Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Kya Chahtay ho? ( Long Story ) - Copied
#19
Asma wo file ko dekhney lagti hai aur oos file ke har panno ko bari gaur se palatey huye dekhti hai asma ki aankhen gehri ho jaati hai aur udhar aftab jeep chalata huyaa gungunaata huyaa suhaaney mausam ka mazaa letey huye aagey badh raha hota hai


Hmmmmmm pyaar manga hai tumhi se naa inkaar karo paas baitho zaraa tum thodha ikraar karo hmmmmmmmmmm mmmmmmmmm
………………….aftab ye gaaney ko bar baar gunganata hai aur asma ke saath har pal ki yaadein ab ooskey zehan mein ghumti hai wok hush hotaa hai aur pagalo ki tarah chilaata hai asssmaaaaaaaaaaa I love you asmmmaaaaaaaaa I really love you hahahahahahahahaa

Pagal sa tha ooska ye diwanapan aur sach mein aaj toh asma bhi oossey haar chuki thi aur aftab toh maano khushi se jhoom raha thaa ……………..asma darling bas ek aur din aur ooskey baad tum aur main haan sirf ye aakhri din ooskey baad hum hamesha ke liye ek ho jaayenge hameshaa hameshaa ke liye……………asma ne wo file bed par rakhtey huye sochney lagi……….dr pathan ye doctor pathan mujhey kahan mil saktey hai nahin nahin agar main oonsey mili toh aftab ko lagegaa ki main ab bhi oosey darrkar ye pyaar ka naatak kar rahi thi aur shayad ooskey saath sachmuch mujhey maarney se nahin kaanpengey lekin ye baat main yusuf hussain tak pahuchaoo kaisey ? meri ek chuk shayad mere saath saath aur logo ki bhi jaan le sakti hai par ab main aur chup nahin baith sakti aftab ke is darindagi ko ab toh ruknaa hi hogaa warnaa mujhey iss zillat aur keher bhari zindagi mein dubnaa paregaa…………….jaanti thi no mobile phones oonsey sab kuch plan ke mutabik kiyaa hai ooska ab bhi mere upar puraa wishwaas nahin hai ab toh sirf ek hi kaam ho saktaa hai iss file ko yusuf hussain tak pahuchana par kaisey ???? main yahan nikal bhi toh nahin sakti ek minute iss ghar ke pichey waaley paar kaafi mittiyaa ko dher hai par sambhalkar ab ye ek chuk meri jaan par bhi aa sakti hai……………..asma ne pichey ke balcony se nichey ki or dekhaa shayad bearish ki wajah se wahan kaafi khichadh faila huyaa tha asma dabey pao waapis aayi aur khidhki se bahar jhaanka wahan koi bhi nahin thaa iska matlab aftab sach mein ab wahan se jaa chukaa thaa asma ne wo file liyaa aur sidhey khidhki se chalaang lagaa di chalang lagtey hi asma mitti mein giri oosney dobara se khidhki ko sataaney ki koshish ki aur khidhki sat gayi asma ke paas ab accha maukaa tha asma ne turant bahar jaakar bhaagi ab wo ghaati ki taraf thi shayad dur dur tak koi ghar bhi nazar nahin aa raha tha har taraf dhundh si thi aur badal bhi chaaye huye they asma ne wohi nighty pehni huyi thi asma ke shareer par bas wo red coat aur kambal thi jab ossey aftab ne pakraa tha toh wohi chutt gayi thi oos puraney cottage mein shayad aftab oosey apney ghar le aaya tha chupaaney ke liye asma ab bhi bhaag rahi thi oosney apney hills utaar kar wohi jhaadiyo mein faik diyaa jissey wo dhikhey naa wo nangey pao hi dusrey raaste nikal aayi asma ne tabhi saamney se aa rahi ek taxi ko rokaa aur oosmein baithkar wahan se nikal gayi oosney apney hatheli se kuch paisey nikaaley jismein 100 rupee thaa asma ne oosey liyaa aur tabhi wo security officer station pahuchi aur apney hatheli ke 100 rupee oos taxi driver ko diye taxi drive ne naa oospar itna gaur kiyaa asma taxi se nikalkar paas hi ek diwaar ke pichey chup gayi ab wo surakshit thi par zyada der tak ke liye nahin agar oosey aftab dekh letaa toh shayad kayamat aa jati lekin oosey apney plan par puraa yakeen tha asma ne chori nazro se yusuf ko idhar udhar dekhney ki koshish ki tabhi oosey ek hawaldaar milaa asma ne apney kambal se khud key chehrey ko dhak rakhaa tha asma ne wo file oos hawaldaar ke haatho mein dekar kaha hawaldaar saaheb aap jald se jald ye file yusuf hussain ko de dijiyegaa pls kisi ke zindagi yaa maut ka sawaal hai plss main oonki madad kar rahi hoo baaki baat wo khud samajh jaayenge

Hawaldaar oosey chauktey huye nazro se dekh raha tha asma wahan se kambhal udhey bhaag gayi hawaldaar oosey roktaa reh gaya aye aye ruko waapis aayo kaun thi yeh aurat ye file zaraa padhta hoo halwadaar ko oos file mein ek kaagaz milaa halwadaar ne wo file apney saath station ke andar le gayaa ……………asma ne apna aadhaa kaam kar diyaa thaa asma ne turant wahan se nangey pao bhaag gayi jaanti thi aftab oosey kabhi bhi pakad sakta hai aftab station aa pahhuchaa aaj ooska mood kuch zyada hi accha thaa halwadaar ne kaha array saaheb aaj bahut khush hai…………haan kyu nahin din tak kaafi suhana hai waisey mr yusuf hussain aaye ki nahin oonkey kehney se pehley hi main duty par aa gaya dil toh nahin tha par kyaa karoo jurm kuch zyada hi badh chukaa hai………wo toh hai………….arrey ye file kaisi hai kharey…………array nahin saaheb wo yusuf ji ki hai main chalta hoo……….accha theek hai jao jao…………aftab ne oos file par itnaa dhyaan nahin diyaa ooskey kareeb se wo file nikal chukaa thaa udhar yusuf hussain ki haalat bhi kaafi kharab thi aur wo tension mein paraa huyaa thaa wo baar baar asma ke kidnapping ke baarey mein soch raha thaa tabhi ooska phone baj uthaa……………….haan kaho kyaa bat hai kya file mili hai theek hai main aata hooo tumney janney ki koshish nahin ki wo aurat kaun thi……………..nahin saaheb wo bhaag chuki thi tab talak………theek hai theek hai main abhi wahan pahuchta hoo tum wohi rehnaa kahin jaana mat aur file par gaur karnaa kahin gum naa ho jaaye………theek hai sir……………ok main pahuchta hoo

Asma bhaagtey huye oosney taxi dobara le li thi aur ghar tak pahuch chuki thi asma ne upar ke nazarey ko dekhaa badalo se bearish ki bund tapakney lagi thi asma ne jhat idhar udhar jhaankaa aur fhir bhaagtey huye mittiyo ke zariye waapis ghar ki or jaaney lagi oosney dobara se mitti par chadhney ki koshish ki par fisal kar waapis zameen ko aa jaati………..oh no ab ye kya balaa hai agar main apney ghar tak nahin pahuchi toh aftab mujhe dhudhntaa huyaa yahan bhi aa saktaa aye ,.' mere saath ye ho kya raha hai asma ne khidhki par jaisey taisey chadh liyaa aur kamrey ke andar parvesh ho gayi asma ne jhat se apnaa ganda coat utaaraa aur oospar dhair saara paani daala oosney apney kambal ko bhi bahut kapro mein daal diyaa tha wo ek sabut bhi nahin chodhnaa chahti thi …………….udhar yusuf hussain security officer station pahuchaa jahan aftab pehley se ooskey cabin mein kharaa thaa……….hello sir……………hello gentleman kaisi tabiyat hai tumahri?........haan sir ab toh much feel better sir waisey ab tak security officer ko koi suraag milaa……….nahin lagtaa hai tum sahin they main bhi pagal ho chukaa hoo ab se main bhi itna tension nahin lungaa waisey tumhey wo juttey ke nishaan kahan miley they………yusuuf ne apnaa cigar jalatey huye aftab ko dekhaa……..no sir wo wohi jhaadiyo mein they shayad chupkar aftab ko wahan tak laakey oosi dardnaak maut ki cheekho ko thodhey der wahan se sunkar wo log chaley gaye…..hmmmm strange very strange waisey asma kaa kuch toh suraag mil hi saktaa hai tum ek kaam karo security officer force ke saath jaakey is sheher ke har jagah pataa karo………..ok sir jaisaa aap kahein……aftab ne pichey palatkar ek muskurahat ke saath wahan se nikal chukaa thaa……yusuf ko oos file ka yaad aaya oosney who file ko haatho mein li aur jaisey ooskey ek panney ko padhaa paani ki tarah sab saaf dikhney lagaa tha yusuf ki aankhen ek baar aur kathor si ho gayi oos file mein aftab ke psycho patien honey ki khabar thi.
Like Reply


Messages In This Thread
RE: Kya Chahtay ho? ( Long Story ) - Copied - by hirarandi - 20-03-2020, 09:08 AM



Users browsing this thread: 2 Guest(s)