Thread Rating:
  • 7 Vote(s) - 2.14 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala
Ye bat mujhe bhibahut lagi maine socha chalo abhi chutiyan hai mama se mil aati hun kyunki mamichal fir nahi sakti thi aur unka sirf ek hi beta baki tha mama bhi bilkul toot chuke the

Khair maine shahnazko bataya aur main uske sath mama ke ghar jane ki taiyari karne lagi Aur main shahnaz ke sath M.P. ke ek badeshahar pahunch gayi

Mama mami humdono ko dekh kar bahut khush hue shahnaz ko unhone bahut pahle dekha tha uskedekhte hi bole arey ye to badi ho gayi hamari bachiyon ko kisi ki nazar na lageye kahte hue mami rone lagi

Mama ne un kosamjahya main bhi nahi chahti thi ki shahnaz kisi bhi tarah se upset ho jayeaur usko ye na mahsoos ho ki koi problem me hum log aa gaye hain

Mama ke bête aurunki bahu se mulaqat hui wo bahut hi cute si larki thi kuch hi der ki bat chitme hi uski hum se kam aur shahnaz se bahut hi zyada dosti ho gayi

Raat ko diner kebad shahnaz so gayi thi main bhi mami ke pas baithi baten kar rahi thi lekinkoi sone ki taiyari nahi ho rahi thi rat ke 12:00 baje mama ki bahu mujh sechai ke liye puchne aayi

To maine mama sepucha abhi koi so nahi raha aap ke yahan wo bole beta ye dono husband wifebahut kaam karte hain humne yahan ye ghar liya aur is me hi log coaching aur computercenter chalate hain der raat tak donokaam karte hain kyun ki ab main bhi kuch nahi kar pata aur tumhari mami to apnepair h kho chuki hain

Mujhe bahut ronaaa raha tha lekin main chup thi

Tabhi mama ke bêteke mobile baja to mama ne dant diya ki rat ko mobile off kar do ab , wo ji papabol kar wahan se bhag gaya

Fir maine mamamami se bat ki unki dastaan sun ne ke baad kaleja munh ko aane laga jab mainsun nahi pa rahi thi to pata nahi unhone kaise sab dekha hoga

Mere mama ke 2aur bhai the inko mila kar 3 bhai the mama ki 2 larkiyan aur 1 larka tha baki 2ki bhi 4 betiya 2 bete the lekin 2002gujraat riot me sab log mare gaye mami ke pair kat gaye mama bhi bahut zakhmihue sab kuch khatam ho gaya

Main yahan parwo sab detail me nahi likhna chahti , bas bach gaya to unka beta jo ki dusrecity me study kar raha tha , kaise fir un logon ki jan bachi aur kaise survivekiya aur gujrat chor kar wo yahan apne bête ke pas aa gaye aur fir yahin rahnelage yahi sab baten main mama mami ke munh se sun rahi thi

Main whan bahutdin tak ruki bahut acha lag raha tha apne bade buzurgon ke sath rahkar lekinapne ghar chorkar wahan nahi rah sakti thi maine mama se kaha ki aap log mereyahan chale aaiye koi bhi to nahi hai sab log sath me rahenge lekin wo nahimane ghairat aur unka bada hona shayad iski wajah thi ya kuch aur main nahijanti

Lekin wahan itnedin rukne ke bad maine sirf itna dekha ek bata hai jo 2 zinda lashon ka bojhutha raha hai jinki rooh to parvaaz kar chuki thi lekin pata nahi kyun jismbaki the

Kya insaan itnabhi gir sakta hai ki wo insaan hokar insaan ke sath intehayi darja wahshiyanasulook kar sakta hai ye sab main un logon ke munh se sun chuki thi

Mere mama mami ko pata nahi mobile se kyu sakht nafratthi unko larkiyon ke hath me khas taur par mobile pasand nahi tha aur unki bahubhi un se chupa kr hi mobile use kartithi , isliye shahnaz ka mobile to off karke maine bag me rakhwa diya tha kyunki usko zarurat nahi thi

Lekin main bhichupa kar hi mobile rakhti thi mere mama mujhe kuch nahi kahte the kyun kiunke hisab se main mobile use kar sakti thi kyun ki main hi apne ghar kimukhiya thi

Lekin fir bhimain bahut khyal rakhti thi , raat ko jab main sone chali to dekha ki bahut semsg the chuzi ke aur shaizan ke chuzi ki to bahut si miss call thi maine uskophone kiya aur bat ki usne pucha ka baa rahi ho to maine bataya ki kal mainyahan se niklungi Aur fir aake mulakat karti hun

Shaizan ko mainekuch msg ra reply diya to uski wahi besuri badtamizi ki baten aur kuch nahi islile maine koi zyada bat nahi ki aur mobile off kar ke so gayi

Next day mainwahan se apne ghar ke liye chal dii aurapne ghar aa gayi
 horseride  Cheeta    
Like Reply


Messages In This Thread
HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 22-12-2018, 11:28 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 20-02-2019, 08:16 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-05-2019, 05:40 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 17-05-2019, 01:06 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 25-06-2019, 03:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 30-06-2019, 07:23 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-07-2019, 01:30 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 02-08-2019, 03:04 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 03:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 07:48 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 06-09-2022, 12:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 14-09-2022, 12:10 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 18-09-2022, 07:34 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 11-12-2022, 07:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 03-05-2023, 08:12 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 05-05-2023, 07:18 AM



Users browsing this thread: 1 Guest(s)