Thread Rating:
  • 7 Vote(s) - 2.14 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala
Pahle hum log aaye the us ke muqabil shahar kafi bhara hua lag raha tha pahle itna zyada rush nahi tha shyad is ki ek wajah garmi thi aur us pe summer vacation bhi sahnaz ne apna camera hath me liya hua tha jo wo pichli bar nahi layi thi aur kafi afsos kar rahi thi


Hum log paidal hi chalte hue aage barhe aur shahnaz us shrine ke pas jakar ruki aur wahan ke photo lene lagi ,

hum log us ke andar bhi gaye aur andar dekha to hum log dekhte hi rah gaye bahut hi bada aur ek tareekhi makam tha ye chuzi ka to munh khula ka khula hi rah gaya
wo boli yar main bahut bar is city me aayi hun lekin kabhi is jagah nahi aayi aur bahut si jagah maine yahan dekhi hui hain gulnaaz mere pas word nahi hain kahne ke liye ki kitna acha hai tumhara selection – chuzi ne kaha



Fir hum log yahan k eek bahut famous market gaye aur wahan par bahut der tak ghume aur shoping bhi ki , wahan se hum log ek shoping mall me gaye aur mall culture ko dekha jis market se hum log aa rahe the wahan aur yahan ke nizaam me zameen aasman ka farak tha

hum log wahin ek kinare baithe hue the aur shahnaz photo le rahi thi tabhi shahnaz boli – bibbi wahan chalo jahan par dariya tha aur bahut si boat thi aap morning me gayi thi mujhe lekar – wo boli

Haan haan yad hai mujhe – maine kaha aur chuzi bhi boli chalo yar wahi chalte hain aur hum log wahan se rickshe se wahan pahunch gaye

Us jagah par pahunchte hi chuzi apni dono baho ko failate hue boli wowwww kya jagah hai yar maza aa gaya ,

last time hum log yahan par bahut subah aaye the lekin aaj ye garmi ki ek sham thi aur yahan par bahut bheer bhar thi , zyadatar yahan par premi jode the aur kuch log family ke sath bhi the , shahnaz eke k chiz ki photo le rahi thi


Hum logon ne ek boat hire ki aur dariya ke andar boating ka maza lene lage bahut gram din beet chukka tha aur dariya bhi ab madham madham rafter se bah raha tha sham ki hawa pani ek sath milkar jism ke sath sath rooh tak ko taskeen de rahi thi


hum log yunhi dariya me kashti par sawar the aur bahut door tak ghoom aaye the , tareeki ki chadar liye raat sar pe kahri ho gayi thi aur charon taraf light jal chuki thi aur dariye ke andar se wo nazara bahut hi shandar tha lekin ye nazare hum log dekh kar khush ho rahe the lekin wo khoobsurat nazare shahnaz ke camera me hamesha ke liye qaid ho chuke the.
_
 horseride  Cheeta    
Like Reply


Messages In This Thread
HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 22-12-2018, 11:28 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 09-02-2019, 07:14 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-05-2019, 05:40 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 17-05-2019, 01:06 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 25-06-2019, 03:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 30-06-2019, 07:23 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-07-2019, 01:30 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 02-08-2019, 03:04 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 03:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 07:48 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 06-09-2022, 12:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 14-09-2022, 12:10 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 18-09-2022, 07:34 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 11-12-2022, 07:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 03-05-2023, 08:12 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 05-05-2023, 07:18 AM



Users browsing this thread: 2 Guest(s)