Thread Rating:
  • 7 Vote(s) - 2.14 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala
#57
Subah meri nind khuli tab maine uth kar kapre pahne aur bahar nikli dekha shahnaz
so rahi thi maine us ko jagaya aur khud kitchen me chali gayi aur chai banana lagi chai
pi kar breakfast kiya aur hum dono college ke liye nikal gaye
College me hum dono ne hi clas ki aur wapas ghar aa gaye aur aise hi august month bhi ghuzar gaya
Septembr me nausheen aayi aur kuch din wo ruki thi itne din uske sath bahut aca laga
jab se uski shadi hui thi tab se wo ab wapas aayi thi 1 week ruk ne ke baad wo chali gayi
Shahnaaz ki study achi chal rahi thi aur seema bhi apni parhayi me bahut mehnat kar
rahi thi
Aise hi zindagi ghuzar rahi thi hum dono bahno ki bas apna ghar aur ghar me hi apni
choti si duniya bas subah se sham tak apni routine life yahi zindagi thi
Mai ab zyada class karne lagi thi aur LLB me kafi dilchaspi le rahi thi class karne ki
wajah se kayi larkiyon se achi jan pahchan ho gayi thi aur 2 larkiyon se maine apna
number bhi exchange kiya tha aur kabhi kabhi wo larkiyan study se related baton ke
liye phone kar liya karti thi unme se ek larki mujhe SMS bhi bheja karti thi
Wo mere sath LLB kar rahi thi uska rang gora tha aur chote kad ki thi lekin bahut
shararti thi wo puri class ki larkiyon ki naak me dam kar rakha tha us ne usko ye bhi
fikar nahi thi kisko uski baten buri lagti hain yak is ko achi
Wo shararti thi lekin badtamiz nahi thi sabhi ki izzat karti thi kabhi serious nahi rahti
thi teacher class me aati to bhi kuch na kuch shararat karti rahti
Aur agar kisi din wo nahi aati thi to sab larkiyon ko lagta tha ki jaise aaj class me koi
aaya hi nahi aur koi na koi call zarur karke puchta ki wo kahan hai
Itna kareeb aagayi thi wo sabke sirf apni shararton se wahi larki mujhe sms karti rahti
thi maine bahut baar mana kiya lekin wo nahi mani to maine kuch nahi kaha
Aise hi September ka month bhi ghuzar gaya aur actober shuru ho gaya apni chata
bikher kar juhi ka mausam ja chukka tha aura b har singar ne apni khushbu bikherni
shuru kar di thi din ki dhup me thori si garmi hoti thi lekin raat kafi shabnami hone
lagi thi aur subah hote hote khunk hawayen apni ghosh me le leti thi

Ye mausam baht acha lagta hai khas kar unko jo subah early morning uthte hain hari
hari ghas par pari motiyon si oos ki bunden aur fizaon me mahakti gulon ki khusbo
rooh me utar jaya karti hai
Is beech maine kayi bar garage ke piche dekha aur kayi bar mujhe wo couple piche
mila aur kabhi nahi mila har bar unka ek hi kaam hota thaw o main aap logon ko detail
me bata chuki hun baar baar repeat karke mai aap logon ko bore nahi karna chahti
lekin itne dino me sirf ek baar hi 2 aadmi dikhe the jo 1 aurat ke sath the aur 1 baar hi
2 aurat jo ek aadmi ke sath thi iske alawa kuch bhi naya nahi tha
Kuch din yunhi beet gaye ek din aise hi achanak mere mobile 2-3 sms aa gaye maine
parhe wo kisi new number se the aur mera no. Zyada logon ke pas tha nahi main
sochne lagi ki ye kisne bheje hain wo msg. Shayri au raise hi muhabbat bhari doston ke
liye kuch baten
Maine us NO. Pe call kiya lekin phone nahi utha maine kayi baar try kiya lekin phone
nahi utha mere call karne ke baad kuch aur msg. Aa gaye
Fiza me mahakti sham ho tum-pyar me chalakta jaam ho tum
tumhe dil me chupaye firte hain - aye dost zindagi ka dusra naam ho tum
Aise hi kayi msg . mere mobile aaye main bahut fikarmand thi ki
akhir kaun bhej raha hai lekin kuch pata nahi chala
 horseride  Cheeta    
Like Reply


Messages In This Thread
HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 22-12-2018, 11:28 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 22-12-2018, 06:57 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-05-2019, 05:40 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 17-05-2019, 01:06 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 25-06-2019, 03:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 30-06-2019, 07:23 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-07-2019, 01:30 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 02-08-2019, 03:04 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 03:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 07:48 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 06-09-2022, 12:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 14-09-2022, 12:10 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 18-09-2022, 07:34 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 11-12-2022, 07:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 03-05-2023, 08:12 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 05-05-2023, 07:18 AM



Users browsing this thread: 6 Guest(s)