Thread Rating:
  • 24 Vote(s) - 3.13 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Fantasy Acp Sana Chaudhary (Lady security officer Officer)
#23
Update 3


Sana wapsi me apni jeep me jatey jatey soch rahi thi k kahin usne ziada ziadti to nahi kardi??? Phr wo khud hi apne apko satisfy karti hai or sochti k nahi nahi, main jo kia bilkul sahee kia, agr is mamley me ramakanth or uske betay k sath ziadti ho bhi gai hai to isse pehle inhone b boht galat kaam kiye hongay, uska hisab to inse kisi ne nahi lia hoga…inhi sochon me sana thi…or is waqt ki situation k hisab se Sana par ek sher match horaha tha k “DIL BEHLANEY KO KHAYAL ACHA HAI GALIB”…kyun haqeeqat yehi thi k sana ne zulm kia tha ajay k sath or najaiz baat ko barhawa dia tha, is was just an accident…ye sab sana k zehan me chal hi raha hota hai itne me Sana ka driver Gopal bolta hai….
Gopal : Madam apko nahi lagta aj kuch ziada hogaya?
Sana : Ziada uski wakalat karne ki zarurat nahi, khamoshi se gaari chalao, ab tum muje bataogay k muje kis waqt kia karna hai you bloody bastard…
Gopal ko Sana ki baton par boht gussa ata hai lekin who just Sorry madam bol kar chup kar k driving karne lagta hai…
Wahan ramakanth apne betay ko aesi halat me hospital lekar pohanchta hai, doctors uski halat ko boht critical karar dey dete hain, or ramakanth se duaon ka bolte hain…porey city me ye khabar pehal jati hai k Acp Sana ne minister k betay khoob maza chakhaya, jisse who log jo is porey waqiyey se anjaan the wo phr se Sana ko heroine samajhne lagte hain, lekin haqeeqat sirf security officer k kuch log, ramakanth or us bachey k maa baap hi jantey the…
Ramakanth ne us bachey ka ilaaj b city k sab se barey hospital me karwane ka order dia tha, or wo pane betay ko b usi hospital legaya tha, wahan jab media wale us bachey k maa baap se is waqiyey k barey me sawalat karte hain to wo media ko b haqeeqat batadete hain k Ramakanth jee ne hum se maazrat li hai or unhone ne hi hamare betay ko is hospital me shift karwaya hai,  ye just ek accident tha or wahan par maujood logon ne b hamein ye gawahi di  hai k hamara bacha khud hi Ajay ki gaari k samne aya tha, Acp Sana Chaudhary ne Ajay par bina kisi sabot k itna tashadud kia which is wrong, bhagwan ajay ko b sehat dey…
Is bayan k baad media par Ramakanth k khilaf baat hona band hogai, or kuch logon ne Sana k khilaf awaz uthana start kardi, lekin Sana is city ki heroine thi, uska image logon k samen kharab itni asani se nahi hosakta tha, Sana k khilaf unhi gundon or politicians ne ziada awaz uthai jinka usne band bajaya tha, lekin sana ki reputation par isse koi khas farq nahi para,
Wahan hospital me ajay ki halat aur kharab hogai thi, doctors ne boht koshish k baad ajay ki jaan to bacha lit hi lekin ajay qoma me chala gaya tha, who ek zinda laash banker reh gaya tha, doctor ka kehna tha k uski ye halat extra ordinary khauff or darr ki waja se hui hai, or uski body par bhi itne zakham hain k jiski taklif wo bardasht nahi karsaka….ramakanth is sab situation me boht sad tha, or aesi situation me ab usko apne dusre betay ki khoob yaad ati hai jo is waqt Sydney (Australia) me tha apni studies k lye…

Ramakanth k  2 hi betay the, Ajay or Sameer, Ajay bara tha or Sameer chota, Ajay ko apne chote bhai se boht mohabbat thi or uthi hi mohabbat Sameer ko apne barey bhai se thi, Ajay ne apne father k business or baqi sari zimedariyan khud par rakhi hui thi, or Sameer ko higher education k lye Australia bheja hua tha, usko wo har mushkil or pareshani se dur rakhta tha, jiska ehsas sameer ko b tha, ab ajay k is trah se Qoma me chaley janey se sara business sarey mamlat disturb hogae the, ramakanth b isi waja se pareshan tha k ab aage sab kese hoga…
So wo is sadmey ki halat me apne chote betay Sameer ko phone milata hai,
Sameer : Hello papa, kese hain aap?
Ramakanth : Hello beta, main thik hun beta, tumhari studies kesi chal rahi hain,
Sameer : Ek dum badiya, acha papa main bhaiyya ko subah call kia tha, unka phone band araha tha, wo semester ki fee deposit karwani hai, bhaiyya ne kaha tha k w o subah paise mere account me transfer kardengay, but ab tak aye nahi paise…
Ramakanth sam ki ye baat sunkar zaro kataar rone lagta hai…
Sam : papa hello, papa ap  roo kyun rahe hain? Is everything ok?? Bhaiyya kahan hain?? Papa please muje bataen kia hua hai…
Ramakanth khud par control karta hai or Sam ko puri story sunata hai, jiske baad Sam shocked hojata hai or gusse se kehta hai k Papa itna sab kuch hogaya, or a bap muje bata rahe hain???
Ramakanth : beta main or tera bhaiyya tuje hamesha har pareshani or museebat se dur rakhna chahte hain, hum chahte hain k bas tu parhai karey or apna future banaey, lekin beta Ajay ki is halat k baad main boht akela parr gaya hun, islye naa chhate hue b maine tuje ye sab batadia…
Sam : Papa main next flight se india araha hun, ap foran ticket arrange karwaen,
Ramakanth : nahi beta, tu apna semester chor k kyun ayega, bas tuije main update deta rahunga phone par, tera phone par hi mere sath hona enough hai, meri taqat ho tum dono bhai,
Sam : Papa ap ne already mere sath boht ziadti ki hai muje itna late inform kar k…. ab bagier koi waqt zaya karey meri next flight se ticket karwaen, warna main khud b asakta hun.
Ramakanth : Ok beta, main karwata hun…
Ramakanth us raat ki hi flight book karwa deta hai or Sam ko inform kardeta hai,
Sam flight me bethta hai or porey raaste yehi sochta hai k Kese is security officerwali ne mere papa or bhaiyya ko aziyat me daal hai, ab main isey bataonga k aziyat kia hoti hai, totally barbad kardunga main tum Acp Sana Chaudhary, boht shauq haina  tuje apne khauff or darr se logo ka peshab nikalney ka or humiliate karne ka, ab main tera peshab or tatti dono nikalwaonga, just wait & watch…Sam pori 10 hours ki flight me complete plan banaleta hai k usne Sana ka kia haal karna hai, lekin wo just Sam hi janta tha, halki si muskurahat sam k honton par ati hai or wo mann me kehta Acp Sahiba, tumhari halat ka soch soch k hasi arahi hai…phr flight land hone ka announcement hota hai…


Ab asal kahani start hogi, Kese Sam apne bhai or papa ka or un logo ka jinke sath shayed sana ne kabhi apni vardi or power k nashey me yaa logon ki nazar me heroine banne k chaskey me  zulm or ziadtiyan ki hain, kese Usse ek ek baat or ek ek Act ka badla lega…. To be continue........
My Story (Acp Sana Chaudhary, The Cop)

google chat
sana.shah8800;
Sana Shah  ❤️


[+] 1 user Likes Sana Shah's post
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Acp Sana Chaudhary (Lady security officer Officer) - by Sana Shah - 23-06-2022, 01:40 PM



Users browsing this thread: 9 Guest(s)