Thread Rating:
  • 7 Vote(s) - 2.14 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala
Mujhe pata hai ki us ko kya beemari thi lekin i am sorry main ye aap logn ko nahi bata sakti , kyun ki is baat ko jitney log jante the aaj bhi utne hi log jante hain
Aur mujhe ummeed hai ki aap log is bare me koi sawal nahi karenge
AB age---

Phir harsh wapas aa gaya us ko bahut der tak samjhati rahi main firaunty se milkar un se kaha main ja rahi hun to wo bhi roti hui boli meri beti ho to ati rahna beta
Us par main sab ko makool jawab dete heu wahan se laut aayi
Din beet rahe the jaise taise waqt par kisi ki sardari nahi koi us ko pakar nahi sakta bas wo bhagta hi rahta hai shahnaz bhi ab kaafi had tak normal ho chuki thi lekin fir bhi aisa lag raha tha jais koi mere ghar se hi chala gaya ho
jahan shahnaz apne room me rahti thi aur study karti rahti thi wahi wo ab mujhe chorti nahi thi bas khamosh kamosh har waqt mere hi pas baithi rahti thi agar main kitchen me hotio thi to wo wahan aakar khari ho jati thi to main khud kursi lakar us ko bitha leti thi ‘
Jab bhi puchti thi kya baat hai beta – to uska ek hi jawab hota tha kuch nahi bibbi
Main sochti thi ki chuzi ko hamari zindagi me aaye bahut waqt to nahi hua tha fir bhi wo hamari zindagi ka itna aham hiscsa ban gayi thi ki us ke bina ab sab kuch be rang nazar aa raha tha
Main chuzi ko hatakar apni piche ki zindai ke bare me sochti thi ki jab chuzi nahi thi tab hamari life kaisi thi to fir ab wahi life kyun nahi ban pa rahi kyun main wahi mahaul nahi bana paa rahi hun
Us pichli zindagi me bhi apno ko khone ka bahut bada gham tha pahle maa fir papa aur ab chuzi
Chuzi ke jane ke baad se ab mammi papa ki bhi bahut yaad aati thi aur hota yahi tha ki raat raat bhar na main soti thi aur na hi shahnaz wo rat ko bhi mere hi room me sone lagi thi kyun ki us ko pareshan dekh kar main us ko akela nahi rahne dena chahti thi
Der raat rak wo mere zanu pe sar rakhe hue chup chap leti rahti thi ek raat main uske balon me ungliyan fira rahi thi aur wo mere zanu pe sar rakhe hue leti thi nisef shab ghuzar jane ke bad bhi wo nahi soyi to main boli beta so jaao kya bat hai kuch batati bhi nahi ho kab tak aise hi kahmosh rahogi
Bibbi aap to mujhe chorkar nahi jaogi na – wo boli
Nahi beta main kahan jaungi aur aap aisa kyun soch rahi hain – main boli
Jahan chuzi didi chali gayi – wo boli
Us ki is bat ka mere pas koi jawab nahi tha , fir bhi maine kaha dekho beta wahan se jiska bulawa aa jata hai us ko jana parta hai koi bhi us ko rok nahi sakta ek na ek din sab ko jana hai kaun kab jayega ye koi nahi janta
Wo mujh se lipatti hui boli lekin main aap ke bina rh paungi bibbi aap mat jana – wo boli
Main kahin nahi jane wali hun aur ye sab bekar ki baten soch kar khud ko pareshan mat karo dekho chuzi didi ko bahut pahle se hi pata tha ki us ko kya beemari hai lekin kabhi wo udas nahi rahi zindagi jitni uske haq me thi us ne us ko bahut khushi se jee liya aur tum uske hi gham me udaas ho aur apni zindagi ko bhulkar maut pe tawajjo dekar pareshan ho ye thik nahi hai beta agar tum khush nahi rahogi au raise hi rahogi to chuzi ko bahut dhukh hoga – main boli , ab so jaao aur kuch mat socho sab kuch acha socho – maine kaha
Nind nahi aati hai bibbi – WO boli
Sone ki koshish karo to nind aayegi – main boli
Main uske balon ungliyan firate hue yunhi kuch gunguna rahi thi
 horseride  Cheeta    
Like Reply


Messages In This Thread
HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 22-12-2018, 11:28 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 21-02-2019, 07:33 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-05-2019, 05:40 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 17-05-2019, 01:06 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 25-06-2019, 03:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 30-06-2019, 07:23 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-07-2019, 01:30 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 02-08-2019, 03:04 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 03:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 07:48 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 06-09-2022, 12:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 14-09-2022, 12:10 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 18-09-2022, 07:34 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 11-12-2022, 07:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 03-05-2023, 08:12 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 05-05-2023, 07:18 AM



Users browsing this thread: 3 Guest(s)