Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Kya Chahtay ho? ( Long Story ) - Copied
#22
3 months later


asma ab ek nayi sirhe se zindagi jeene lagin thi ab woh sab musibato se bilkul free thi naa hi ooski zindagi mein koi tha aur naa hi ab oose kisi darr kaa ahesaas lekin jo sharmindgi oose uthaani pari shayad oosse ab woh puri tarike se tut chuki thi ab oose sirf apne kaam par hi dhyaan tha wo raub wo kisi ko daant dena choti choti baat par uff haaye karna wo ye sab bhul chuki thi

ooski maa ne ooske sar par hath fhaira.....asma ne chauktey huye massum nazaro se maa ko dekha

betaa kyaa huyaa meri beti itni udaas?....maa ne muskurakar sawaal kaha

maa kuch nahin aaj bhi wo din yaad aa jaate hai kaise kya karu main?....asma ke aankho mein aansu aane lage

kyaa baat jo tumhe darraa rahin hai meri beti? sabkuch sahin salamat hai tum safe ho.....maa ne dilaasa dete huye kaha

nahin nahin maa kuch theek nahin hai jab bhi main wo pal yaad karti ho toh naa jaane mujhe kisi ke saath hone se darr kyu lagta hai akele sarak par chalne se main darti hoo wo manzar jo mujhe reh reh kar yaad aata hai kya karu main ooska maa aaphi boliye...asma ke aankhen aansu se bhar jaati hai aur maa ke god mein sar rakh leti hai

betaa jo huyaa oose bure sapne ki tarah bhul jaa haalat par kiska bass chala hai tu yaad rakh ekdin tere zindagi mein koi aisaa aayega jo tujhe kabhi akelapan khauff aur darr tere paas bhatakne nahin degaa

nahin maa mujhe ab kisi se pyaar nahin karna even main kisi se niqaah bhi nahin karungi akele zindagi kaatungi nahin

betaa baat ko samjho oos dushman ka khauf ab tumhare sar se hat chukaa hai woh marr chukaa hai ab woh tumhare zindagi mein waapis nahin aa saktaa

asma ki maa ooske aansu pochtey huye oose bistar par laijaake sulaa deti hai wo ek chote bachche ki tarah sone lagti hai

asma ki maa ye sab haal dekh kar rone lagti hai aur kamre se jaldi nikal jaati hai

wo shaks cigaar khechtaa huyaa sofey par baitha hai ooski nazar asma ke kamre se nikal rahin ooski maa ko ghurti hai wo bhaari awaaz mein kehta hai...ab kaisi hai hamari asma?

ab woh theek hai...asma ki maa oose boltey huye sofey par baithti hai

hmmmm ye toh honaa hi thaa bhala waqt ka kispe zor raha hai aapki beti ko is baat ka gehra sadma lagaa hai aur ho bhi kyu naa ooske sath jo kuch huyaa oose byaan toh kyaa yaad karnaa bhi uffff mere toh rauntey khare ho jaate hai...shaks cigaar ko katore par masalata huyaa bolta hai

aap yahan kab aaye?,.....bas dil kyaa toh chalaa aaya.....theek hi kiyaa aapne ab ooski haalat mein kaafi sudhaar aaya hai naa jaane kis manzar se ghuzari hai meri bachchi oos shaitan ne toh meri beti ko lagbhag maar hi daala tha

aap dariye nahin woh shaitan ab khatam ho chukaa hai hamare kaabil acp yusuf hussain bhi asma ko bachane mein apni jaan lagaa diye....wo shaks commsioner hotaa hai

haan sahin kahaa ek maatr oonki wajah se meri beti aaj zinda hai...itna kehte hi wo rone lagin

arre arre aap roiye mat kuch nahin hogaa asma ke zakhm dheere dheere khatam ho jaayenge logo ka kyaa hai kaun asma par ilzaam lagayegaa...shaks ghurta huyaa kehta hai

udhar asma sone lagti hai wo kaanp rahin hoti hai aur apne jism par haath phairne lagti hai tattoo ke nishaan ab jism se juddh chuke hai jinhey chuttey hi asma sehem jaati hai oose wohi sab waapis dikhne lagtaa hai...hmmm mmm pyaar manga hai tumhi se....wo gaana oose zehan mein yaad aata hai wo cottage wo dard woh katal woh khoon woh torture ooske aankho mein ghumne lagtaa hai asma you are just mine i will kill you aaaaaaaahhhhh woh dhahadhta huyaa aftab ooska woh khaufnak chehra

asma ek dum se cheekh parti hai....aaaaaaaaaahhh..itni zor ki awaaz se asma ki maa aur woh shaks dono ghabraa kar asma ke kamre ki taraf daudhte hai..ky...kya huyaa betaa?......asma ki maa asma ko dekhti hai jo kaanptey huye maa ke seene se lagkar rone lag jati hai......maa woh mujhe maa mujhe maar degaa maa woh maraa nahin wo mujhe maar degaa maar degaa mujhe...beta bas bas kuch nhain hai woh mar chukaa hai betaa kuch nhain huya meri taraf dekho beta mujhe dekho...asma kuch der tak waise hi pagalo ki tarah badhbadhati hai aur fhir ooski aankhen band ho kar wo beshud bistar par behosh ho jaati hai asma ki maa aankho mein aansu liye commsioner ko dekhti hai jo is haalat mein asma ko dekh wohin teher jata hai aur ek gambhir soch mein dub jaata hai

meri bat mainiye aap ooska ilaaz karwaaiye....kya ilaaz?...haan woh darr ooske seene mein dafan ho chuka hai ooska nikalna kaafi zaruri hai agar wo naa niklaa toh mujhe shak hai kahin asma aise hi dar darr ke jeene naa lage

aap aisa mat kahiye meri beti ko kuch nahin ho saktaa lekin logo ne toh kaha thaa ki oosne apne hatho se aftab ko maar daala tha...ji nahin hamari security officer force ka kehnaa hai ki oonhein asma wohin factory mein behosh parii mili aur aftab ke body ko rangaa mein check kiyaa gaya wahan koi nishaan naa mile aur zaahir hai aftab ki body puri tarah gal chuki hongi par main daawe ke saath kehta hoo he is dead...haan mujhe bhi pataa hai meri beti ne khud ooske shareer ko oos khaultey rangaa mein girtey dekhaa tha lekin woh wahan se nikal chuki hai...shayad woh apne aape mein nahin ho oos samay aur khud ko oos haadse nikalne ki koshish mein oosne ye wehem banaa liyaa ho ki oosne oose marte dekhaa,,,,,par main sach keh rahin hoo asma ne khud oose maara hai...ye toh hum aap keh rahe hai wahan kyaa huya kise pata agar sach mein wo maara jaa chukaa hai toh fhir fikar ki bat nahin bas aap asma ka ilaaz karwaaiye itne bare haadse se jhujhna koi choti baat nahin

commsioner munh mein cigaar lagaye wahan se nikal jaata hai..
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Kya Chahtay ho? ( Long Story ) - Copied - by hirarandi - 20-03-2020, 09:11 AM



Users browsing this thread: 1 Guest(s)