Thread Rating:
  • 7 Vote(s) - 2.14 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala
Lekinhamare pas mobile to hai nahi – shahnaz ne kaha
Koibat nahi main aa jaunga wahin campus me aur agar aap log jaldi free ho jana tomujeh call kar lena – wo bola
Mujehgusdsa to bahut aa raha tha lekin shahnaaz ki wajah se main kuch bol nahi parahi thi , shaizan ki us harkat ke bad se mujhe us ki surat us ki awaz bilkulbhi achi nahi lag rahi thi – idhar kuch month se shaizan bahut hi behtar andazme baat chit kar raha tha is liye maine university ke silsile me us se baat kithi agar wo pahle ki tarah hi hota to shayad main baat bhi na karti aur us sepahle bhi main yahan aayi lekin mainne us ko apta bhi anhi lagne diya tha us kisab se badi wajah yehi thi , lekin idhar wo apne ko bahut acha pesh kar raha tha aur yakeen karne ki baat bhi karraha tha , lekin us bawajood us ka yeh rawaiya meri samajh se bahar tha is liyemain faisla kar chuki thi ki aaj ke baad shaizan naam ko bhi main lughat ehayat se hata dungi .
Shahnazki wajah se main kisi bhi surat me kisi bat ko tool nahi dena chahti thi isliye main shahnaz se boli thik hai chalolekin fir yahin wapas aana parega aur fir jana hoga is liye waqt bahut zayahoga
Aagebina kuch bole hi main bahar ki taraf chal di aur shahnaz bhi - bahar aate hi shaizan ne door lock kiya aurhum log niche aa gaye .
Nichepahunch kar main lift se bahar nikli shaizan ne jaldi se apni gadi bahar nikali, main us ke mujnh se kuch sunna bhi nahi chahti thi is liye bina kuch kahesune main fauran aage baith gayi aur shahnaz se boli – baithiye jaldi se
Jeebibbi kahte hue wo baith gayi .
Gadicompound se bahar nikal kar sadkon par daurne lagi thi main aage dekh rahi thilekin is ka ahsaas tha ki , jo shaizan kal se bat karte hue Sharma sa raha thaab wo chor nigahon se meri taraf kabhikabhi dekh raha tha , ab nazar milane me bhi sharam aa rahi thi us ko , auraani bhi chahiye , main soch rahi thi ki akhir ye itna badla badla kyun hai –to shayad wo yahi soch raha hoga ki kaise mujh par hath saaf kare – disgusting
Akhirko gadi university ke gate ke bahar roki us ne amin fauran hi utar aayi shahnazbhi utar kar mere pas aa gayi
Mainjar aha hun agar aap log jaldio free ho jaiyega to mujhe call kar liyega warnamain to aaunga hi – wo bola
Mainebina us ki taraf dekhe hi sir hilakar jawab diya aur andar ki taraf chal dii –phone to karna hi parega saman to tere ghar pe rakha hai kameene – mainbarabarayi
Andarpahunch kar main sab se pahle canteen me gayi aur sir ko phone kiya to wo bolemain aa gaya hun aap log kahan hain – maine bataya ki main aa chuki hun
Humlog andar pahunche to wo bole bas kuch der wait kariye aaj aap log bahut sahi waqt par aayi hain - fir b hi kareeb 30 minute ke upar hi wait karna para aurcounselling shuru hone se pahle hi shahnaz ko bula liya gaya maine shahnaz kowish karte hue bhej diya aur khud bahar baith kar us ki kamyabi ki dua karnelagi .
Bahutder ke bad shshnaz wapas aayi usd kodekhte hi maine pucha kya hua – wo bahut khush hote hue boli bahut achabibbi aap ki rani ne yahan bhi jhandegaar diye
Waaahthanks god – maine kahte hue us ko gale laga liya
Lekinbibbi – wo boli
Lekinkya ?
Abhimujhe fir bulaya hai dusre logon ki counselling shru ho gayi hai to ek round kebad muhe bulaya hai tab tak mujhe sochne ke liye thora waqt diya hai – wo boli
Kisbare me sochne ke liye – maine pucha
Sabne mere record dekh kar mujhe wish kiya kafi impress hue sab log lekin mujh se kahrahe hain ki chemistry se behtar hai ki aap botany me MSc Karen botany ke alawaek aur subject root plant science par zyada zor de rahe hain ki is me bahut hizyada scope hai aur is me admition lene walon ki tadad bahut kam hai , wo bol rahen hain ki aap ke liye forestservices me aage bahut acha rahega aap administrative services me agar jatihain , is bare me hi maine kaha ki main kuch der me aap logon ko batati hun –wo boli
Mainbhi sochne lagi aur kuch sochne ke bad maine kaha – dekho study aap ko karnihai aur jo aap ko acha lage jis taraf bahut achi tarah se ruju Karen us ko hiselect Karen main kuch nahi kah sakti is bare me kyun ki study aaj tak aap neapni marzi se kii hai – amine us ko salaah di
Bibbiiii main to chemistry se hi karna chahti hun – wo boli
Mainekaha to thik hai lekin abhi waqt hai to behtar hoga ki hum log madam se bat karlen – main boli
Jeebibbi ye bahut acha rahega – wo boli aur hum log canteen ki taraf chal diyejahan se maine madam ko call kiya aur un ko bataya madam ne shahnaz se baat kifir mujh se kaha ki wahi karne do us koi jo wo karna chahti hai kyun ki yahi uske liye behtar rahega – madam ne kaha
Madamse bat karne ke bad maine shahnaz se kaha ki abhi to yahan der lagegi aur firagar hum log shaizan ke yahan jate hain to bahut der ho jayegi is se behtaryahi hoga ki main us ko phone kar dun ki wo hamara saman yahin pahuncha de takihum log fir yahin se wapas chalen – main boli
Okbibbi ye bhi sahi hai – shahnaz ne jawab diya,
humlog wahin canteen me baithe chai pee rahe the , fir maine shaizan ko phone kiyaaur motad lahje me us ko apni bat kahi , jawab me wo sirf haan thik hai le aata hun kuch der me - yahi bola
patanahi kyun ab mujhe kuch zyada hi dar lagraha tha ki agar amin fir se us ke ghar gayi to wo kahin koi aur harkat na karejo us ne koshish ki ya us se bhi gayi ghuzri giri hui is tarah ke khyal zahan me aa rahe the –shaizan se bat karne ke bad hum logwapas wahin aa gaye .
kuchder baithne ke bad jab 1:10 ho gaya to maine fir se sir se kaha , to wo bolebas ek round mukammal hone wala hai lunch me aap ka kaam ho jayega fir aap ko faraghat aur hua bhi wahi 1:30 bajeshahnaz ko fir se bulaya gaya .
_
 horseride  Cheeta    
Like Reply


Messages In This Thread
HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 22-12-2018, 11:28 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 28-02-2019, 07:58 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-05-2019, 05:40 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 17-05-2019, 01:06 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 25-06-2019, 03:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 30-06-2019, 07:23 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-07-2019, 01:30 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 02-08-2019, 03:04 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 03:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 07:48 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 06-09-2022, 12:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 14-09-2022, 12:10 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 18-09-2022, 07:34 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 11-12-2022, 07:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 03-05-2023, 08:12 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 05-05-2023, 07:18 AM



Users browsing this thread: 4 Guest(s)