01-02-2023, 03:25 PM
(01-02-2023, 02:37 PM)natureboyy Wrote: Agle din Meena ayi. Meena ander hi ander bohot excited thi.
Meena: “ Didi to kal Ramesh ne phone kiya tha…to kya baat ki aapke majnu ne?””
Jasleen: “chal pagal…wo mera koi majnu-vajnu nhi hai.. maine bata diya ke mujhe roz roz tang na kre.”
Meena: “achha?? aur kya kaha? abb aap usse gussa to nhi hain?
Jasleen: “ aur kyaa? bss yhi…nhi gussa to nhi hai abb. bol rha tha ke uski vjah se koi problem nhi hogi….bs yhi kuch”
Meena: “achha to apki itni care krta hai wo..hmm” Meena ne Jasleen ko chedte huye kaha.
Jasleen: “tu bhi na.. aur bol rha the dosti krni hai.. maine koi jwaab nhi diya, mujhe to bohot ajeeb lag rha hai ye sab.”
Meena: “aap bohot sochti hain, isme ajeeb lagne ki kya baat, aap kisi se milti julti nhi hain na isiliye.. dosti hi hain na bss, isme kya badi baat hai?”
Jasleen: “pataa nhi Meena…mujhe to ye galat lag rha hai.”
Meena: “hadd hai didi..dosti mein kyaa galat hai?? abb dosti to hum kisi se bhi kar sakte hain…aap to itni paddi-likhi hain fir?? ye larke-larki ki dosti mein kya problem?”
Jasleen: “par Parm?? main unse kya kahungi?ke ek larka roz mujhe chedta tha, lekin abb mujse dosti krna chahta hai !!! main unse jhoot to nhi bol sakti.”
Meena: “to?? isme kya baadi baat hai? aap sach kahiye..ke Ramesh ne apko bachaya tha uss din, aur aab hum dost hain ! aur aapke pati apse pyaar krte hain to wo aap pe shaq nhi karenge, aur bura nhi manege. aur haon main ek baar Parm sahib se Ramesh ko milva bhi doongi ke ye mera chachera bhai hai.”
Jasleen: “par Ramesh to mujhe chedta tha na..ye na bataou?? hmm?”
Meena: “par abb to nhi krta na, kya aap use maaf nhi kar sakti? Meena hastee huyee…” didi abb sabhi baatein pati ko thode hi bataatein hain” haha kuch baatein bss dil mein hi rakhni chahiye.”
Meena: “ Didi aane wale Shanivaar ko to Parm Sahib ghar pe hi honge, to main thodi der ke liye Ramesh ko saath le aoungi. Aap fikar na kre koi problem nhi hogi, aur Parm sahib bhi mil lenge. Fir to apko nhi lagega na ke aap Parm sahib se kuch jhooth bol rhi hain ? dekh lena didi Parm ji itne acche insaan hai ke unhe koi problem nhi hogi.
Jasleen: “bohot bigadd gyi hai tu”
Meena: “Didi mujhe life ke maze lene hain, aur agar thoda bohot bigadna bhi padde to bhi kya harz hai…aap bhi thoda bigadd ke dekhiye…thode maze aap bhi kre”
Jasleen: “lgta hai tu mujhe bhi nhi chodde gi”
Meena: “ didi agar larka hoti to kabhi na choddti, bhaga ke le jaati apko…hahaa”
Jasleen: “ chup kr beshram!”
Dono hasne lggi. Meena ka plan kaam kr rha tha. Jasleen to bholi thi usse kuch pta nhi tha ke Meena aur Ramesh kya khichdi pkaa rhe hain. Meena ke jaane ke baad wo soch rhi the ke kya wo sahi kr rhi hai? fir usne socha ke agar Ramesh gareeb hai, shakal surat se bhi kuch khaas nhi hai..to kya usse bhedh-bhav krna chahiye? Uska mann saaf tha. Wo iss tarh se bhed-bhav nhi krna chahti thi.
Raat ko khana khaane ke baad, Parm jaldi so gya, kyunki wo aaj thoda thakka huya tha. Jasleen parm ki bohot care krti thi, usse pata tha ke Parm kitna hardworking hain. Lekin Jasleen abhi nhi soi thi. Achank uske phone par message aya, Wo message Ramesh ka tha.
Jab Jasleen ne Ramesh ka message dekha to wo thoda sa ghabhra gyi. Parm se milne se pehla uska koi boyfriend nhi tha aur Parm se relation se abb takk usse kisi aur larke ne iss tarah se baat nhi ki thi. to uska thoda ajeeb sa feel krna natural tha.
Ramesh: “kaisi ho Jasleen ji?
jasleen sochne laggi ke reply kre ya na kre.. usne Parm ki aur dekha,Parm so rhe the. 2-3 min baad Jasleen ne reply kiya
Jasleen: “thik hoon..par itni raat ko message kyu kiya?”
Ramesh: “aap so gyi thi kya?”
Jasleen: “nhi, so ne hi lggi thi.”
Ramesh: “mera mann kr rha tha ke apse baat kru.. apke pati hai paas??”
Jasleen: “han, so gyee”
Ramesh: “chlo thik hai fir apse baat ho payegi”
Jasleen ko apni body mein ajeeb c jhanjhanahat c hoti lagg rhi thi. ek taraf wo baat krna bhi chahti thi aur doosri aur usse ye sab galat bhi lagg rha tha.
Jasleen: “to kya baat krni thi ?”
Ramesh: “ apko to pata hi hai..hum to bss apse dosti krna chahte hain, apne kaha tha na ke aap soch ke batayegi. to kya socha aapne??
Jasleen se kuch kaha nhi ja rha tha. wo phone switch off krna chah rhi thi…lekin Meena ki baatein bhi uske mann mein aa rhi thi.
Jasleen: “abhi kuch nhi socha.”
Ramesh: “hum to bss itna chah rhe the ke koi acha dost ban jayee.”
Jasleen: “to kya aapke koi ache dost nhi? aap mujse hi dosti kyu krna chahte hain??
Ramesh: “hain bohot hain, lekin aap jaisa to koi nhi hai… aap kuch khaas ho.”
Jasleen ko abb baat krne mein thoda excitment c ho rhi thi.
Jasleen: “kyaa khaas hai?”
Ramesh: “aap shayed is shehar mein sabse sundar ho ye to pta hi hai, lekin main apse dosti isliye krna chahta hoon ke aap dil ki bohot achi hain, dusro se bohot alag.”
Jasleen ko apni tarif sun ke bohot acha lag rha tha.
Jasleen: “aapko mere dil ka kaise pata?
Ramesh: “ saari umar na jaane kitni thokre khayi hain, gareebi bohot kuch sikha deti hai.. itna to ek minute dekh kar bta sakta hoon ke kon kaisa hai.”
Jasleen: “agar itna hi pata chal jata hai to baar baar mujhe ched kyu rhe the??
Ramesh: “Aap mujhe dost mano ya na maano, par main to manta hoon, isiliye aapse jhoot nhi bolunga…rhi baat chedne ki to mujhe bss aap itni sundar laggi ke rha hi nhi gyaa, main hamesha se aisa hi rha hoon. lekin dil mein mere koi khot nhi hai.”
Jasleen: “Ye kya baat huyi?? ye to koi salika na huya kisi larki se baat krne ka ! sach kahoon.. main to yhi soch rhi thi ke kitna awara larka hai.”
Ramesh: “ sahi kaha apne..galti meri hai.. main awara hi hoon. bachpan mein baap marr gya, maa logo ke ghar kaam krti rhi, aur main awara gardi. mujh jaise gareeb ko kon larki izzat deti hai? agar kisi larki se araam se bhi baat kro to wo age se muh chidda ke baat krti hai…to apna bhi ego tha…bss to main chedne lgga larkiyon ko. aur meri zindagi mein thaa hi kya?
Jasleen ko ek baat Ramesh mein achi lag rhi thi, ke wo laag-lapet kar baat nhi kar rha tha, wo jaisa tha waise hi bata rha tha. Jasleen ke mann mein uske liye thoda soft corner aa gya tha ke bechare ka baap nhi hai aur itni mushkil halaaton mein pala hai.
Ramesh: “aapki baat sach hai.. mujhe aap jaisi sundar larki se baat krni nhi aati.. par abb to hum dost hai na..aap sikha dijiye.”
Jasleen: “main sikhao?? kyu? ”
Ramesh: “kyunki aap humare dost hain”
Jasleen. “maine kab han kaha? abhi maine nhi socha”
Ramesh: “itna waqt lga diyaa aapne sochne mein… kyu tarfa rhi hain aap, kya main dosti ke layek nhi?”
Jasleen “ hmm… maine kab kaha ke aap layek nhi”
Jasleen ki dhadkan thodi tez ho rhi thi, aaj wo pehli baar apne pati ke siva kisi aur larke se is tarah se chat kr rhi thi. na chahte huye bhi usse excitment c ho rhi thi. Meena ki baatein bhi uske mann mein aa rhi thi.
Ramesh: “acha ji…to aapne humein apna dost maan hi liya”
jasleen ne Smile wala EMOJI bhej kar ek tarah se haan kar di. uska dil tezi se dhadakne lgga. ye sab uske liye nya anubhav tha.
Ramesh: “ab aap dekhiye aaka ye dost kitni shidatt se dosti nibhata hai.”
Jasleen: “wo bhi dekh lenge. Ramesh ji”
Ramesh: “ab mujhe Aap Ramesh aur “aap” na kahein…ab to hum dost hain…”tum” hi thik hai aur aap mujhe Ramu keh sakti hain. mere ghar ka naam Ramu hi hai.”
Jasleen ko bohot ajeeb lag rha tha. lekin ab usne jab dosti krne ka faisla kar hi liya tha to abb wo Ramesh se aur comfortable hona chahti thi.”
Jasleen: “ thik hai, jaisa tum kaho.”
Ramesh: “ Thik hai, ab tum so jao, tumne mujhe dost mana hai, ye meri liye bohot badi baat hai, maine thik hi kaha tha ke tum jitni sundar ho utna hi tumhara dil sundar hai..thik hai ab hum kal baat karenge.”
Jasleen. “ ok Ramu good night”
Ramesh “ Good night.”
Ramesh ki khushi ka thikana nhi tha. koi sapne mein bhi nhi soch sakta tha ke Ramesh jaisa sadkchaap awara kism ka larka Jasleen jaisi decent aur khoobsurat larki se dosti kar skta hai. ye kisi chamtkaar se kamm nhi tha. udhar Jasleen ne shayad sapne mein bhi nhi socha hoga ke wo Ramesh jaise larke se dosti kar baithe gi. Unke ghar ke naukar bhi usse ache dikhte the.
Agle din Jasleen ne Meena ko sab btaya. meena bhi bohot khush thi ki Ramesh ne akhirkaar Jasleen se dosti kar hi li. dono is baare mein bohot der tak baatein krti gyi.
Abb roz hi Jasleen aur Ramesh ki baat hoti thi. Dhire dhire Jasleen Ramesh ke saath comfortable ho gyi thi. dono ke beech hassi mazak bhi hota. Ramesh thoda bohot flirting bhi krta rehta. Jasleen ko lag rha the ke Ramesh dikhne mein jaisa bhi ho par dil ka bura nhi hai. Ab unki dosti bhadti ja rhi thi. ,,,(Jasleen Ramesh ko Ramu hi kehti thi…to iss kahani mein bhi kyi jagah par Ramesh ko Ramu kaha jayega, to aap confuse na ho)…Jasleen ko pata nhi tha ke Ramesh ka maksad Jasleen se sirf dosti krna nhi tha, use paane ka tha. wo dhire dhire Jasleen ke aur kareeb ana chahta tha. Wo jasleen ke husan ke raas ko peena chahta tha.
Abb Ramu thoda aur aage bhadna chahta tha. Usne Meena se baat ki, dono ka plan tha ke shaniwar ko Jasleen ke Pati ko mila jayee. Ramu ne Jasleen ko milne ke baare mein bataya tha. asal mein Jasleen bhi chahti thi ke wo Ramu ke bare mein Parm ko bta de, usse bina bataye Ramu se baat krni achi nhi lgti thi, usse lgta tha ke usse aise kuch chupana nhi chahiye. Jasleen ne Ramesh ke bare mein thoda bohot hi parm ko bataya tha. raat ko Ramu ka msg aya…
Ramesh: “kya kar rhi hai meri dost..? aaj apne dost ko yaad nhi kia?
Jasleen: mazak mein…….“ nhi kiyaa…, itna kya khaas hai tum mein?”
Ramesh: “khaas to hai…isi liye tumne dosti ki.. aur dekhlo fir.. aate jaate roz chedunga, tumhare pati ke saamne chedu? fir mat kehnaa.”
Jasleen: “itni himmat ??”
Ramesh: “ himmat na pucho bss”
Jasleen: “tum nhi sudhroge”
Ramesh: “kal aa raha hoon tumhare pati ce milne, bol dena ke mera dost aa rha hai”
Jasleen: “btaya tha Meena ne”
Ramesh: “fir to koi darr nhi rahega tumhe?”
Jasleen: “nnhi..fir thik hai…tumhe pta hi hai Ramu mujhe unse kuch chupana pasand nhi.”
Ramesh: “thik hai…kya kahogi fir? tumhara pati gussa to nhi krega.”
Jasleen: “kyu ? nhi aisi koi baat nhi”
Ramesh aur jasleen thodi der baat krte rhe. Kal wo jasleen ke ghar aane wala tha.
agle din subah Meena 10:30 ke karib Meena Ramesh ko Jasleen ke ghar le aayi. parm bhi ghar par the.
Meena ne door bell bjai. Parm ne door open kiya. Parm Meena ko dekh kar bohot khush hua, Parm Meena ko apni choti behan ki tarah samjhta tha. Meena ke saath Ramesh bhi tha.
Meena: “Parm bhaiyaa.. ye Ramesh hai.. mera cousin hai, main thoda late ho gyi thi to aaj ye mujhe choddne aa gya.”
Ramesh: “namsate ji”
Parm: “namste ..aao ander, baitho.”
thodi der tino baat krne lgge. tabhi Jasleen ayi. wo thodi nervous thi.
Jasleen: “are Ramu tum? Parm maine aapko bataya tha na ek din do awara kutton ne hum par attack kiya tha, to isne hi apni jaan par khel mujhe bachaya tha, aur khud bhi jakhmi ho gya tha. “
Parm: “ohh to tum the..!! Meena ne batayaa nhi kabhi ke tum uske bhai ho.”
Jasleen Parm ki jaan thi, to jsine uski jaan ko bachaya uske liye Parm ke mann mein izzat honi hi thi.
Parm: “kaise tumhara thanks kru?? tumne meri wife ko bachaya, tumhe kabhi bhi kisi bhi tarah ki help ki zaroorat ho to mujhe bata dena bss.”
Ramesh mann mein soch rha tha ke mujhe to teri biwi patani hai bhenchod bss.
Ramesh: “ are nhi bhai aap sharminda na kre, apne itna kaha bss bohot hai. main yahi rehta hoon paas ki basti mein, vaise to apko humare kya kaam hoga lekin fir bhi agar aap ko koi kaam ho to aap mujhe kahiye. jasleen ji ko main janta hi hoon, inse ek do baar baat huyi hai, aapse aaj mil liye. aap log yahan nye hain, aap humein kahiye agar koi kaam huya to.”
Parm: “ arre koi baat nhi…chai lao Ramesh ke liye.”
Parm jasleen ko bohot pyaar krta tha, Ramesh ne usse bachaaya tha isiliye Parm ko Ramesh se milke bohot acha lgga. dono baatein kar rhe the. Ramesh 40-45 min waha ruka. jab Ramesh jane lgga, Jasleen Parm ke saath hi khadi thi aur Meena bhi. Ramesh ne Parm se ankh bacha kar, Jasleen ko ankh maar di, Meena ne bhi dekh liya tha. Jasleen bohot hairaan thi, ke kamine ne uske pati ke saamne use aankh maari. Parm ko pta bhi nhi chla. Ramesh waha se chla gya.
Jasleen ne baad mein Parm se Ramesh ke baare mein baat ki.
Jasleen: “apko milna chahta tha ye, iss ne meri ek do baar help ki hai, pehle main thoda darti thi ke ye basti ka hai.. you know what i mean..par larka acha hai.”
Parm: “ are yaar dont think like that, basti ka huya to kya, he saved you..aur Meena ka bhai bhi hai, to jaan pehchan ka hi huya.”
Jasleen: “apko to pta hi hai, main ghar mein akele bore ho jaati hoon, aur yahan koi mujhe janta bhi nhi, na koi dost, you know i dont trust people that easily.. to meri Meena aur Ramesh se baat hoti hai. ye log humaari hasiyat ke to nhi, lekin bohot helpful hain. aapko koi etraaz to nhi inse dosti se??”
Parm Jasleen ko apni baahon meein lete huye..” i love you meri jaan.. tumhe pta hai, main insaan dekhta hoon unki hasiyat nhi, mujhe koi problem nhi agar tumhe isse khushi milti hai. bss apna khayaal rkhna meri jaan”
Jasleen ne Parm ko kiss kiya, usse pta tha ke Parm usse samjhe ge. Meena ne ye sab sun liya tha. Wo bhi khush thi ki abb Ramesh ka kaam ban jayega. baad mein Meena aur Jasleen baatein krne lgge.
Meena: “abb thik hai? maine kaha tha na ke koi problem nhi hogi. abb aap bss thoda khul ke jiyee.”
Jasleen: “tumne dekha usne Parm ke saamne aankh maari!”
Meena: “didi.. to kya huya itna to doston mein chalta hai.. agli baar aap bhi maar dena, bss….itni choti baaton ko seriously na le ”
Jasleen: “sudherega nhi wo”
Meena Jasleen ko aankh marte huyee…”aap sudhrne dena bhi mat”
Jasleen ne Meena ke kandhe pe mazak mein mara..”usse dosti takk hi rehne do”