Thread Rating:
  • 7 Vote(s) - 2.57 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Fantasy Ron~the dragon holder (Sgp2009) - ( Completed)
#6
UPDATE-3 :love::love:
Ye zinda hain..samundar ke beech me bane ek iceland me rahne walo ne samundar ki andhi me bahkar aaye hue shaks ko dekhkar ek dusare se puchhane lage..
"lagta hain mar gaya..iske pahnave se toh ye kisi jahaj ka Captain lagta hain.."us iceland me rahnewalo me se ek ne bola...tabhi neeche pada wo shaks jise sab mara hua samajh rahe the..wo khanste hue utha..
"are ye toh zinda hain.."waha maujood sabhi log aapas me khusar-phusar karne lage..
"hii..i am Captain Aditya.."Aditya ne apna hath un logo ki taraf badhate hue kaha..lekin wo log pichhe hat gaye..
"lagta hain ye jungali log hain,english nahi jante,..koyi baat nahi hindi me baat karke dekhata hoon.."Aditya ne man me socha..aur ek baar phhir apna hath un jungaliyo ki taraf kiya..is baar wo aur bhi pichhe hat gaye...
"Aditya-are tum sab ki phhat kyun rahi hain..main bhi tumhari tarah ek insan hoon...
Aditya ki baat wo log nahi samajh paye aur hua-hua karte hue ek dusare se baat karne lage..
"Aditya-salo tumko hindi bhi samajh nahi aati.. Jawab me Aditya ko keval hua-hua sunne ko mila..
"kaha phans gaya yaar,ek wo gand se aag phenkne wale janwaro ne pahle se hi maar li hain,upar se ye hua-hua.."Aditya wahi apna sar pakad kar baith gaya..aur un jungaliyo ko dekhane laga..sabhi ke kaan aur nak me chhed tha..aur sabhi Aditya ki taraf dekh rahe the..Aditya ne un jungaliyo ko apni taraf dekhata pakar apna sar niche kar liya.."ye jungali kahi mujhe kachha khane ka vichar toh nahi kar rahe.."Aditya ke khayalo me dakhal dete hue kisi ne use awaj di ...
"hindustani ho kya.."
Aditya ko apne kano pe yakin nahi hua ki koyi usse hindi me baat kar raha hain..Aditya ne upar dekha ,laghbhag usi ke umra ka ek naujwan uski taraf dekh raha tha..
"Aditya-kya..tumne hindi me baat ki..
"haan,main hindi samajh sakta hoon,.."
"good yar..ab mujhe yaha se bahar nikalne ka rasta batao.."
"thoda der aram karo..phhir is bare me baat karenge.."
"are chal na yar ,mujhe jaldi se yaha se bahar nikalna hain.."
"thik hain ruko main intezam karta hoon..."
kuch der ke baad dono iceland ke kinare par the..
"Aditya-ab ye khule samundar ko tair ke paar karna padega ,ya phhir koyi intezam kiya hain..
"pichhe dekho,humare log ek chhoti si nav lekar aa rahe hain.."itna kahkar wo naujwan apne sathiyo ke pass chala gaya..aur ek patwar ki taraf ki taraf Aditya ka ishara kiya..Aditya ne us patvar ko utha liya..dono us nav me baith gaye..aur patvar ke sahare aage badhne lage..
"Aditya-ek baat batao,hum hain kaha..
"hume kabhi jaroorat hi nahi padi ye janne ki.."
"matlab tum mujhe is samundar me gol duniya me ghuma rahe ho..khair chhodo ye batao tumhara nam kya hain.."
"raaj..."
"kya,maine socha ki tera nam kisi jungali ki tarah hoga..lekin aisa nahi hain..kya main vajah jaan sakta hoon.."
"main chhota tha..tab humare ghar se mujhe aur meri ma ko kuch ajib se logo ne jabajasti utha liya tha..aur phhir jab meri ankh khuli toh maine khud ko ek samundar ke kinare paya..lekin usi samay samundar ne mujhe aur meri ma ko nigal liya..main samundar me bahta hua yaha aa gaya..in logo ne hi mujhe bachaya...aur mujhe pala.."
"ab samjha tujhe hindi kaise aati hain..matlab tu in jungaliyo me se ek nahi hain..."
"ab kya is samundar me kud jao tab mera yakin karoge.....
============================
Ron,tumne Captain Nair ko kahi dekha..Riya ,Captain Nair ko na pakar Ron se puchhane lagi..
"mujhe kya maloom..hoga kahi "
"Ron,maine pura ship dhoond liya Captain ka koyi pata nahi chala.."
"ye toh bahut bura hua..lekin Captain Nair kaha gaya..ye tum dhoondo mujhe kuch kaam karne hain.."
Ron ,waha se door aa gaya ,aur apne jeb se Naksha nikal kar dekhane laga.."hmm..toh is registan me wo Naksha dafan hain..lekin waha pahuncha kaise jaye,,bina us Nakshe ke main samundar ka rasta nahi dhoond paunga.."Ron ko usi samay seth ne toka..
"Ron, tumne Captain sir ko kahi dekha.."
"ab tu kaun hain be..aur ye Sab us Captain ko kyun dhoond rahe hain.."
"bina Captain ke is ship ko aage kaun le jayega.."
"agar aisi baat hain toh mujhe Captain bana do..yyakin mano zinda wapas launga.."
"tu aur Captain..he..he..shakal dekhi hain Captain banne ki.."
"abey shakal se toh tu bhi Captain nahi dikhta ..ab fut le yaha se kahi mera dimak na khisak jaye.."
"abhi mujhe kaam hain isliye ,ja raha hoon..lekin agali baar tujhe jaroor jawab dunga,."
"mujhe intezar rahega tere jawab ka..."
sabhi pure ko dekh chuke the lekin Captain Nair ka koyi pata nahi chala..Riya pareshan thi..kyuki Captain ke bina ship ko jyada der nahi chhoda ja sakta tha..
"kya soch rahi ho janeman.."
"Ron,tum yaha mere room me kya kar rahe ho..."
"kuch nahi bas bahar man nahi lag raha tha..socha kyun na apni janeman se mil ke aau.."
"Ron,Captain Nair ka kuch pata nahi.."
"tum log uski fikar kyun kar rahe ho..dar ke bhag gaya hoga..abhi bhi vaqt hain mujhe Captain bana do.."
"Ron,kahi tumne toh kuch nahi kiya.."
"main toh bahut sarif hoon,main bhala kya kar sakta hoon.."Ron ne riya ko ankh marte hue kaha..
"tum mujhpe chance mat maro.."
"darling teri jaisi gulab ki kali maine aaj tak nahi dekhi..lekin mujhe ek baat karni hain..."
"kya.."
"ye tumhara jahaj sahi disha me ja raha hain kya..."
"isme koyi shaq nahi Ron..sab thik chal raha hain.."
Ron waha se jane laga..lekin palatkar riya se bola..
"tum asman me sair karne wale janwaro ke bare me socha hain..."
"kabhi nahi kyunki main in faltu baato pe yakin nahi karti.."
"alwida janeman..meri botal mera intezar kar rahi hogi..baad me milte hain..."
ship me Ron ek hath me botal liye ghoom raha tha,use ek kone me kuch log khade hue dikhayi diye ,wo bhi usi taraf chal pada..
"abey tum log ko koyi kaam dhandha nahi hain kya jahaj ko dayi taraf modo.."
Riya bhi wahi khadi thi..usne waha khade ek shaks ko ishara karke main chamber room me bheja..
"Ron-ye safhed kapde pahne hue ye kyun khade ho be..suna nahi is jahaj ke Captain ne kya bola..
"Riya-Ron,tumhe Captain kisne bana diya..
"Ron-tumne janeman...
"Riya-lekin jaha tak mujhe yaad hain ,maine abhi-abhi Sethji ko is ship ka naya Captain banaya hain..aur jaha tak mujhe ye bhi yaad hain ki tumhara nam Seth nahi Ron hain...sorry The Ron..mahan samundari shikari...
"tum meri bejjati kar rahi ho,ya ijjat kar rahi ho.."
"kabhi apne hath is botal ko alag karke samajhne ki koshish karo toh sab samajh me aayega.."
"main chalta hoon janeman..ek ladki mera intezar kar rahi hain.."
Ron ke jane ke baad waha wo shaks aaya ,jise Riya ne main chamber room me bheja tha..
"Captain Seth ,wo sahi bol raha tha,map ke anusar ship ko dayi taraf modna hain..yahi humari direction hain............continue............
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by LoveStar - 03-12-2018, 03:28 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by LoveStar - 03-12-2018, 08:09 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by LoveStar - 03-12-2018, 10:22 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by LoveStar - 03-12-2018, 10:24 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by LoveStar - 03-12-2018, 10:26 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by LoveStar - 03-12-2018, 10:39 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by LoveStar - 03-12-2018, 10:40 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by LoveStar - 05-12-2018, 12:01 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by LoveStar - 05-12-2018, 08:42 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by LoveStar - 05-12-2018, 09:16 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 30-12-2018, 08:59 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 30-12-2018, 09:00 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 06-01-2019, 10:29 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 06-01-2019, 10:31 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 06-01-2019, 10:36 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 07-01-2019, 06:54 AM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 07-01-2019, 06:59 AM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 07-01-2019, 07:01 AM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 07-01-2019, 07:02 AM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 07-01-2019, 07:05 AM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 07-01-2019, 07:07 AM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 07-01-2019, 07:09 AM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 07-01-2019, 07:11 AM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 07-01-2019, 07:12 AM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 07-01-2019, 07:13 AM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 07-01-2019, 07:15 AM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by Nil199 - 16-01-2019, 01:22 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 05:59 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 06:03 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 06:05 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 06:41 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 06:45 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 06:51 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 06:53 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 06:54 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 06:55 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 06:57 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 06:58 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 06:59 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 07:00 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 07:05 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 07:05 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 07:06 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 07:09 PM
RE: Ron~the dragon holder(Sgp2009) - by sarit11 - 17-01-2019, 07:11 PM



Users browsing this thread: 1 Guest(s)