22-12-2018, 07:43 PM
Bitiya main yahan se bahut door ek gaanv ki rahne wali thi mera ganv bahut acha tha mere ghar me mere pitaji aur meri matajji thin
mere pita ek ghareeb kisan the aur usi ganv me ek zameendar the sare ganv par unka kabza tha ganv me sab khet bagh unke hi the aur jo dusron ki zameen thi
wo bhi unke pas girvi thi ya unhone kabza kar rakhi thi chota sa ganv tha sab kisan zameedar ki hi kheti karte the aur usi se apna jeevan yapan karte the
Ganv ka mahaul to aap janti hi ho wahan bahut choti umar me hi biyaah ho jata tha main choti thi tab hi meri amma ka nidhan ho gaya ab ghar me mai aur pita ji hi rah gaye pitaji kaam karte the aur main ghar ka kaam karti thi
Zameendar ka ek bahut bada ghar tha jisko haveli kaha jata tha aur us ke piche ki taraf zamindar ki hi
zamin par hum logon ke ghar the kyunki sab log khet ke alawa zamindar ke ghar bhi kam karte the jab jiski zarurat hoti thi usli bulayi ho jati thi
Koi kuch kahta bhi nahi tha kyunki zamindar jisko chahta tha dandit karta tha aur ganv se bhi nikal deta
Aise hi samay beeta aur mai badi ho gayi to mere pita jee ne meri shadi ki baat karna shuru kar di
Zamindar ki 2 larkiyan thi aur 1 larka larka sab se chita tha badi larki ki shadi ho chuki thi aur dusri larki ki shadi hone wali thi
Uska larka din bhar ganv me ghuma karta tha usko koi kaam dham ki zarurat hi nahi thi
Aise hi achanak usne mere ghar ki taraf zyada dhyan dena shuru kar diya din me 2-3 bar udhar se nikalne laga aur nikalta to mere pita ko puchta tha mai kah deti thi ki wo khet par gaye hain
Kuch din tak to maine koi dhyan nahi diya fir ek din maine apne pita se bataya main apne pita ji ko baba kahti thi
Maine kaha wo chote malik aaj kal din me kayi bar aakar aap ko puchat hain kya aap un se nahi mile itne din se
Baba bole – nahi bitiya us se to roz sabere hi bhent hoti hai jab mai haveli jata hun chote malik ne to koi baat ham se nahi ki fir baba bole ki bitiya aaj ham khet se din me hi laut aunga shayad koi bat ho
Baba ke jaane ke kafi der baad wo aaya aur pucha maine kaha nahi hain fir wo mujh se puchne laga sab thik hai koi pareshani to nahi maine kaha nahi sab thik hai
Wo bola agar koi taklif ho tum ko ya kuch jarurat ho to mujhe sirf mujhe batana maine kaha thik hai chote malik aur wo chala gaya