud us ko nahi samjha pa raha hun – wo bole
Uncle ko dekhkar main bahtut hairan thi ki kitna acha natak kar rahe hai normal hone kajabki unki ankhon se jhlakte hue ansunon ko dekh rahi thi , chuzi sab se zyadaun se hi close thi aur wo bhi apni beti par jaan chirakte the kayi din hospital me wo soye nahi aura b pata nahi kikab soyenge ya soyenge bhi ya nahi
Unhone apni betiaur apni sab se achi dost ko ho diya tha jo ki har masle par apni beti seadvise lete the aur koi bhi kaam apni beti ki marzi ke bina nahi karte the lekinapni wife aur apne bête ko samjhane ke liye wo bahut acha natak kar rahe the
Main us room megayi jahan harsh tha , main andar gayi to dekha wo deewar se tika hua zamin pebaitha tha aur us ne apna sir apne ghutno me rakha hua tha main uske pas baithgayi aur apne hath us ke kandhe per aha us ne mujhe is tarah dekha jaise ki uqko meri maujoodgi bahut buri lagi ho lekin mujhe dekhte hi wo mujh se lipat karbilakh bilakh kar rone laga
Maine us palkuch nahi boli bas mere hath us ke sar pe the kafi der tak rote rahne ke bad wochup ho gaya aur khomash baith gaya uncle bhi room me aa gaye the
Yahan kyunbaithe ho – maine pucha
Mujhe yahinbaitha rahne do aap log jaao – wo bola
Kab tak aiserahoge – main boli
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Pata nahi – wobola
Ye batao istarah adam bazaar hoke aur rone se agar chuzi wapas aa jaye to main bhi tumharesath yahin baith kar roun – main boli
Us ne jawab memeri taraf ghoor kar dekha
Haan mujhe bhibahut dukh hai lekin garebaan chaak karke ghar se bahar nikal kar chuzi chuzicillana kya samjahdari hogi , kya khoya kis ne khoya jo gaya us ki ahmiyat kyathi ye tum bhi samajh rahe ho hum bhi samajh rahe hain , lekin agar tension sekoi hal nikal raha ho to batao hum sab mil kar tension lenge to aur jaldi halho jayega masla – main boli
Us ne haan mesir hilaya lekin kuch nahi bola
Dekho beta gulsahi kah rahi hai – uncle bole
Maine us kopaani pilaya aur zameen se uthakar bed pe bithaya
Dekho chuzi tumko bahut pyr karti thi aur tum ko aage barhte hue dekhna chahti thi ab tum wahikaro jo wo chahti thi tabhi us ki rooh ko tasalli hogi aise to us ki atma bhibechain rahegi ki uska bhai itna pareshan hai – main boli
Abhi kuch samajhme nahi aa raha meri main ye samajh hi nhi pa raha hun ki didi ja chuki hai dilmanta hi nahi hai kabhi ye sapne me bhi nahi socha tha ki main kabhi apni didiko . .. ye kahne ke baad wo khamosh ho gaya
Bahut achia thio meri sab se achi friendthi aur tum ko pata hai ki wo meri sab se kam samay kidost thi aur sab se zyada nazdeek thi mere jab wo mere ghar aati thi to shahnazkahti thi ki samajh me nahi aata ki aye ghar mera hai ya chuzi didi ka is tarahwo mere sath rahti thi – mujhe bhi behad afsoos hai harsh lekin fir bhi sachyahi hai ki wo ab is duniya ko chor kar ja chuki hai ek bahut achi duniya mejahan par nafraton ke liye koi jagah nahi hai sirf pyar hi pyar hai aur hum sabbhi ek din zaroor jayenge kyun ki hamariasli manzil wahi hai – main boli
Kuch palkhamoshi rahi
Bahut yad karrahi thi tum ko bahut yad kar rahi thi – wo bola aur ek bar fir rone laga
Main to us kepas hi thi lekin kya kati papaer tha is liye aana para – main boli
Aur wo badnaseebpapaer bhi nahi de payi – wo bola
Kya ho gaya thajab main wapas aayi thi to wo normal thi fir achanak kya hua maine ye pucha hinahi aur mauka hi nahi mila – main boli
Aap ke aane kebad wo jaisi thi wasi hi rahi raat ko bhi sahi thi baten kar rahi thi lekin isbaar us ki baten kuch samajh me aane wali nahi thi lekin ab sab kuch samajh meaa raha hai – harsh ne kaha
Tumhare aane kebaad wo boli gul chali gayi ab pata nahi main us se mil paungi ya nahi is parharsh ne us ko danta aur bola kya bakwas kar rahi ho – uncle bole
Fir next daysubah se hi uski halat bahut bigarnelagi docter ne dekha aur fauran us ko dusre hospital bhej diya – uncle bole
Harsh tum mereliye cigrate le aao – uncle bole
Papa mat piyomain nahi launga – wo bola
La do main kahraha hun aur cold drink bhi le aao dekho kitni der se gul aayi hui hai aur aajpani tak ko nahi pucha kisi ne – wo bole
Nahi uncle is kikoi zarurat nhi – main boli
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Harsh chuzi nekuch kaha that um se – uncle ne kaha
Harsh uth karwahan se chala gaya
Dusre kaun sehospital bheja gaya wahan se – maine pucha
Super specialityinstitute bhej diya gaya whan ke ek dept. Me us ko refer kiya gaya tha lekin rahi wo emergency me hiraat tak halat waisi ki waisi hi rahi din bhar paglon ki tarah bhagte rahe hum logis ummeed se ki bachi thik ho jaye
Upar se nicheniche se upar fir yahan fir wahanbhatkate rahe der raat ke baad meribachi ne mere sam ne dum tora – ye kahte hue uncle rone lage
Beta us ne tumko bahut yaad kiya marne se kuch der pahle hi halite nizaa me wo barbarayigul kahan hai
Fir us ne apnimaa ko bahot yaad kiya Amma kahan ho mere paas aao , lekin wo badnseeb akhirisamay me maa ke aanchal ki hawa bhi na paa saki aur us ki maa akhiri bar uskisurat bhi na dekh payi – wo bole
Janti ho harshse us ne kaha ki gul didi ka khyal rakhna – wo bole
Mat kahiye kuchmain ansu ko pochte hue bolikya karun kahan jaun kuch samajh me nahi aa raha ,aap ki wo beti thi harsh ki bahan leki meri to sirf friend thi jab main ahibardhasht kar pa rahi hun to aaap log –
Tum uski friendzaroor thi lekin wo tum ko bahut maantithi tum uske liye badi bahan ek guardian se kam nahi thi – wo bole
Ab patanahi main kya karunga jee tod koshishkarta raha ki apni usko zinda rakhun lekin rakh nahi paya
Main hun naauncle aap kyun pareshan ho rahe ho chuzi to nahi hun main lekin aap ki betijaisi hi hun – main boli
Beti jaisi nahibeti hi ho yahi shabad the chuzi ke jeene ki bahut tamanna thi us ko – wo bole
Chuzi ko kyakuch aur bhi problem thi – main ne pucha
Kaisi problem –wo bole
Chuzi ne mujh sekaha tha ki us ko mujh se ek shikayat hai ki main us ko pahle kyun nahi miliagar main us ko pahle mil gayi hoti to zindagi ka rang kuch aur hota tab mainus ko daant diya tha lekin aaj main khud ye bat mahsoos kar rahi hun ki hum logpahle kyun nahi mile ek hi shahar merahte hue bhi meri us se mulakat nahi hui – main boli
Ab nahi hui tonahi hui aur chuzi bhi kaafi samay bahr hi parhi thi wo shuru me yahan rahi hinahi is liye kaise milti aur jab milna tha tab mili – wo bole
Uncle chuzi koproblem kyat hi main ek ek lafz chaba kar bol rahi thi , aap baat ko kaat rahehain mujhe aisa lg raha hai – main boli
Nahi beta aisanahi hai – wo bole
Abhi ap ne kahaki main apni beti ko zinda rakhne ki jee tod koshish kar raha tha – is ka kyamatlab hai
Kafi der tak wokhamosh rahe - fir bole chuzi ko aisibeemari thi jis ka koi ilaaj hi nahi tha aur us ki zindagi bahut kam hai ye wojanti thi aur main bhi janta tha – wo bole
Laa ilaj beemari– ye sunkar hi main shock ho gayi mere munh se awaz hi nahi nikal rahi thi
Bas us ki jitnibhi zindagi ho wo khushi se zinda rahe main din raat yahi koshish karta rahabadnaseebi to ye thi ki main kisi ko bata bhi nahi sakta tha – wo bole
Lekin fir bhi woitni jaldi kaise – kya koi bhi rasta nahi tha
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Jitney raastethe sab ka safar taye kiya maine apni beti ki ungli pakar kar lekin har raastaek din ek jagah jakar khatam hota tha aur wo thi maut – uncle ki siskiyon kiawaz mere kaano me nagare ki goonj ban kar chubh rahi thi
5 saal se zyadazinda rahi wo ab shayad is se zyada nahi thi us ki zindagi
Uncle us kobeemari kyat hi jo la ilaaj thi – maine pucha
Uncle ne bataya
Ye aap jante the– maine pucha aur ye kaise ho gayi
Bas honi thi toho gayi , shayad is liye hi wo tum se kah rhai thi kit um us se pahle mili hotikyun ki aksar wo mujh se baten karti thi to tumhara zikar bahut karti thi ,main us ka sab se bada raazdaar tha aur wo kuch nahi chupati thi mujh se , woshararti thi lekin kisi ko takleef nahi de sakti thi wo jhiuth bola kar dil tobahlati thi lekin jhuth bolkar kisi ka dil nahi dukha sakti thi
Mere itne closehone ke baad bhi us ne kabhi mujh ko bhanak tak nahi lagne dii jab ki kayi barmaine us se pucha ki akhir us ko pareshani kya hai , jab hum log nainital gayethe to main uski halat dekh kar dar hi gayi thi nlekin fir bhi us ne kuch nahibataya – main boli
Kyun ki wo nahichahti thi ki kisi ko pata chale ki us ko kya beemari hai agar pata chalta tolog us ko ya to haker nazar se dekhte ya fir us pe taras khate aur bewajahsuhanubhuti dikhate aur yahi wo nahi chahti thi – wo bole
Kya main us kosamjh payi kya main us ko samjhti thi – is ka main apne aap me jawab talashrahi thi
Bahut ache setum samajhti thi aur wo bhi samajhti thi , us ko ye pata tha agar tum ko yemaloom ho jayega to tum pata nahi kya karogi aur is liye hi wo tum ko nahi batasaki agar tum ko lagta hai ki usne ye ghalt kiya to us ko maf kar dena beti –wo bole
Nahi uncle merichuzi kabhi ghalat ho hi nahi sakti thikyun ki usne kabhi kisi ke liye kuch ghalat kiya hi nahi - main boli
Aur us kibeemari ki baat mere ghar me mere siwa koi nahi janta than a hi us ki maa aurna hi harsh , is liye maine harsh ko bahar bhej diya – wo bole
Kyaa – ek baarfir maine harani se unka munh dekhne lagi
Haan beta humdono nahi chahte the ki kisi ko pata chale us ki maa ko pata hota to wo kab kimar gayi hoti aur harsh ko to dekh hirahi ho tum – ur duniya walon ko to bas mauka chahiye bas , hum dono ke alawatumhari principal madam ye baat janti thi aur aaj tum ko pata chali
Principal madamko pata tha – maine pucha
Haan wo bhi hamarebahut ache milne walon me hai is liye un ko pata tha – wo bole
Saari baten ekek kar ke meri samajh me aa rahi thi , wo chuzi ka college me mazaak aurteachers se cher char un ko pareshan karna aur principal madam ka complaint kebaad khamosh rahna aaj samajh me aa raha tha ki kyun wo chuzi ki shararton koaccept karti thi
Aur chuzi kitnibadi khuddar nikli itna bada dard leke akele hi chai gayi aur mere itne kareebhone ke bad bhi mujhe ehsaas tak nahi hone diya , jiske samne har pal har ghadihar waqt us ki maut thi wo maut ka mazak urati hui ghoomti rahti thi aur khushrahti thi
Apne dard koseene me dafan karte hue wo har rote hue ko hansate hue khud mazaak mazaakkarti hansti khelti chali gayi
Mujhe pata haiki us ko kya beemari thi lekin i am sorry main ye aap logn ko nahi bata sakti ,kyun ki is baat ko jitney log jante the aaj bhi utne hi log jante hain
Aur mujhe ummeedhai ki aap log is bare me koi sawal nahi karenge
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Quote:trikanta

gulnaaz ji aajtak maine bahut si kahani padi hai
par yeh story itna dil ke kareeb aa gaya hai na pucho mat
aisa lagta hai mai aap sab ko barso se janta hu

pata nahi aap ke dil par kya guzri hogi jab chuzi ke papa ke uski bimari ko bataya hoga..................sach mein chuzi jaise log bahut kam hote hai...........
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Mujhe pata hai ki us ko kya beemari thi lekin i am sorry main ye aap logn ko nahi bata sakti , kyun ki is baat ko jitney log jante the aaj bhi utne hi log jante hain
Aur mujhe ummeed hai ki aap log is bare me koi sawal nahi karenge
AB age---

Phir harsh wapas aa gaya us ko bahut der tak samjhati rahi main firaunty se milkar un se kaha main ja rahi hun to wo bhi roti hui boli meri beti ho to ati rahna beta
Us par main sab ko makool jawab dete heu wahan se laut aayi
Din beet rahe the jaise taise waqt par kisi ki sardari nahi koi us ko pakar nahi sakta bas wo bhagta hi rahta hai shahnaz bhi ab kaafi had tak normal ho chuki thi lekin fir bhi aisa lag raha tha jais koi mere ghar se hi chala gaya ho
jahan shahnaz apne room me rahti thi aur study karti rahti thi wahi wo ab mujhe chorti nahi thi bas khamosh kamosh har waqt mere hi pas baithi rahti thi agar main kitchen me hotio thi to wo wahan aakar khari ho jati thi to main khud kursi lakar us ko bitha leti thi ‘
Jab bhi puchti thi kya baat hai beta – to uska ek hi jawab hota tha kuch nahi bibbi
Main sochti thi ki chuzi ko hamari zindagi me aaye bahut waqt to nahi hua tha fir bhi wo hamari zindagi ka itna aham hiscsa ban gayi thi ki us ke bina ab sab kuch be rang nazar aa raha tha
Main chuzi ko hatakar apni piche ki zindai ke bare me sochti thi ki jab chuzi nahi thi tab hamari life kaisi thi to fir ab wahi life kyun nahi ban pa rahi kyun main wahi mahaul nahi bana paa rahi hun
Us pichli zindagi me bhi apno ko khone ka bahut bada gham tha pahle maa fir papa aur ab chuzi
Chuzi ke jane ke baad se ab mammi papa ki bhi bahut yaad aati thi aur hota yahi tha ki raat raat bhar na main soti thi aur na hi shahnaz wo rat ko bhi mere hi room me sone lagi thi kyun ki us ko pareshan dekh kar main us ko akela nahi rahne dena chahti thi
Der raat rak wo mere zanu pe sar rakhe hue chup chap leti rahti thi ek raat main uske balon me ungliyan fira rahi thi aur wo mere zanu pe sar rakhe hue leti thi nisef shab ghuzar jane ke bad bhi wo nahi soyi to main boli beta so jaao kya bat hai kuch batati bhi nahi ho kab tak aise hi kahmosh rahogi
Bibbi aap to mujhe chorkar nahi jaogi na – wo boli
Nahi beta main kahan jaungi aur aap aisa kyun soch rahi hain – main boli
Jahan chuzi didi chali gayi – wo boli
Us ki is bat ka mere pas koi jawab nahi tha , fir bhi maine kaha dekho beta wahan se jiska bulawa aa jata hai us ko jana parta hai koi bhi us ko rok nahi sakta ek na ek din sab ko jana hai kaun kab jayega ye koi nahi janta
Wo mujh se lipatti hui boli lekin main aap ke bina rh paungi bibbi aap mat jana – wo boli
Main kahin nahi jane wali hun aur ye sab bekar ki baten soch kar khud ko pareshan mat karo dekho chuzi didi ko bahut pahle se hi pata tha ki us ko kya beemari hai lekin kabhi wo udas nahi rahi zindagi jitni uske haq me thi us ne us ko bahut khushi se jee liya aur tum uske hi gham me udaas ho aur apni zindagi ko bhulkar maut pe tawajjo dekar pareshan ho ye thik nahi hai beta agar tum khush nahi rahogi au raise hi rahogi to chuzi ko bahut dhukh hoga – main boli , ab so jaao aur kuch mat socho sab kuch acha socho – maine kaha
Nind nahi aati hai bibbi – WO boli
Sone ki koshish karo to nind aayegi – main boli
Main uske balon ungliyan firate hue yunhi kuch gunguna rahi thi
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Bibbi chup rahiye gungunaiye mat


Ok – princes- main boli – aur khamishi se uska sir thapthapti rahi

Bibbi – us ne bahut dhire se mujhe awaz di

Haan bolo – main ne kaha

Bibbi aap ek nazam sunati thi –wo boli

Kaun sii – maine pucha

Wo prayer wali bahut achi si , bahut sunayi hai aap ne – wo boli

Han haan to kya hua – main boli

Wo sunaiye na wahi andaz se wahi tarannum se – wo boli

Main subah sunaungi abhi aap so jaiye bas – main boli

Sunaiye na bibbi main so jaungi aap sunaiye please – wo request karte hue boli

Thik hai rani sahiba lekin wo nazam mujhe puri to yad nahi hai lekin jitni yad hai main utni parh rahi hun – main boli

Thik hai bibbi – wo apne sir ko mere zanu pe aur upar karti hui boli

Maine nazam ko parha ..

Lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri

Lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri

Zindagi shamma ki surat ho Khuda ya meri

Lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri

Door duniya ka mere dum se andhera ho jaye!

Har jagah mere chamakne se ujala ho jaye


Ho mere dum say yunhi mere watan kee zeenat

Ho mere dum say yunhi mere watan kee zeenat

Jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat

Zindgi hoo meri parwane ki surat Ya Rab!
Ilm ki shamma se ho muj ko muhabbat Ya Rub!
 horseride  Cheeta    
Like Reply
Ho mara kaam ghareeboon key himayat karna

Dard mandoon se zayeefoon say muhabbat karna

Mere Allaaaaaaaaaaaaaaah! Haaaaaaaaaaaaannnnnnn

Mere Allaaah ! burayi say bachana mujhko

Nek jo raah hoo us raah pe chalana mujh ko

Mere ,.' ! burayi say bachana mujhko

Mere ,.' ! burayi say bachana mujhko

Nek jo raah hoo us raah pe chalana mujh ko

Lub pe aati hai dua ban ke tamanna meri

Zindagi shamma ki surat ho Khudaya meri

Is nazam ko parhte hue main kud apne bachpan me pahunch gayi thi jab main shahnaz ki tarah apni maa ki aaghosh me ye nazam suna karti thi wo waqt ko yad karte hue aankhen khud ba khud nam hoti chali gayi

Maine shahnaz ko halke se hila kar awaz di to wo nahi boli , maine us ko zanu se hatakar takiya us ke sir ke niche rakh diya wo so chuki thi jab se chuzi gayi us din se to jaise wo sona hi bhool gayi thi

Apni soti hui pyari bahan pe ek shafqat bhari nigaah se main usko dekh rahi thi wo waise bhi bahut bhooli thi lekin sote hue wo bahut hi masoom lag rahi thi , us ke maathe ko choomte hue main uth gayi kyun ki main baithe baithe bahut thak gayi thi is liye main uth kar tahalne lagi .

Maine apna mobile utha kar on kiya shahnaz ki wajah se maine off kiya hua tha ki agar on rahega to shaizan msg to karega hi ho sakta hai ki call bhi kare is liye main ne mobile off kiya hua tha

Mobile on karte hi msg ki line lag gayi aur inbox full dikhne laga maine sare unread msh bina parhe hi delete kar diye fir kayi msg aaye maine dekha to us ne yahi lilkha tha how are you reply to karo kam se kam kya haal hai etc..

Maine mobile lekar lawan me aa gayi raat adhi se zyada ghuzar chuki thi 3:00 baj raha tha shahnaz so gayi thi mujhe to nind khud se roothi hui lag rahi thi , main bahar aakar lawn me baith gayi .
Maine shaizan ko mis cal kiya fauran hi uska phone aaya main phone pick karte hue boli
Me – hello

He – hello kaisi hain aap?

Me – main thik hun aap bataiye kya hal hai

He – thik hun fit and fine aap ka phone kyun off tha

Maine usko bataya ki kyun off tha

He- oooh is ka matlab aap ki bahan bhi us se bahut close thi

Me – han bahut hi zyada kyun ki wo thi hi aisi ki har koi us se bahut close rahta tha
 horseride  Cheeta    
Like Reply




Users browsing this thread: 5 Guest(s)