Thread Rating:
  • 7 Vote(s) - 2.14 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala
Maine dekha to shaizan ki ankhen nam thi – mujhe laga shayad WO jo kah raha hai wo sahi hai aur agar kisi se ghalti ho jaye to iska matlab ye nahi ki us ko faansi de di jaye
Thik hai – hath mat joro yahan tamasha karna hai kya – main uske hathon ko niche karte hue boli
Gulnaaz!! Aap bahut achi ho – ye kahte hue WO lagbhag ro diya
Shaizan – ek bat aur
Kya – us ne pucha
"Main ye nahi kahna chahti ki aap bure hain ya ache aur main aap se dosti rakhna chahti hun is liye aap ko maaf kar rahi hun - Nahi "
main sirf is liye aap ko maaf kiya -- balki is liye main khud us khuda ki ek gunahgar makhlook hun ,aur hamesha ye chahti hun ki wo mujhe maaf kar de , lekin agar hum us ke bande hokar us se maafi ke talabgar hain to pahle us ke bandon ko maaf karna seekh len !!! agar hum khud insaan hokar us ke dusre bandon ko maaf nahi kar sakte to hum kis munh se us se maafi mangenge bas yahi soch kar maine aap ko maaf kiya – aur haan ab ye mat kahna ki khuda naam ki koi shai is kainat ma nahi hai
Agar aaj aap ko maafi mil rahi hai to iska matlab is duniya me khuda hai – main boli
Mujhe is bat pe koi bahas nahi karni – aap jo bhi kah rahi hain wo sahi hai – i am thankfull aap ne mujhe maf kar diya
Haan jab wo khuda hokar hum sab maf kar deta hai hum to haqeer insaan hain hame jaza aur saza dene ka haq hi kya hai – main boli
Ab mere pas WO word nahi hain jo main aap ke liye kahun – i am speechless gulnaaz
Ab alfaaz nahi mil rahe hain to mat boliye - koi zaruri to hai nahi bolna – maine kaha – mera samaan diye , shahnaz bahar aa gayi to pareshan hogi – maine kaha
Kya aap ne waqayi mujhe maaf kar diya – wo bola
Kyun kya likh kar dena hoga – maine boli
Nahi – is ki ki zarurat nahi – wo bola aur gadi ke andar jhuk kar kuch talash karne laga
Ye aap ke liye please accept it – wo ek packet mujhe dete hue bola
Ye kya hai – maine pucha
Kuch khas nahi bas is haqeer dost ki taraf se aap ki khidmat me ek bahut haqeer sa tohfa please is ko kabool farmaiye – wo minnat karte hue bola
Nahi is ki koi zarurat nahi aap ne mujhe is kabil samjha is ke liye aap ka bahut bahut shukriya – main boli
Mujhe laga aap ne mujhe maaf kar diya , lekin shayad aap ne mujhe dil se maaf nahi kiya – agar aap ne mujhe kar diya hai to please is ko accept kar liye – meri khushi ke liye – kyun ki main aap ko bahut takleef de chukka hun
Maine aap ko maf kar diya main kah chuki hun lekin iska sabot ye lekar dun ye zaruri to nahi – aur mujhe ye bilkul pasand nahi hai , amin tohfe nahi leti hun
Mujeh maloom hai maine maan liya aap tohfe nahi leti hain – lekin aap ye le nahi rahi hain balki main khud aap ki khidmat me pesh kar raha hun – maine ye nahi
pucha ki aap leti hain ya nahi – maine to ye kaha aap ne mujhe maaf kar diya to ye tohfa accept kar liye taki mujhe yakeen ho jaye ki waqayi aap ne mujhe maaf kar diya – wo fir se purzor request karte hue bola
Maine aage kuch kahna munasib nahi samjha kyun ki wo behad khuloos se tohfa pesh kar raha tha aur tohfe me sirf khuloos dekha jata hai aur kuch nahi , maine us ke tohfe ko accept kar liya – aur shaizan ko thank you kaha
Thanks to mujhe aap ko kahna chahiye jo aap ne mere is chote se tohfe ko accept kar liya – wo bola
Tohfa xchota ya bada nahi hota bas us ke liye khuloos zaruri hota hai aur wo aap me is waqt bahut zyada hi hai - shukkriya is tohfe ke liye – main boli - ab jaldi se mera samaan de diye
Nahi aap jaioye aur shahnaz ko dekhiye , main yahi aap logon ka intezar kar raha hun main aap logon ko bus stand tak drop kar dunga – wo bola
Main kuch bolna chahti thi – lekin usne beech me hi rok diya – main kuch aur nahi kah raha bas itna hi kah raha hun aur ye ghalat nahi hai kyun ki aap log akhir wahin to jayengi na – is liye ab aap jaiye please
_
 horseride  Cheeta    
Like Reply


Messages In This Thread
HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 22-12-2018, 11:28 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 28-02-2019, 08:01 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-05-2019, 05:40 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 17-05-2019, 01:06 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 25-06-2019, 03:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 30-06-2019, 07:23 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-07-2019, 01:30 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 02-08-2019, 03:04 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 03:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 07:48 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 06-09-2022, 12:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 14-09-2022, 12:10 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 18-09-2022, 07:34 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 11-12-2022, 07:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 03-05-2023, 08:12 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 05-05-2023, 07:18 AM



Users browsing this thread: Avni26, 4 Guest(s)