Thread Rating:
  • 7 Vote(s) - 2.14 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala
hun ye nahi hona chahiye tha aur jo hua wo b ahut ghalat hua main bhi nahi samajh pa raha hun ki ye achanak kaise kya hua , mera yaqeen kariye mera aisa koi irada nahi tha – ab please mujhe maaf kar diye
Dekhiye shaizan sahab ab ye natak mat kariye – main boli
Main koi natak nahi kar raha hun , job hi kah raha hun eke k word sach hai aur itna shayad aap bhi janti hongi ki main sach bolne me bilkul bhi nahi darta agar aisa nahi hota to main aap ko apne bare me sab sach nahi batata koi bhi aisa nahi jo apne bare me seena zori se bataye har koi dusre ki burayi to nikal deta hai lekin apne bare me apni kamiyon ko accept karna bahut mushkil hai
Aur sach ye hai ki kayi salon se hum log phone pe bat kar rahe hain , aur kya kya bat ki aap batane ki zaroortat bhi nahi hai to usi ke mutabik maine socha shayad jo kuch hum log sochte the wo asliyat me bhi us ko koi
Waaah – kya achi soch hai aap ki rahi bat phone talk ki to wo maine aap se nahi karna chahti thi lekin aap ne hi --- main beech me boli
Abhi meri bat puri nahi hui hai – wo mujhe beech me hi rokte hue bola
Haan to jaldi se apni bat mukammal kariye – main boli
Bas yahi soch thi aap jab se aayi hain bas main kuch samajh anhi pa raha tha aur aap se bat karne ki bhi kuch himmat nahi ho rahi thi fir bhi na jane kaise kahan se itni himmat mil gayi ki main itna aage barh gaya – waise sach ye hai ki maine bhi socha tha ki agar aap ke man me kuch aisa hoga to aap kabhi nahi kahengi pahal to mujhe hi karni paregi kyun ki larki chahe jitni bhi ghalat kyun na ho wo kabhi khud nahi kahti – aur fir aap ka meyaar to be inteha buland hai – bas itni hi ghalti hai meri – aur abhi jo maine kaha sab kuch sach hai - bas mujhe ek bar maaf kar do gul fir kabhi aisi ghalti nahi hogi - shaizan bahut naram lahje me request karte hue bola
Dekhiye mafi ki koi zarurat nahi mujhe kya matlab hai aap se kuch bhi to nahi bas mujhe mera samaan de diye us ke bad main jka rahi hun yahan se bat hi khatam kaun gul aur kaise shaizan - main boli
Nahi main ye nahi chahta kyun ki maine aap ko apna dost mana hai aur asliyat me aap ek bahut achi dost hain jo janti hain ki dosti kya hai aur dosti ke farayaz kya hain aur dosti ki haden kya hain – lekin fir bhi agar ek dost se koi ghalti ho jaye to dusre ko us ki ghalti ko maaf kar dena chahiye - wo bola
Shaizan – Abhi aap waqib nahi dosti se – na izhar farmaiye dosti ka – aur haan agar aap ko sach bolne ki adat hai to mujhe bhi saaf suthri bat kahne ka shauq hai – aur main aap se yahi kahna chahti hun ki mujhe aap se koi shikayat nahi aur maafi ka bhi sawal nahia bas aage se main aap ko nahi janti aur chahti hun ki aap bhi mujh ko na hi jane – bas ---- maine kaha
Thik hai gulnaz aap wahi karengi jo aap ka dil chahega ye to main janta hi hun ki aap apne faisle me kitni sakht hain , lekin kya ghalti ki maafi nahi hoti bas is ka jawab de diye – wo bola
Kuch ghaltiyan aisi hoti hain ki jinki maafi nahi hoti saza hoti hai – main boli
To bata do saza kya hai – saza hi bata do agar maaf nahi kar sakti - wo bola
Ab bhi aap puch rahe hain ki saza kya hai ? – maine kaha
Matlab !!! - wo hairani ke sath bola – to iska matlab ye saza hai jo aap mujhe de rahi hain
Samajh me bahut kache ho abhi sirf khurafaton me aage ho – main boli
Please gulnaaz ye saza mat do itni badi saza mat diye mujhe main janta hun ki ab main aap se kabhi nahi mil paunga , aur shayad kabhi aap meri shakal bhi na dekho lekin ye mat kariye , main kuch aur nahi chahta bas itna hi chahta hun ki meri aap ki phone pe baat cheet hoti rahe aur is ko kahtam mat kariye please aap ko mer jaise logon ki zarurat nahi hogi main janta hun lekin mujhe aap ki dosti ki bahut zaruarat hai – wo bola
Ye bat abhi kah rahe hain aap lekin main janti hun ki asliyat me aap kya hain – maine kaha
Ab main kuch aur nahi kah sakta gulnaaz please mera yaqeen kariye agar seena ko cheera ja sakta to main dikha deta ki main jhooth bol raha hun ya nahi - ek aur akhiri baat gulnaaz – aaj subah jo aap ne mujh se kaha wo mere kaan me pighle hue sheeshe ki tarah samata chala gaya
Gulnaaz koi insaan chahe kitna bhi gira hua kyun na ho lekin wo apne kareebi logon ki nazaron me kabhi girna pasand nahi karega lekin aaj main aap ki nazron me gira jo ki aaj ki date me meri sab se zyada kareebi dost hain – aur ye mujhe bilkul bhi bardhast nahi ho raha
koi insaan dusron ki nazar me gir jaye use zyada problem nahi hoti hain
Sari duniya ki nazron me girkar bhi wo jee sakta hai , apne kareebiyon ki rishtedaron ki nazar me girkar bhi wo jee sakta hai lekin agar koi khud ki hi nazron me gir jaye to us ka jeena mushkil ho jata hai -- wo jeete jee mart jata hai please gulnaaz mujhe meri hi nazron me mat girao --- mujhe maaf kar do bas ek bar maaf kar do please – wo mere samne hath jorte hue bola
_
 horseride  Cheeta    
Like Reply


Messages In This Thread
HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 22-12-2018, 11:28 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 28-02-2019, 08:00 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-05-2019, 05:40 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 17-05-2019, 01:06 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 25-06-2019, 03:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 30-06-2019, 07:23 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-07-2019, 01:30 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 02-08-2019, 03:04 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 03:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 07:48 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 06-09-2022, 12:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 14-09-2022, 12:10 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 18-09-2022, 07:34 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 11-12-2022, 07:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 03-05-2023, 08:12 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 05-05-2023, 07:18 AM



Users browsing this thread: 2 Guest(s)