Thread Rating:
  • 7 Vote(s) - 2.14 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala
#73
Update 25-9-11


Monday 7 november 2005


Subah mai apne time pe uthi aur apni prayer aur sare kaam ke baad humne breakfast kiya aur college chali gayi shahnaz ko college chorkar main wapas ghar ki taraf chal dii aaj class ka mood nahi tha

Main wapas aate hue Aunty ki dukan par ruki aunty us waqt sabziyan lekar aayi thi aur sabzi ke jhaal khol rahi thi maine un ko Namaste kiya aunty mujhe dekh kar bahut khush hui aur dher sari duayen unhone mujhe dii

Seema kahan ha aunty – maine pucha

Wo to school gayi hai bibi ka aap ko mili nahi – unhone pucha

Nahi aunty aaj main college nahi gayi thi bas shahnaz ko chorkar chali aayi is liye maine nahi dekha seema ko – main boli

Batao bibi jee koi baat hai kya – aunty ne pucha

Haan aunty aap mere ghar aa jaiye aap se kuch baat karni hai – maine kaha

Lekin bibi main to dukan lagane ja rahi thi – wo boli

Jee aap wo baad me kar lena mai aap ke sath aakar aap ka kaam karwa dungi abhi aap aa jaiye – maine kaha

Kya hua bitiya koi khas bat hai batao to – aunty ne pucha

Haan lekin aap ghabraiye nahi aisi koi baat nahi hai bas aap se thora kaam hai – main boli

Thik hai bibi bhi aa ati hun ye saman andar rakh dun – wo boli

Aur main wahan se apne ghar aa gayi

Ghr aakar maine change kiya aur chai banakar cup me dalkar sofe pe aake baith gayi

Cup ki chi na jane kab ki khatam ho chuki thi fir fir adat ke mutabik khali cup bar
bar mere munh tak ja raha tha aur wapas mere hathon me jata tha

Main intehayi darja scoho me doobi hui thi door bell sunkar mai apni soch ke daire se bahar aayi aur ghari ki taraf nigah dali

Oooh mujhe ghar aaye 1 ghanta ho chukka tha main gate par gayi dekha aunty aayi thi main ne gate khola aur dono log andar aa gaye

Bibi thori der ho ho gayi wo kya sab saman bahar se andar karna para

Koi baat nahi aunty meri wajah se aap ko pareshan hona para us ke liye maafi chahti hun – maine kaha

Koi baat nahi bitiya ye batao kya baat ho gayi kahe bulaya aap ne – wo boli

Pahle aap bathiye maine kha aur aunty sofe pe baith gayi

Main kitchen me gayi aur chai ke sath thora ka kuch khane ka saman lekar wapas aa gayi

Hum dono chai peene lage

Aunty – main apni chai khatam karte hue boli

Han bolo bibi – wo boli

Aunty agar aap bura na mane to main aap se kuch puchna chahti hun is liye maine aap ko bulaya hain – main boli

Han haaan pucho bitiya main bura nahi manungi – wo boli tumne apni chai bahut jaldi khatam kar li - wo aage boli

Jee maine khatam kar li main jaldi pi jati hun kyunki abhi aap ke sath aur chai piyungi- main boli

Kaho kya puch na chah rahi thi bitiya – wo boli

Dekhiye aunty mai aap ke bare me sab kuch jaan na chahti hun aap ki zindagi ke bare me aap ke bare me sab kuch – main ne kaha

Aunty jo apni chai khatam kar chuki thi ab mujhe bahut ghaur se dekhti hui boli – pahle ye batao aap mere bare me janti kitna ho

Main to kuch nahi janti mujhe bas mere mammi papa ne yahi bataya ki ye aunty

hain inki izzat karo ye tumhari badi hain aur jab maine aap ke bare me papa se kabhi pucha to unhone bas ye bataya

ki beta ye yahan apne pita ke sath aayi thin aur inke pati ne inko chor diya hai pareshan log hain aur tum log inko kabhi pareshan mat karna bas main to itna hi janti hun lekin dusre log aap ke bare me bahut kuch kahte hain

to mai kabhi kabhi sochti hun ki kya sahi hai kya ghalat is liye aaj aap ko bulaya hai kyunki aap ke bare me aap se zyada koi nahi janta hoga – main boli

huuuunnmmmmmm – aunty ne ek lambi saans chori aur fir meri taraf dekhne lagi

achanak hi aunty ki aankhen nam hone lagi

pareshan mat hoiye – main boli

main janti hun bitiya kuch log kya kahte hain mere bare me main bhi yahin rahti hun aisa to nahi hai ki mujhe nahi pata kaun kya kahta hai lekin kya karun

abhagan hun sunti hun aur hamesha se sunti aayi hun kayi bar socha ki apne bachon ko lekar mar jaun lekin tumhare devta saman mata pita ne har samay sath diya – Aunty bolin

jot um chaho mujh ko samajh sakti ho mujh se kyun puch rahi ho – wo boli

nahi aunty main aapke bare me kuch apni aqal se nahi soch na chahti balki sab kuch aap se janna chahti hun – main boli

Thik hai bibi main batati hun – aur fir aunty ne bolana shuru kiya
 horseride  Cheeta    
Like Reply


Messages In This Thread
HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 22-12-2018, 11:28 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 22-12-2018, 07:42 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-05-2019, 05:40 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 17-05-2019, 01:06 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 25-06-2019, 03:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 30-06-2019, 07:23 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-07-2019, 01:30 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 02-08-2019, 03:04 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 03:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 07:48 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 06-09-2022, 12:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 14-09-2022, 12:10 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 18-09-2022, 07:34 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 11-12-2022, 07:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 03-05-2023, 08:12 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 05-05-2023, 07:18 AM



Users browsing this thread: 7 Guest(s)