Thread Rating:
  • 7 Vote(s) - 2.14 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala
Ab aage ----
Shahnaz chuzi keliye bahut pareshan thi ahista ahista wo normal ho chuki thi 2-3 roz ke badmain fir jab uske ghar gayi to lag hi nah raha tha ki ye wahi ghar hain bas yunmahsoos ho raha tha jaise yahan koi rahta hi nahi hai
Main aunty semili to fauran hi wo mujh se lipat kar rone lagi , aine un ko samjhane kinakkam koshish ki lekin un ka sab se bada dard ye tha ki wo kab se beemar haito wo kyun nahi mar gayi , un ki beti kyun hcali gayi un ko chor kar , aur apniproblem ke chalte wo sirf apne ko hi kos rahi thi ki akhiri waqt wo us ko dekhbhi na saki
Arey hanstekhelte achanak hi us ki tabiyat kharab hui aur wo ghar se gayi aur mar karwapas aayi yahi kah kah kar wo apne dil ki bharas nikal rahi thi
Main bhi be sakhtaro rahi thi kya karti jab kisi chiz par apna vash na ho to insaan kar hi kyasakta hai siwaye rone ke esi ko to bebasi kahte hain
Maine apneshoulder pe kisi ka hath mahsoos kiya to piche dekha mere piche uncle khare huethe
Gulnaaz betasamjhao aunty ko , tum ko to in dono kosamjhana hai jab kit um khud ro rahi ho itni mazboot hokar har tarah ke halaatse larti hui tum aaj khud ro rahi ho – wo bole
Apno ko khoyahai maine pahle mom fir dad ab meri sab se achi dost khone ka gham kya hota haiye mujhe pata hai ye kahte hue main un se lipat kar rone lagi
Nahi beta chupho jaao ek hakeekat hai is ko samajh lo ki hum aaye hain to hum ko jana bhi hailekin kab jana hai ye koi nahi janta aur hamare liye har jane wala achanak hichala jata hai kyun ki hum nahi jante kisi ke jane ka samay kya hai – wo bole
Kuch derkhamoshi rahi main uth kar bahar aa gayi aur munh dhone lagi uncle bhi bahar aagaye the
Harsh kahan haiuncle – maine pucha
Wo bhi aise hihaal me hai pagal sa ho gaya hai kya karun kuch samajh me hi nahi aata – wobole
Hai kahan wo –maine pucha
Wo apne kamre mehai abhi subaha subah hi chuzi ke room me jakar us ki eke k chiz ko dekh dekhkar ro raha tha main khud us ko nahi samjha pa raha hun – wo bole
Uncle ko dekhkar main bahtut hairan thi ki kitna acha natak kar rahe hai normal hone kajabki unki ankhon se jhlakte hue ansunon ko dekh rahi thi , chuzi sab se zyadaun se hi close thi aur wo bhi apni beti par jaan chirakte the kayi din hospital me wo soye nahi aura b pata nahi kikab soyenge ya soyenge bhi ya nahi
Unhone apni betiaur apni sab se achi dost ko ho diya tha jo ki har masle par apni beti seadvise lete the aur koi bhi kaam apni beti ki marzi ke bina nahi karte the lekinapni wife aur apne bête ko samjhane ke liye wo bahut acha natak kar rahe the
Main us room megayi jahan harsh tha , main andar gayi to dekha wo deewar se tika hua zamin pebaitha tha aur us ne apna sir apne ghutno me rakha hua tha main uske pas baithgayi aur apne hath us ke kandhe per aha us ne mujhe is tarah dekha jaise ki uqko meri maujoodgi bahut buri lagi ho lekin mujhe dekhte hi wo mujh se lipat karbilakh bilakh kar rone laga
Maine us palkuch nahi boli bas mere hath us ke sar pe the kafi der tak rote rahne ke bad wochup ho gaya aur khomash baith gaya uncle bhi room me aa gaye the
Yahan kyunbaithe ho – maine pucha
Mujhe yahinbaitha rahne do aap log jaao – wo bola
Kab tak aiserahoge – main boli
 horseride  Cheeta    
Like Reply


Messages In This Thread
HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 22-12-2018, 11:28 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 21-02-2019, 07:28 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-05-2019, 05:40 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 17-05-2019, 01:06 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 25-06-2019, 03:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 30-06-2019, 07:23 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-07-2019, 01:30 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 02-08-2019, 03:04 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 03:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 07:48 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 06-09-2022, 12:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 14-09-2022, 12:10 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 18-09-2022, 07:34 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 11-12-2022, 07:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 03-05-2023, 08:12 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 05-05-2023, 07:18 AM



Users browsing this thread: 6 Guest(s)