16-01-2019, 06:44 PM
Yunhi sab kuch dekhti hui main aage barhti rahi
aur sab taraf dekhti rahi bahut hi zyada bheer thi sab taraf aisa lag raha tha jaise ki sara shahar simat kar yahin aa gaya hai
Aur aise hi tahalte hue hum dono bahut aage tak nikal aaye aur last me ek rasta thora sa niche ko utra hua tha
main udhar gayi wahan pe bahut sannata tha aur koi bhi fard udhar nazar nahi aa raha tha
main aage barh gayi aur dekha wo rasta aage ek gate pe jakar khattam ho raha tha
wo gate zanjeer se band tha us me itni jagah thi ki ek admi hi bahar nikal sakta tha aur gate par ek guard maujood tha aur wahin gate pe ek board laga hua tha jis pe likha tha YE AAM RASTA NAHI HAI
Main gate ke pas gayi bahar dekha to samn ek bahut wide road thi aur road ke beech me ek imarat thi
jo ek shrine type ki lag rahi thi aur bahut se log wahan jama the aur kuch matha tek rahe the
Maine bahar jane ki koshish ki lekin guard ne mana kar diya ki idhar se aap log nahi ja sakte
Maine usko bataya ki mujhe jana nahi hai main bas yunhi dekh rahi thi is jagah ko
maine us se pucha ki yahan itni bheer kyun hai us ne bataya ki in logon ka tyohar chal raha hai
aur kal raat ko to bahut bada juloos yahan se nikla tha jo aaj subah khatam hua
Jo kal raat ko udhar gate pe juloos tha wo yahan se nikla tha – main ne pucha
Haan wo bola - aur kafi request karne par usne hum logon ko us imarat tak jane ki ijazat de dii
Main shahnaz ka hath pakar kar tezi se sarak par karke us jagah pahunch gayi
wo ek masjid si thi jahan bahut se admi aur aurten ja rahe the aur matha tek kar dua mang rahe the
main andar jana chahti thi lekin maine dekha wahan ek board laga tha jis pe likha hua tha
GHAIR '. HAZRAAT KA ANDAR AANA SAKHT MANA HAI
is ko parhne ke bad main chah kar bhi andar na ja saki aur bahar se dekh kar hi wapas laut aayi lekin mujhe is bat ka sakht afsos tha ki non '. ko wahan jane ki ijazat nahi thi
Akhir aisa kyun hai non '. wahan se kuch chura to nahi lenge
aur main khisyai hui wahan se wapas laut aayi kuch der ke baad main chuzi ke kamre me thi main aakar wahin uski bed pe baith gayi
Uncle ne kaha tum yahan aake aaram kar lo hum log bahar chale jate hain
lekin maine mana kar diya aur baithi baten karti rahi dopahar ko hum logon ne wahin khana khaya
aur chuzi ko ab docter ne patli khichri khane ki ijazat de di thi kahan khane ke baad hum log baithe rahe aur sham ko chai pii 5:00 baje maine kaha ki ab hum dono ja rahe hain
Chuzi se maine jane ki ijazat lii usne kaha jaao main bhi aa rahi hun jaldi hi
Good bahut jaldi aao main intezar kar rahi hun aur phone karti rahna – main boli
Fir main us se vida lekar wahan se nikal aayi uncle sath me bahar aye unhone pucha kaise jaogi
Train se hi jaungi – main boli
Train se na jakar tum bus se jao kyunki bus station yahan se kareeb hai aur bus tumhare ghar ke aage se hi nikalti hai – wo bole
Thik hai uncle main bus se hi chali jaungi ye kahakar main wahan se nikal aayi aur auto se bus stand tak aayi
wahan mere shaher ke liye bahut sii bus ek ke baad ek lagi hui thi main ek bus me baith gayi aur fir kuch der ke baad bus chal dii
Raat ke 8:30 baje main apne ghar pahunch gayi thi
Ghar aaar maine sab se pahle hospital phone kiya to uncle ne kaha ab to bahut thik hai tum bilkul pareshan mat ho fir maine chuzi se baat kii uski awaz ab pahle se kuch buland ho gayi thi
Maine sukoon ki sans lii aur boli thanks God aapne chuzi ko bacha liya