Thread Rating:
  • 1 Vote(s) - 3 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Romance Woh Humsafar Tha....
#2
Update 2

"Akshat ap bolte kyun nahi?, Akshat please 
kuch boliye apke khamoshi muje maar dale 
ge, kuch tu kahiye please Akshat, ap jante 
hain main aisa nahi kar sakte, kah dijiye en 
se ke ye sab jhoot ha ap es sab pe vishwas 
nahi karte, please Akshat boliye na enhe, ap 
kuch kahte kyun nahi? "Woh door kahin khayalon main khoya huwa 
tha ke achanak mobile ke ghanti use hosh 
ke duniya main wapas lay aye, us ne 
number dekh kar call pick kar le
"Hello, Rohit" ... 
"Han abhi operation chal raha ha, lag bhag 2 
ghante ho chuke hain" ....
"Nahi tum yahan mat ayo, tum wahan pe 
sanbhalo waise bhi yahan ane ka koi faida 
nahi, jab operation khatam hoga tu main 
khud he tumhain phone kar don ga ya fir 
tumhare taraf aa jayon ga" ... 
"Han theekh ha tum fiker na karo aur Anjali 
Bhabi ko bhi kaho ke woh pareshan na hon, 
main operation khatam hote he tumhain 
phone kar don ga" ...

Us ne ye kah kar phone band kar dya aur fir 
se apne ghadi pe time dekha. Use lag raha 
tha jaise waqt ruk gaya ha 60 seconds use 
60 saal ke barabar lag rahe the. Use entajar 
karna hamesha se bura lagta tha laiken us 
ne kabhi socha na tha ke kabhi use aisa 
entajar bhi karna pade ga jo har pal main 
uske jaan lay ga,har gujarta minute ke sath 
use lag raha tha jaise uske zindagi ke 
sansain kam ho rahe hain, uska bus nahi 
chal raha tha ke operation theater ke ander 
chala jaye. Akhir 3 ghante ke takleef dah 
entajar ke baad operation theater ka darwaja 
khula aur Doc.Rajesh apne team ke sath 
bahar ate dikhaye diye, woh enhain dekh ke 
khada ho gaya uske chahre pe es waqt 
aasha aur nirasha ke bhaav saaf dekhe ja 
sakte the. Woh Doc.Rajesh ko aise dekh 
raha tha jaise koi mujrim apne mawt ke saza 
sunane wala ho 
"Mubarak ho Mr.Akshat ye pehle jung tu 
hum ne jeet li ha, operation saffal raha" ...

Doc.Rajesh ne jaise uske bejaan wajood 
main zindagi ke rooh phoonk de the
"Doc" ... Akshat bus etna he kah saka
"Mr.Akshat maine kaha tha na bhagwan pe 
bharosa rakhiye, abhi sahe halat tu humain 
patiyan khulne ke baad he pata chale ge, 
laiken muje pura vishwas ha ke agay bhi sab 
theekh ho jaye ga, ap thode dair main mere 
office aye ga ap se kuch batain karne hain" 
... Doc.Rajesh ne dostana muskurahat se 
kaha aur fir apne office ke taraf chale gaye
Akshat ne aik lambi saans li jaise woh 
mehsoos karna chahta ho ke woh abhi zinda 
ha. Operation ke safalta ka sun kar uske ruki 
huwe sansain bahaal ho chuke thein. Us ne 
washroom main ja ke apna chahra thande 
pani se dhoya, us ne sheeshay main apne 
aap ko dekha tu use lag raha tha jaise uske 
sharir se kise ne sara khoon nichod lya ho 
uska chahra bilkul peela pad raha tha. Us ne

pani se aik baar fir se apna chahra dhoya 
aur pani ke sath uske ankhon se bahne wale 
kaye ansoo bhi shamil the, akhir kafe dair 
apne chahre ko dhone ke baad us ne apne 
jaib se tissue nikal kar apna chahra saaf kya 
aur Doc.Rajesh ke office main aa gaya
"Aaye Mr.Akshat bethiye, coffee peena 
pasand karan ge aap?" ... Doc.Rajesh ne us 
se poocha
"Ji jaroor laiken beghair cheeni ke" ... Woh 
es sare samay main pehle baar muskuraya 
tha aur uske baat sun kar Doc.Rajesh ne 
phone per coffee ka order dya
"Mr.Akshat ap jante hain ke gardan se 
neechay ka sharir kafe jhulas chuka ha, 
khaas kar kamar abhi bilkul exact situation 
tu batana sanbhav nahi woh tu 48 ghanton 
ke baad he pata chale ge, laiken uske baad 
bhi kam aj kam 1,2 mahine apke patni ko 
yahin rahna hoga" ...

"Doc woh pure tarhan theekh tu ho jaye ge 
na, ap nahi jante woh buhut kamjoor nerves 
ke ha choti choti baat pe ronay lag jati ha 
aur kahan etna bada hadsa" ... Akshat ke 
awaj main bechani the
"Dekhiye Mr.Akshat ye jo surgery ha koi 
jadoo nahi ha, dawai aur malham se sharir 
pe lage ghaav tu samay ke sath gayab ho 
jayen ge laiken mann pe lage ghaav bharne 
main jyada samay lage ga, aise main aap ko 
har qadam pe apne patni ka sath dena hoga, 
ab unko apke jaroorat pehle se kaye jyada 
ha"... Doc.Rajesh ne use tafseel se 
samjhaya
"Main apke baat samajhta hon, laiken mere 
lye use es takleef main dekhna buhut 
mushkil ha" ... 
"Apko himmat karna pade ge Mr.Akshat jitna 
ap bahaduri ka saboot dain ge utne jald he 
woh theekh ho jayen ge" ...


,,"Theekh ha Doc, i will try my best" ... Akshat 
ne unke maganye huwe coffee ka akhri 
ghoont bhara
"Ab aap chahen tu yahin pe araam kar sakte 
hain ya fir ghar jana chahen tu ja sakte hain" 
... Doc.Rajesh ne kaha
"Ji muje jana ha mera dost aur unke patni 
bhi kafe chintak hain, unhain bhi batana ha 
operation ke bare main" ... Akshat ne jawab 
dya
"Ok Mr.Akshat" ... Doc.Rajesh ne apne kursi 
se khade ho kar us se hath milaya aur woh 
un se mil kar bahar car parking main aa 
gaya wahan aa kar us ne aik baar fir se aik 
gahra aur lamba saans lya aur apne gadi 
main beth gaya, ab uske gadi taiji se Rohit 
ke ghar ke taraf ja rahe the, jahan use kaye 
sawalon ka jawab lena tha, woh sawal jo

pichle 10,12 ghanton se use tang kar rahe 

the.
,


Baba main baba  chodu baba
BaBa Main BaBa cHoDu BaBa.... 
.... Aa gya h. Waapis bhot pelenga ......
Like Reply


Messages In This Thread
Woh Humsafar Tha.... - by chodu baba - 13-12-2020, 11:45 PM
RE: Woh Humsafar Tha.... - by chodu baba - 13-12-2020, 11:57 PM
RE: Woh Humsafar Tha.... - by chodu baba - 14-12-2020, 12:03 AM
RE: Woh Humsafar Tha.... - by chodu baba - 14-12-2020, 12:10 AM
RE: Woh Humsafar Tha.... - by chodu baba - 14-12-2020, 12:18 AM
RE: Woh Humsafar Tha.... - by chodu baba - 14-12-2020, 12:22 AM
Woh Humsafar Tha.... - by chodu baba - 14-12-2020, 10:02 AM
RE: Woh Humsafar Tha.... - by chodu baba - 14-12-2020, 10:16 AM



Users browsing this thread: 1 Guest(s)