Thread Rating:
  • 7 Vote(s) - 2.57 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Fantasy Ron~the dragon holder (Sgp2009) - ( Completed)
#13
Update-16
"ye kashti bahut tej chalti hain..mujhe maloom nahi tha,aaj tak jab ki ye itne salo se mere pass hi padi thi.."Bilandar ,patwar chalata hua bola..Aditya bhi bilandar ke sath patwar chala raha tha,,Aur Ron naav me khade hokar samundar me aage ki disha me door dekhe ja raha tha..
"Ron-meri bandook toh dena be,.jara dekh loon kahi un namoono ne kharab toh nahi kar diya,,"Aditya ne bandook Ron ko di..Ron bandook ko dekhne laga..''ye thik hain,,abhi bahut logo ko uda sakti hain.."
"Ron ye bandook tujhe mili kaha se.."Aditya bola..
"ye mujhe murdo ke shahar se mili.."
"kya bewkoof kyun bana raha hain.. Death iceland me tu kab chala gaya.."Aditya ne apne chehre ke expression ko thik karte hue kaha
"death iceland main sapne me gaya tha..aur waha ke king Martin se ye bandook chheen kar le aaya..."
Ron ka itna kahna tha ki Aditya aur bilandar jor jor se hasne lage..Aditya apna pet pakadkar haste hue bola"ye dekho samundar ke shikari ka ek aur karnama..fekne ki bhi had hoti hain be.."
Bilandar bhi apni hasi ko control karta hua bola.."rahne de Aditya , is viran samundar me samay gujarne ke liye bhi toh kuch chahiye,,iski baate sunkar hi apna samay kat lenge.."
"Ron-yadi tum dono ko apna samay hi gujarna hain toh phhir main tumhe Martin ki prem kahani sunata hoon..
Bilandar-Martin ki prem kahani ke baare me toh maine bhi suna hain..lekin us kahani me sabhi apne vichar jod dete hain..sabki kahani alag alag hain..
"Ron-phhir main sunata hoon..lekin yaad rakhna yadi is baar bola ki phek raha hain toh dono ko kashti ke neeche phenk dunga...
******************************
"Captain Nair ko hosh aa gaya"balladonna se ek shaks chillaya..Sabhi ka dhyan us chillate hue shaks ki taraf gaya..
''kaise ho Captain"Riya ne room me ghuste hi puchha..
"thik hoon ,bas sar me thoda dard hain..us Aditya kamine ne bahut kas kar mara tha.."Nair apne sar ko sahlata hua bola..phhir usne Seth ki taraf dekh..seth chup chap khada tha,."Ron aaya tha kya yaha,."
"Seth-wo aaya tha..aur apni gun bhi sath le gaya..
"Nair-kya baat kar rahe ho..tum logo ne roka nahi us namurad ko..
Riya Nair ke kandhe par hath rakh kar boli.."relax Captain wo bahut chalak nikla..na jane kab se uske dimak me ye sab chal raha tha.."
"abhi kaha hain Ron.."
"wo ek chhoti si kashti me nikal gaye hain.."
"phhir kya humne unka pichha kiya.."
"Nair..Ron ne jate jate engine ko tabah kar diya hain,.par jald hi engine thik ho jayega.."
"Nair-ab bahut ho gaya...is samundar ke Shikari ka shikar ab main karunga...
******************************
"Ron-toh suno tum dono death iceland ke king Martin ki kahani..par yaad rakhna yadi kisi ne beech me toka toh use Morgan ke hawale kar dunga..."Martin..jiske baare me kaha jata tha ki Martin ko uparwale ne kisi khas makshad ne is duniya me bheja..Martin anath tha..death iceland tak wo kaise pahuncha ye koyi nahi janta tha..jab wo bahut chhota tha...tab gulamo ke dal me shamil hokar wo waha ke raja ke yaha kaam karta tha..death iceland ke baare me ek bahut rochak aur majedar baat thi waha ke logo aisa mante the ki us iceland me marne wale shaks ki rooh wahi dafan ho jati hain,.aur samundar ki shan kahne wale Spritiual ship ki raksha karti hain..isliye kayi salo tak spiritual ship samundar par raaj karta raha..lekin ek din aisa bhi aaya jab spiritual ship bhi doob gaya......"Ron bolte bolte chup ho gaya....
"Ron-la sharab ki ek botal la..aur naav aage badhate rah warna spiritual ship ki tarah hum bhi doob jayenge...
Bilandar ne bagal me rakhi hui sharab ki botal Ron ki taraf fek di..
"haan toh main kaha tha...Martin jab chhota tha tab wo waha ke raja ke yaha kaam karta tha..lekin use us samay khud nahi maloom tha ki wo ek din khud raja banega..raja ki ek beti bhi thi Lica..bachpan me Martin aur Lica dono aksar khela karte the death iceland ka raja ke kayi dushman the ,,jo har pal isi death iceland ki khushal saltanat ko tabah karne ki socha karte the..unka sabse bada dushman tha Morgan...Morgan ne samundar ke kinare base hue kayi saltanat ko tabah kiya tha..ab uski nazar death iceland par thi..death iceland ka raja ye baat janta tha...musibat uske sar ke upar hain ,Morgan ki sabse badi taqat thi prachin jamane me paye jane wale dragons ,jo ki Morgan ke har jung ke hathiyar the..death iceland ka raja ye baat janta tha..isiliye usne dragon se nipatne ke liye ek aisi bandook banwayi jo hamla karne par goli nahi aag ka vishal bhandar phenkti ho..dusari taraf Martin aur raja ki beti Lisa ke beech karibi badh rah rahi thi ,dono jawani ke dahliz par bhi kadam rakh chuke the..dono ki dosti pyar me kab badal gayi dono ko iski khabar tak nahi lagi... "
"Ye sala bavandar kaha se aa gaya..ab toh seedhe jahannum me jayenge..ye uparwale ye hain kya,.."bilandar ka dil bhay aur dar se bhar gaya...
"Ron-100 saal jiyega Morgan..nam liya shaitan hazir..par iske 100 saal toh kabke pure ho chuke hain.............................continue...............


Update-17
"Balladonna ki speed ko aur tej karo..hume jald hi aage badhna hain..."Seth ne apne logo ko instruction dete hue kaha..Captain Nair balladonna ke ek chhor par khada hokar samundar me uth rahi tej lahro ko dekh raha tha...
"captain..ab aap kaise ho..."seth bhi Nair ke pass khada ho gaya...
"jante ho seth zindagi me maine itni haar kabhi nahi jheli...Ron ke hatho lagatar mili shikast ne mujhe andar tak hila diya hain...main kisi bhi halat me balladonna ka captain kahlane layak nahi hoon..."Nair ki awaaj me udas jhalak rahi thi..."Captain hum navy se hain,.,humne isse bhi badi ladayi jeeti hain,hum itni jaldi haar nahi maan sakte.."
"tumne thik kaha Seth..humne isse bade bade jung jeeti hain..lekin kabhi socha nahi tha ki ek jungali ,jo khud ko shikari kahta hain..us bedhange se haar jaunga...."
seth abki baar chup raha...Raaj apne room se bahar nikalkar balladonna ke khule vatavaran meaa gaya..uske sar par nishan the..jo ki Ron ke sath hui ladayi ka nateeza tha..Raaj ne seth aur Nair ko balladonna par dekhkar unki taraf badh gaya..
"Raaj-balladonna ka engine kharab ho gaya tha..ab thik hain..
"Seth-puri tarah se toh thik nahi hua hain..lekin ye kaam kar raha hain..tum kaise ho..
"Raaj-mujhe hua hi kya tha..aisi muthbedh toh hoti rahti hain,,,ab main bilkul thik hoon...aur Ron ke sath agali mulakat ka besabri se intezar kar raha hoon...
"Nair-kya karoge usse mulakat karke ..is baar bhi wo chakma de jayega..hum kuch nahi kar payenge...
"befikra raho captain..yuddh me jab tak samne wala zinda ho..ladayi khatam nahi hoti..aur abhi toh hum sab thik hain..,jaroorat hain toh milkar kaam karne ki...phhir wo Chahe Ron ho ya Morgan ki darindi sena..koyi humare aage kuch nahi kar payega..."
"Nair-tum sahi kahte ho Raaj..aaj se hum teeno ka ek maksad hain ,..Ron ki tabahi...
"waise hum teen nahi char hain..aur Ron ki tabahi ke alawa bhi hum charo ka ek maksad hain..."
Nair,Seth aur Raaj ka dhyan Aawaj ki taraf gaya...Riya saamne se aa rahi thi...
"Riya-Raaj,tumne sahi kaha..hume milkar kaam karna hain....aur humare is nek kaam me balladonna bhi sath dega...
"Seth-balladonna ki speed badho namurado...itni tej kar do ki ek baar samundar bhi kaanp jaye....ab hume na toh Morgan rok sakta hain,..aur na hi The Ron....
******************************
"hum inka mukabla kaise karenge..inki tadad bahut jyada hain...aaj uparwala hi bachayega hume in darindo se..."Aditya ki aawaj me dar saaf jhalak raha tha..
"Ron-baat toh sahi hain..par inke liye main akela hi kafi hoon...
Morgan ke dragons bhayankar aawaj nikalte hue teji se Unki taraf aa rahe the..pichhali baar mili shikast ka gussa saaf jhalak raha tha...
"Ron-ye kallu nahi dikh raha kahi..chupa hoga peechhe...
"Ronnnnnn........"tej awaaj me bolte hue Morgan dragon par baitha hua saamne aaya..
"Ron-ek toh teri awaaj itni bekar hain..upar se Ronnn chillakar kaan phad raha hain..kuch kaam tha kya..ya phhir aise hi meri yaad aa gayi..jo mujhse milne aa gaya..
"Morgan-tu bahut badi galti kar raha hain..tujhe atlantic samundar ki raksha kavach ko paar nahi karna chahiye tha....is baar tujhe yaha se zinda nahi jane dunga...
"Ron-aaja ladayi karte hain..mera baat karne ka mood nahi hain...
"bilandar-abey pagal hain kya..kyun Morgan ko uksa raha hain,,,tu shayad use nahi janta..
"ye Morgan kaun hain..main toh ise kallu bulata hoon...aur ye sab toh ek war me hi khatam hain..."
Ron ne naav me padi barood ki bori ko uthakar dragons ki taraf phenk diya..aur apni bandook se us barood par nishana laga diya...sabhi dragon teji se aage badh gaye...Barood hawa me jalne laga..
"Ron-ab toh gaye kaam se...chal apne priyajano ko yaad kar lete...
hain 
Morgan-Ron..abhi tujhe marne ka waqt nahi aaya hain,,tere liye humne kuch aur hi soch rakha hain..pahle balladonna ko tabah karna padega..yadi dragon holder ka adesh hain...Morgan apne dragons ko lekar aage badh chala...Teeno dragons ko balladonna ki disha me jate hue dekhne lage...
"Ron-chalo Martin ka iceland jyada door nahi hain..
"Aditya-ghanta aag badhe..phad ke nikal gaya kallu..jab maine dekha ki tera war khali gaya hain...dekh ke goli nahi chala sakta tha..
"ek baar spiritual ship ko hath aane de..phhir in sabki....... "
Ron ko beech me hi Rokkar Aditya bol pada..."Captain mujhe banana..dekh kitna achchha lagega jab log kahenge..Captain Aditya..."
"isse thik toh Captain bilandar lagta hain...jahaj ka keval ek Captain hoga..wo hain The Ron.."
bilandar hasne laga..."kya sapne hain tum dono ke..lekin spiritual ship ka pata maloom hain..."
"pahle hum teeno ko Martin ke iceland me jana hain...ab mujhe iceland ka maloom karne do..."
Ron kuch samay ke charo taraf dekhta raha..phhir usne ek disha me kashti ko chalane ka adesh diya....
******************************Raaj-ab hum Martin ke shahar se jyada door nahi hain..abey ye kya Morgan ke dragon phhir aa rahe hain...
"Seth-daro mat..is baar Morgan ko sabak sikhane ka plan maine taiyar kar rakha hain...barood unki taraf phenko aur goli chala do..dragon kya dragon ki jaat tak nahi bachegi..
"Seth-sabhi barood lekar upar aayo..inko dikha de ki ,hum army hain...
______________________________
Pahle Chalti goliya,
Baat me hoti baat
Dafa- teen sau saat


Update-18
"sabhi barood ke dibbo ko upar lao..yadi aaj susti dikhayi toh yaad rakhna ek-ek ki maut tay hain..kambakhto jaldi kaam karo.."Nair dragons ki aati hui awaaj me chillakar balladonna me maujood sabhi ko hukum de raha tha...Riya bhi apne hath mw gun liye aayi..
"Nair-mam,aap andar jaye..ye dragons bahut khatarnak hain...main,seth aur raaj in dragons ki dhajjiya udane ke liye kafi hain..
"Riya-captain..teen se bhale char..aane do in dragons ko...
dragons ka kafila teji se balladonna par attack karta hain..aag ki lapte pure balladonna ko tahas -nahas kar rahi thi...Nair ne barood se bhari hui ek bakse ko dragon ki taraf phenka..dragon ne us barood ko apne vishal nukile wale daanto me pakad liya..
"Nair-abey ye toh mere taraf aa raha hain...goli chalao be ispe..
Raaj turant apni gun lekar Nair ke samne aa gaya..aur bina der kiye fure kar diya..dragon wahi jalne laga..girte girte wo dragon balladonna ship se ja takraya..balladonna ek taraf jhukne lagi...
"Raaj-hamla jari rakho ...in dragons ko chun chun bhoon denge..Morgan apne dragon par baitha hua teji se hamla kiye ja raha tha..Morgan ka dragon bahut tej tha..palak jhapkate hi wo balladonna par maujood kayi logo ko ya toh apne mu me daboch leta..ya phhir apne aag ki lapto se jala deta tha..
"Seth-captain ..aap is chhor se dragon ke hamle ko roko main Morgan ke peechhe jata hoon..
seth apne hath me apni bandook liye Morgan ki taraf chal pada.."Morgan..himmat hain toh mujhse mukabla kar,."
Raaj bhi seth ki taraf aaya..."Seth main tumhare sath hoon.."Morgan apne hath me rakhe hue farse ko pakad kar balladonna me kud gaya..
"Morgan-aa jao bachhe aaj tum dono ko morgan ke hatho marne ka mauka mila hain..
"Raaj-baat na karke yadi mukabala kare toh..kallu...
Morgan apne hath me apne farse ko majbooti se pakad kar Raaj ki taraf dauda..Raaj ne Morgan ki taraf fyre kiya..lekin Morgan ne goli ko apne farse se rok liya..
"bas bachhe itna hi dam hain..."Morgan dahad marte hue bola...
"aaja kallu narak me tera intezar ho raha hain.."
Raaj ne apni gun ko lekar Morgan ki taraf badha..aur apni gun se Morgan par hamla karne laga..lekin Morgan Raaj ke har war ko badi asani se rok raha tha....Raaj ke hath chhutne lage..Morgan ke agle hi war me Raaj Raaj ki gun uske hath se chhut gayi..Morgan ne apni puri taqat lagakar apne farse ko hawa me uthaya,,lekin agle hi pal Morgan ko aisa laga ki uske peeth me kisi ne garam lohe ki rod ghusa di ho,,wo jor se chillata hua peechhe muda..Riya apne hath me gun liye hue khadi thi..Morgan Raaj ko chhodkar Riya ki taraf bhaga...Riya ka dil joro se thadak raha tha..tabhi Morgan ke pairo par seth ne kuch de mara ,Morgan ladkhada kar gir gaya..jaise hi Morgan gira seth ne apne hath me pakde hue hathiyar se Morgan ko marne laga..lekin jyada der nahi Morgan ne seth ke hatn ko pakad kar jor se uske pet me ek laat mari..seth balladonna ke neeche girte hue bacha..usne kinaro par lagi rod ko pakad liya..
"Morgan-ab tera kya hoga gulabi kali..phhir Morgan apne farse par hath phhirane laga.."ab tujhe is khooni farse se kaun bacha payega..pahle tere pet ke do tukde karunga..phhir sar ko alag kar dunga..aur main tujhe yakin dilata hoon..ye sab main do baar me hi kar dunga.."
Morgan dheere dheere Riya ki taraf badh raha tha..lekin Riya ke kadam wahi par ruk gaye the..kayi log Morgan ko rokne bhi aaye lekin Morgan ke farse ne un sab ka kaam tamam kar diya..aur ant me Morgan ne ek tej dahad laga kar Riya ki taraf farsa phenk diya..farsa Riya ko lagta isse pahle hi Raaj teji se daudta hua..farse ko pakad liya....
******************************
"abey ye iceland hain,...itna andhera me dooba hua hain..lagta hain kayi salo se yaha koyi nahi aaya..fala yaha ke ped bhi darawane hain..meri toh andar jane se pahle hi phhat rahi hain..."Aditya ne apne ankho se doorbin ko hatate hue kaha..
death iceland,Martin ke saltanat ke kinare teeno abhi bhi apni kashti me hi sawar the..din ka samay hone ke bawjood bhi death iceland ek ghane andhere se dooba hua tha,,
"bilandar-iske andar bhi jana hain kya..ki bahar se hi kaam ho jayega...bahut darawani jagah hain..
"Ron-isi liye ise death iceland kahte hain..aur tune kya socha tha ki jannat hoga yaha,,jaha 4-5 ladkiya apni kamar matkate hue tera swagat karengi..
sabse pahle Ron kashti se utar gaya..uske chehre par muskurahat jhalak rahi thi..
Ron ke baad Aditya aur bilanadar bhi death iceland ke zamini bhag me utar gaye...
"Aditya-Ron ,yaha ke toh ped bhi darawane haim..maloom nahi kitne salo se ye death iceland banjar pada hain..
"mashal ka intejam karo..ye ice.and bahut hi pyara lagta hain yadi ispar roshni pade.,lekin ye iceland shrapit hain.."
"Aditya-shrapit ,meri toh waise hi phhati padi hain..upar se tu aur dara raha hoon..
"Ron-fala khud ko captain bolta hain..chidiyaghar ka guard hona chahiye tujhe ....
Ron ne apni bandook ko kholkar uska barood nikal liya..aur usi barood se mashal jalayi..ek usne khud apne hath me li..aur dusari mashal Aditya ki taraf phenk di..
"Ron-lo be..aur jaha jaha main chalu wahi chalna..warna yaha bahut se jeev aise rahte hain.,jo tum dono ko kachcha chaba jayenge..tum dono ko ek khubsurat chiz bhi dikhaunga,,..
"Aditya-fala khud ko death iceland ka raja samajh raha hain.."
Aditya aur bilandar Ron ke nakshekadam par chalne lage..andhere se dhake hue death iceland me ek sannata pasra hua tha,,waha ke ped ,zameen death iceland ki situation bata rahe the ki ,yaha se jeevan kayi salo pahle hi samapt ho chuka hain...
"Ron-toh main raja Martin ki kahani suna raha tha..kaha tak pahuncha tha main....,Ron chalte chalte ruk gaya..aur apne mu me hatho ke nakhun chaba kar yaad karne laga...
Aditya aur bilandar abhi aage ki kahani nahi sunna chahte the..isiliye un dono ne talne ke liye kaha..
"bilandar-shayad kahani khatam ho chuki thi..hain na,..Aditya...
"Aditya-ha..haan Ron,kahani khatam ho chuki thi...
"Ron-chalo phhir tum dono hi suna do,,itni door paidal chal ke jana hain rasta jaldi kat jayega...
Aditya aur bilandar ek dusare ka chehra dekhne lage..
"Aditya-Ron is bilandar ne pahle haan bola..toh kahani ye sunayega,...
Aditya ne bilandar ki taraf ishara kiya..
"Ron-toh shuru ho ja billu..
Ron ashal lekar aage badh chala...bilandar peechhe mudkar Aditya se bola.."kyun be mujhe kyun fasa diya.."
"tune hi use bola tha pahle..."
"kaha rah gaye be dono..yadi bhatak gaye toh main dhoondne nahi aaunga..."
Aditya aur bilandar Ron ki taraf teji se chalne lage...
"Ron-ek baar phhir se suno...Martin jab chhota tha..toh wo ek naav banane wale ke yaha bhi kaam karta tha..us samay raja ki beti lisa aur Martin aksar iceland ke kinare chori chhupe baith kar ghanto baat kiya karte the..raat ko kinare ki ret me letkar dono ghanto asman ke taaro aur chand ko dekha karte the..dono ka ye pyar dheere dheere sabhi ko pata chalne laga..lekin riyasat me kisi ke pass itni himmat nahi thi ki wo raja se is baare me baat kare.....
Aditya ne Ron ko beech me toka..
"Ron maafi chahta hoon..lekin ek sawal puchh sakta hoon kya.."
"kaun sa sawal.."Ron ne chalte hue puchha..
"ye drahon holder kaun si bala hain ,jiska jikra Morgan ne kiya tha.."
"kallu fala kuch bhi bol deta hain,,aisi koyi chiz ka astitva nahi hain.."
itna bolkar Ron aage badh gaya..
"inko dragon holder ke baare me bata diya toh,,puri kahani jan kar hi dam lenge..ek baar mera dragon mil jaye.,phhir us kallu aur dragon holder ko isi samundar me dafan kar dunga,,.....
******************************
"Captain Nair ,main yaha neeche latka hoon..mujhe upar khincho.."seth ne Nair ko awaaj di..
Morgan khada hua,,ajib si bhasa me usne kuch kaha..jisse sabhi dragons ne balladonna ko charo taraf se gher liya...Nair ki madad se seth upar aa gaya..sabhi charo taraf dekhne lage,...
"Riya-ab kya karenge..aur ye dragons kya karne wale hain....
Raaj daudkar Riya ke pass aaya.."mam,ye ek sath hamla karne wale hain..hume jald hi neeche ,udna hoga.."
"Raaj tum pagal ho gaye ho ,.,yadi hum neeche kud bhi gaye toh kaha bachenge,..."
"aap chinta mat kijiye..death iceland ,Nakshe ke mutabik kuch hi doori par hain..yadi abhi kud gaye toh ho sakta hain ki humari jaan bach jaye..warna yaha ruk kar apni jaan gawana bewkoofi hain..."
Riya ko lekar Raaj neeche kud gaya.....
"Nair-ye phhattu raaj ,riya ko lekar kud gaya,,lekin hum dono mukabla karenge..,
Morgan apne dragon par baith gaya,.aur dragon ko kuch kaha,.sabhi dragons ne ek sath balladonna ko aag ki lapto se dhak diya...
"Seth-captain..ab hum yaha nahi ruk sakte waise bhi kuch hi log bache hain..chalo neeche kud jate hain...
Seth,aur Nair Morgan ne najro se bach kar neeche jhalang diya.........

Update-19
Ron,bilandar aur Aditya..abhi bhi death iceland ke andar chale ja rahe the..
"Bilandar-Aditya kahi ye rasta toh nahi bhool gaya..kab se ghumaye ja raha hain,.
"Aditya-chup rah,kahi usne sun liya toh lafda kar dega phhir se...
"Ron-ssshhhhh...lagta hain koyi khatarnak janwar aas pass hain..
Aditya aur bilandar chup ho gaye,,.
Ron dono ko wahi khada rahne ke liye kahkar thodi door tak aage gaya...
"Aditya-is bhayanak jungle me bhi koyi rahta hoga..billu..
"bilandar-sun be billu mat bola kar..aur rahi baat yaha kisi ke rahne ki toh Ron jaise prani jaroor rahte honge..
Ron -lagta hain tum dono meri tareef kar rahe ho..ho gaya yaro mana ki main great hoon..lekin itni tareef bhi mat karo..
Ron aage badh gaya..Aditya aur bilandar bhi uske kadam pe kadam milate hue chal diye...
"Aditya-Ron hum ja kaha rahe hain...aur yadi tujhe rasta nahu maloom toh hum dono ko yaha laya kyun...
Ron chalte hue rook gaya..aur peechhe mudkar bola.."maine toh tum dono ko keval itna kaha tha ki mere sath chalna hain ki nahi..jabarjasti toh dono ko utha nahi laya,."
Ron ki baat khatam hoti usse pahle hi Aditya bol pada"sun be..tune keval apne sath chalne ko nahi bola tha..tune ye bhi bola tha ki tu mujhe spiritual ship me sair karayega..."
Ron ne bilanadar ki taraf dekha"hum toh keval teri naav lekar bhag jate..lekin tu sath kyun aaya.."
bilandar kuch der chup raha,
"haqiqat ye hain ki maine bachpan se hi spiritual ship ke kisse sune hain..toh mera man karta tha ki ek din main bhi samundar ki shan kahe jani wali us murdo ki jahaj me safar karu..jiski rooh raksha karti hain.."
"Ron-phhir tum dono sahi bande aur us bande ne yani maine tum dono ko sahi jagah par laya hoon..Martin ki kabra se mujhe ek Naksha milega..dusara Morgan ke pass hain..jo main use markar hasil kar lunga,isme koyi badi baat nahi..aur teesara naksha hain Raaj ke pass....
"bilandar-tu chahta toh us din balladonna me jab tune Raaj ko jakhmi kar diya tha,toh badi asani se Raaj ke pass wo naksha le sakta tha..lekin tune aisa nahi kiya kyun...
"kyunki main chahta tha ki Raaj bhi waha aaye..jaha jaha main jaunga.."
"bilandar-iski vajah jaan sakta hoon main..
"Ron-iski vajah toh tujhe Martin ka bhoot hi bata sakta hain..usi se puchh lenaRon hasne laga...
"abhi tum dono keval itna jaan lo ki jald hi murdo ka jahaj humare kabje me hoga..aur tum dono Captain The Ron ke under me safar karoge..hain na majedar baat.."
******************************
Riya...riya utho..lagta hain Riya behosh ho gayi.."Raaj apna sar pakad kar bola-ab kya kiya jaye..balladonna bhi hath se nikal gaya..aur is death iceland me hum dono akele..tabhi riya khanste hue apni ankh kholi..
"Raaj-uparwale ka shukra hain..tum uthi toh sahi..
Riya apne bheege hontho pe hath phhirate hue boli"hum kaha hain Raaj.."
"Martin ke iceland me aa chuke hain hum.."
Riya ne ek nazar death iceland pe daudayi.."kitna darawana hain Raaj..kahi koyi bhayanak jaanwar hua toh.."
"jab samundar ka Shikari tumhare sath hain toh phhir kyun darna.."
Raaj ne apna hath Riya ki taraf badhaya..aur riya ka hath pakadkar iceland ke andar chala gaya..jaha kuch der pahle Ron ,Aditya aur bilandar gaye the...Seth aur Nair bhi kinare par pahunche..
"Seth-Captain lagta hain,yahi death iceland hain..
"Nair-ab Captain mat bol,balladonna ko Morgan ne puri tarah tabah kar diya hoga..
"Seth-balladonna ke nahi hone se aap ke captain ka kad phhir bhi barkarar rahega..khas taur par mere liye..
"thank u Seth..ab is iceland ke andar chale.."
seth aur Nair bhi iceland ke andar ghus gaye..dusari taraf Morgan apne sathi Dragons ko lekar apne rahwas ki taraf chal diya..aaj Morgan bahut khush tha..pichhali do haar ka badla usne le liya tha..Morgan ne apne khooni farse ko hawa me upar ki taraf uthaya..
"aaj sabko maine narak me bhej diya..ab keval ek hain The Ron.. "
Morgan ne khusi ke maare ek jordar dahad mari..uske sathi dragons bhi chillane lage..bahut jald hi Moegan aur uska dal gayab ho gaya..is baat se bekhabar ki Raaj,Riya,seth aur Nair bach gaye hain...
******************************
Ron ke hath me jal rahi mashal ki roshani kam ho rahi thi..
"Ron-aaj aag ne bhi apni khunnas nikal rahi hain..
Ron ka itna kahna tha ki uske hath me rakhi hui mashal bujh gayi..Ron Aditya ke hath se mashal lekar aage ki taraf muda..samne gahri khayi thi..achanak apne samne vishal khayi dekhkar Ron ke hath se mashal chhut gaya,.aur khayi me ja gira..Ron ne apne danto se apni jeebh ko daba liya.."ab in dono ko kya bolu..kuch sochna padega..warna dono kahenge ki main ek khayi se dar gaya.."
Ron peechhe muda"hum teeno bahut bahadur hain..isliye is mashal ki koyi jaroorat nahi.."
Aditya aur bilandar ko maloom nahi tha ki samne vishal khayi hain..
"Aditya-chal phhir aage badh..ruk kyun gaya,,.
Ron ,bilandar ki taraf dekhkar bola..
"billu..main chahta hoon ki aage ka rasta tu hume dikhaye..tu bahut hoshiyar aur kabil hain..aaj se nahi abhi se tu leader hain.."
bilandar Ron ki chal ko nahi samajh paya..aur Ron se apni tareef sunkar apna seena chauda karta hua..aage badha..bilandar ki cheenk puri vatavaran me gunj uthi..
"Aditya-Ron,bilandar cheenkha kyun..fala yaha itna andhera hain ki kuch dikhayi hi nahi de raha hain..
"Ron-bilandar khayi me gir gaya..
"kyaaur tune use aage badhne se roka kyun nahi.."
"main khayi ki gahrayi naap raha tha..dekhna chahta tha ki ye khayi Martin ke tehkhane wali toh nahi.."
Aditya ko Ron ke upar bahut gussa aa raha tha,.."abey yadi tujhe khayi ki gahrayi hi maloom karni thi toh khud kud jata..dhokebaaj.."
"dhokebaaj..mera naya nam..par mujhe pasand nahi.."
"abey teri aisi ki taisi..main ja raha hoon wapas..tu mujhe bhi kisi musibat me daal kar nikal lega.."
Aditya wapas jaane laga..Ron apne shatir dimak me kuch sochne laga..
"Ron-Aditya ,rook ja,,
"ghanta nahi ruk, raha main.."
"soch le kahi raste me Morgan mil gaya toh,."
Morgan ka nam sunte hi Aditya ke kadam apne aap rook gaye,..Ron teji se Aditya ki taraf badha..
"Aditya maine bilandar ke sath aisa kyun kiya iski sahi vajah main tujhe bata sakta hoon.."
"bak jaldi..varna main abhi nikal lunga.."
"bilandar..Morgan ka sath de raha tha..aur chhup chhup ke hum dono ki jasoosi kar raha tha.."
"kya saboot hain tere pass.."
"itne andhere me tujhe saboot dikh jayega..lekin main tujhe bata deta hoon..Morgan ke gardan par ek nishan tha..aur maine usi tarah ka nishan bilandar ke gardan me bhi dekha tha..usi samay main samajh gaya tha ki ye billu hum dono ko apne jaal me phansa raha hain..aur jab Morgan hume death iceland ke bahar mila toh usne hum par hamla bhi isiliye nahi kiya..kyunki usne bilandar ko humare sath jo bhej rakha tha.."
Aditya soch me pad gaya..aur apne dimak par jor dene laga ki usne bhi bilandar ke gardan me koyi nishan dekha hain ya nahi..lekin use kuch yaad nahi aaya...
"Aditya-mujhe yaad nahi ki maine bilandar ke gardan par koyi nishan bhi dekha hain..lekin ek ajeeb kism ka nishan maine do jagah jaroor dekha hain..ek Raaj ke peeth par..aur dusara tere gardan ke peechhe wale hisse me..
Ron ek baar phhir se soch me pad gaya.."ab is namurad ko kya jawab du,."
"Ron tere sharir par bane nishan ke baare me kya bolega.."
"wo toh maine ladkiyo ko apni taraf akarsit karne ke liye gudwaya hain.."
"Aditya-ab chale..dusare raste se..
Ron,andaja lagate hue dusare raste ki taraf chal pada..
"jhoot bolna kitna saral kaam hain..billu wale mamle ko maine kitni safayi se suljha diya..sach me Ron tere mukabale is samundar me koyi nahi..keval ek ko chhodkar...

UPDATE-20
"Riya idhar se aao ,aaram se aana andhere me kuch dikhayi nahi de raha.."Raaj ne ,Riya ke hath ko kaskar pakad liya...
"ofo Raaj,yaha itna andhera kyun hain.."Riya ki awaj me jh,.'at jhalak rahi thi..
Raaj ,Riya ka hath thame hue aage badh raha tha..uske kadam death iceland ke zameen ko naap-taul kar hi aage badh rahe the..lekin Riya in sab mamlo me tej nahi thi..chalte hue Riya ka pair ek patthar se takra gaya..
"oouch.."Riya ne apna hath jhatak kar apne pairo sahlane lagi..
"kya hua Riya.."
"dekh ke chalna chahiye tha..mera pair patthar se takra gaya.."
Raaj bhi wahi baith gaya..aur apne hath ko Riya ke pair ke taraf badhaya..
"ab kaisa lag raha hain Riya"Raaj apne hatho se Riya ke pair ko sahla raha tha..lekin Riya ne Raaj ka hath jhatak diya..
"yadi sahi pair ko sahlate toh main kuch nahi bolti..khud ko aur apne hath ko control me rakho.."
Raaj ne apne hath ko hata liya..
"yadi tumhe meri madad nahi chahiye toh phhir utho..abhi bahut chalna hain.."
Riya ka hath tham kar Raaj phhir aage badhne laga..
******************************
Seth aur Nair aage badh rahe the,,un dono ki bhi wahi condition thi jo Riya aur Raaj ki thi..seth aur Nair bhi andhere me apne anuman ke mutabik chale ja rahe the..death iceland me maujood kayi ped ki shakhaye zameen tak faili hui thi..aur bahut majboot bhi thi,..Nair ka pair usi me phans gaya..aur Nair ladkhada kar gir gaya..
"abey utha mujhe..kisi ne mujhe gira diya.."
Seth ne jaldi se Nair ko uthaya..
"Nair-koyi hain yaha par..samne aa jaye toh aisi laat marunga uske pichhwade me ki uska pichhwada hi alag ho jayega uske shareer se..
"Seth-captain,hume chalte rahna hain..yaha rukna khatre se khali nahi hain..
Dono aage aage kadam badhane lage..Nair ko apne pairo par kuch chipchipa sa mahsoos hua..
"Nair-seth tune apne pairo me kuch mahsoos kiya..kuch chipchipa sa..
"haan..kichad jaisa lag raha hain..lekin ye kuch aur hi hain.,"
"Captain kuch awaj bhi aa rahi hain..."
Nair ne jhuk kar apne pairo ke pass hath phhiraya.."seth bahut hi chipchipa material hain..ye kuch aur hi chiz hain..jaise kisi ande ke andar ka material..thik usi tarah ka hain.."
"seth-Captain ye iceland kahi Morgan aur uske dragons ka ilaka toh nahi..aur ye dragon ka anda ho...
******************************
"Aditya tu rook main abhi aaya.."
"main bhi sath aaunga..tera bharosa nahi.."
"chal phhir yahi shuru ho ja.."
"main sar ke upar se gayi ye baat.."
Ron ne apna hath apne paint ki zib ki taraf le gaya.."halka hona hain mujhe.."
"phhir ja..pahle bata deni chahiye thi.."
Ron kuch der baad aaya..
'Ron-ab kaha chale..Martin ke kabra ki taraf ya phhir is iceland ki sabse khubsurat jagah..jaha Martin aur lisa mila karte the..
"abey ghonchu waha bhi andhera hoga.."
"keval wahi aisi jagah hain,,jaha Morgan ka kahar nahi hain..aur Martin ka kabra bhi usi raste me hain.."
Aditya kuch sochne ke baad bola"mere sawal ka jawab dega.."
"main kabhi school bhi nahi gaya..tere sawal ka jawab kya dunga.."
"Ron,jab tu kabhi school nahi gaya toh phhir tujhe raja Martin ki history kaise maloom.."
"Martin mera langotia yaar tha..ab tu bata direct Martin ki kabra me chale ya ...."
"ek aur sawal..lisa kaisi dikhti thi.."
"lisa..lisa apne ankho me bholi si masoomiyat liye rahti thi..uske gulab ki kali ke tarah honth se toh kudrat bhi sharma jaye..aur uske chehre ka rang ujale ka prateek tha.."
"Aditya-chal ab aage chalte hain,..
Ron aur Aditya aage badh chale..kuch der toh Aditya chup raha..lekin apni adat se majboor usne apna mu khol hi diya..aur Ron ke samne naya prashn dag diya..
"Aditya-Ron..ye Mogan aur dragon holder ka thikana bhi hoga na..
"mujhe kabhi us kallu ne bulakar dawat nahi di jo mujhe uska thikana maloom hoga..kuch der me Morgan yaha aa jayega..usi se puchh lena.."
"Morgan yaha aayega kya bak raha hain.."
"Shayad Morgan yaha aa chuka hain..asal me Morgan ka thikana yahi hain..isi iceland me Morgan rahta hain.."
"bad joke..mujhe hansi nahi aayi.."
"dhyan se sun kuch awaaj aa rahi hain.."
Ron ke kahne par Aditya ne khud ko shant karke aas pass ho rahi halchal ko sunne ki koshish karne laga..lekin Aditya kuch bhi nahi sun paya..
"Aditya-kuch sunayi nahi de raha hain..Ron tu mujhe dara raha hain kya..
"Ron-mujhe toh Morgan ki yaha hone ki aahat bahut pahle sd mil chuki thi..lekin yaad rakhna death iceland me dragons har samay maujood rahte hain..
"ab meri sahi me phhat rahi hain..band kar apni bakwas.."
******************************
"ab keval Ron hi bacha hain..aur mujhe maloom hain ki tu yahi chhupa hain Ron..nam badalne se teri shaksiyat nahi badal jayegi,,aaj tune mere saltanat me aaya hain,,tujhe koyi nahi bacha payega,."Morgan death iceland ke kinare khada hans raha tha,,use yakin tha ki aaj Ron uske shikange se nahi bach payega..apne farse ko neeche jhulata hua Morgan bhi death iceland ke andar ghus gaya,,.
______________________________
Pahle Chalti goliya,
Baat me hoti baat
Dafa- teen sau saat
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by LoveStar - 03-12-2018, 03:28 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by LoveStar - 03-12-2018, 08:09 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by LoveStar - 03-12-2018, 10:22 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by LoveStar - 03-12-2018, 10:24 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by LoveStar - 03-12-2018, 10:26 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by LoveStar - 03-12-2018, 10:39 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by LoveStar - 03-12-2018, 10:40 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by LoveStar - 05-12-2018, 12:01 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by LoveStar - 05-12-2018, 08:42 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by LoveStar - 05-12-2018, 09:16 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 30-12-2018, 08:59 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 30-12-2018, 09:00 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 06-01-2019, 10:29 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 06-01-2019, 10:31 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 06-01-2019, 10:36 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 07-01-2019, 06:54 AM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 07-01-2019, 06:59 AM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 07-01-2019, 07:01 AM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 07-01-2019, 07:02 AM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 07-01-2019, 07:05 AM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 07-01-2019, 07:07 AM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 07-01-2019, 07:09 AM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 07-01-2019, 07:11 AM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 07-01-2019, 07:12 AM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 07-01-2019, 07:13 AM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 07-01-2019, 07:15 AM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by Nil199 - 16-01-2019, 01:22 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 05:59 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 06:03 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 06:05 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 06:41 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 06:45 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 06:51 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 06:53 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 06:54 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 06:55 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 06:57 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 06:58 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 06:59 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 07:00 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 07:05 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 07:05 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 07:06 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 07:09 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 07:11 PM



Users browsing this thread: 1 Guest(s)