Thread Rating:
  • 7 Vote(s) - 2.14 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala
#76
Dekho hariya shadi to hamko karni hai ab kaise karo ye tum jano haan agar nahi ki to fir hum papa se batayenge ki hariya aur uski larki roj hame apne ghar bulate hain aur hariya kah raha tha kit um hamari bitiya ko leke bhag jao ab tum soch lo jab papa ko ye pata chalega to tumhara kya hal hoga ye kahke wo chala gaya


Fir baba ne mujh se bat ki main ne kaha bab ab tum bato kya Karen baba bole ye to acha hai ki shadi ki baat kar raha hai nahi to ye jiski bahan beti ko chahte hain aise hi utha lete hain

Wo baba se kayi bar bat karne aaya aur akhir me us ne baba se bat kar ke mujh se dusre ganv me jakar shadi kar li us ne kaha ki papa nahi manenge lekin mai shadi kar raha hun aur tumhari larki abhi apne ghar hi rahegi ye shadi ki bat kisi ko batana nahi aur papa kitne din aur challenge papa ke baad mai apni patni ko apne ghar pe rakhunga aur koi mera kuch nahi kar payega

Is tarah meri us se shadi ho gayi aur mai apne ghar rahne lagi lekin womera pati tha jab chahta tha mere pas aata tha aur chupke se mujhe bahut jagah bhi le jata tha

Aur kuch mahine baad mai garbhwati ho gayi maine us ko bataya wok hush hua bola waah ye to achi baat hai mai bhi khush thi

saal bhar ke baad jab mere larka paida hua to ganv me ek hahakar ho gaya ki hariya ki larki bin biyahi maa bani hai

Hum logon ko zamindar ke yahn bulaya gaya aur panchayat hui maine aur baba ne bataya ki chote malik ne shadi ki aur ye larka unka hi hai to sab ganv wale bole ye kya bak rahe hai

ye dono jab us se pucha gaya to wo mukar gaya bola maine shadi nahi ki aur hamen shadi ke liye yahi neech jaat ki larki hi mii thi kya

Hum logon ke kato to khun nahi aisa tha lekin zamindar ne pucha shadi kahan hui thi baba ne btaya zamindar ne us ganv me admi bhej kar sab pandit ko bulaya

to jisne shadi karayi thi wo pandit bola hamne nahi karayi aur aap ke bête ki shadi koi apki marji ke baghair nahi kara sakta kyunki koi aisa ganv nahi jahan aapko jana na jata ho malik

Fir usi samay hum baap beti ko bahut beizzat karke ganv se nikal diya gaya aur kuch saman bhi nahi lene diya bas hum logon ko jute maar maar kar nikal diya gaya aur ham aur baba dono kayi din tak idhar udhar bhatakte rahe

Ganv se dur hum log ek jagh pahunche aur rail gadi me baith gaye aur pata nahi kis shahar me pahunch gaye kayi din ke bhukhe hum dono aise hi rail ke station pe baithe the au mera bacha bahut ro raha tha

mujh nahi pata kyun tabhi ek aurat aayi aur boli is bachche ko chup karao main chup kara rahi thi lekin wo rata jar aha tha to us aurat ne bache ko chukar dekha aur boli isko to bukhar hai aur hum dono ko dekha hamari halat bhi bahut kharab thi wo pata nahi kya samjhi aur hum ko apne sath ek aspatal me le gayi wahan us ne mere bache ka ilaj kiya lekin hamare pas paise nahi the

Us aurat ne kuch dawayi lane ko kaha to baba bole hum logon ko kuch nahi malum yahan ke bare me aur hamare pas ek bhi paisa nahi hai

To wo kuch nahi boli aur kisi aur se dawa mangwayi der raat me wo aurat ne hm logon ko kaha ki ab tumhara larka thik hai

Fir hum se hamare bare me pucha baba ne usko bataya us aurat ne ek admi ko bulaya wo admi ne hum logon ko us aspatal me kayi din tak rakha

Jab ham log bilkul thik ho gaye to un dono ne hamare baba ko us aspatal me kaam karne ke liye rakh liya

Aur hum ko ek zamin par ek karma banwakar us par chappar dalwa diya aur ham us me hi rahne lage mere baba us aspatal me kam karne lage

wo admi tumhare papa aur wo aurat tumhari maa thi jo hum marte hue logon ko yahan le aayi fir kuch din ke baaad unhone yahan choti si zamin de di jo zamin unki hi thi aur ye makan jo razia jee ka hai ye zamin tumhare papa kit hi jo baad me unhone razia jee ko bech di thi aur us me se hi thori si mujhe rahne ke liye de di hum logo ne kabhi apne ganv ki taraf mudkar nahi dekha

Yahan sab logon se tumhare papa ne ye bataya tha ki ye mere ganv ke log hain aur hum log yahi rahne lage baba aspatal me kaam karte aur mai ghar pe hi rahti kabhi kabhi mai tumhare ghar pe bhi aakar kuch kaam kar deti thi lekin tumhari maa ko ye acha nahi lagta tha kyunki unke yahan ek aurat pahle se hi kaam karne aati thi

Mere baba apna kam karne lage the aur hum log such se roti khane lage the lekin mere baba ko mera bahut dukh tha wo kabhi chain se nahi rahte the main ye samajhti thi tab tumhare chacha yahin rahte the aur parhte the us samay wo larke jaise the


Samay beeta aur mera larka 5 sal ka ho gaya tumhare papa nekaha ki isko school bhejo baba ne us ka ek school me naam likha diya aur wo jane laga
Fir tum paida hui aur tumhari maa kuch din aspatal me rahi

to tumhare ghar ka kuch kaam mai bhi dekh leti thi tumhare papa rat ko ghar aate the aur subah fir apatal chale jate the raat ko tumhare chacha aspatal me rahte the

Main tumhare ghar me safayi kar rahi thi tab tumhare papa ja chuke the tab tuhare chacha n e mujh se zabardasti kii maine bahut virodh kiya lekin tumhare ghar walon ke ehsano ke tale mera vorodh dab gaya

aur majburan mujhe samarpan karna pada lekin mujhe nahi pata tha ki woe k din ka samarpan roz ka niyam ban jayega

Kuch din baad tumhari maa ghar aa gayi aur fir wo apne aspatal jane lagi unke piche tumhari dekhbhal ek aurat karti thi aur bhi main karti thi

Fir ye colony me bahut se naye makan ban gaye aur log aa kar rahne lage dhire dhire bahut aabadi ho gayi
 horseride  Cheeta    
Like Reply


Messages In This Thread
HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 22-12-2018, 11:28 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 22-12-2018, 07:51 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-05-2019, 05:40 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 17-05-2019, 01:06 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 25-06-2019, 03:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 30-06-2019, 07:23 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-07-2019, 01:30 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 02-08-2019, 03:04 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 03:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 07:48 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 06-09-2022, 12:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 14-09-2022, 12:10 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 18-09-2022, 07:34 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 11-12-2022, 07:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 03-05-2023, 08:12 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 05-05-2023, 07:18 AM



Users browsing this thread: 10 Guest(s)