Thread Rating:
  • 7 Vote(s) - 2.14 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Adultery HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala
Tuesday 21 March 06


Subah main jaldi hi uth gayi

aur sab se pahle nahakar maine prayer ki aur shahnaz ko dekha to wo so rahi thi aur seema bhi so rahi thi

Maine chai banayi aur cup lekar sofe pe baith gayi subah ka waqt tha

aaj ka bahut hi bada din hai hum logon ke liye us pe shahnaz ki birthday meri duniya meri khushiyan sirf shahnaz

Aur aaj us ka birthday mujhe apne mammi papa ki bahut yaad aa rahi thi aur khas kar mom ki to bahut hi zyada aisa lag raha tha

jaise mom aaj ghar me a gayi ho aur dekh rahi ho ki main kya kar rahi hun unki beti ki khushi ke liye

Aur mom ki yadon me doob kar meri ankhen bhar aayi khayalon me khokar pata nahi kitni der tak main mom se baten karti rahi

Cup me rakhi hui chai kab ki thandi ho chuki thi mujhe nahi pata main kahin khyalon me doobi hui thi tabhi ek awaz par main khayalon ke daire ko tor kar bahar aayi

Didi kya hua aap thik to ho mainkab se aap ko aaz de rahi hun aur aap ki chai bhi rakhi hui thandi ho gayi – samne seema khari mujh se kah rahi thi

Kuch nahi beta bas zara sa – main boli

Kya hua didi wo mere ghutno pe hath rakh kar baith te hue boli

Kuch nahi seema bas zara maa ki yaad aa rahi thi – main boli

Didi aap ko apni mammi ki bahut yad aati hai na – wo boli

Haaan maine nam ankhon se jawab diya

Mujhe bhi apne papa ki bahut yad aati hai

kabhi dekha hi nahi lekin jab bhi kisi bache ko apne baap ka hath pakre hue dekhti

hun to – itna bolte hue uska gala bhar aaya aur awaz us ke munh me hi rah gayi

Uske sir ko apni jangon pe rakhte hue main uske balon me ungliyan firane lagi wo chup thi lekin uske ansu meri jangon k geela kar rahe the

Pata nahi beta aisa kyun hota hai ye to main bhi nahi janti lekin ye upar wala hai na ye har tarah se hamare imtehan leta rahta hai aur kuch nahi

Ab shayad hum logon ki yahi kismet hai chaho to ye hi samajh loo lekin ek taraf hum sab log ye bhi kahte hain

ki wo kuch ghalat nahi karta ab ho sakta hai ki in sab ke piche uski koi aur marzi ho jo hum aur tum nahi jante

Aur is tarah ke imtehano ke zariye hi wo hum logon ko kayi jahag pe apne aap me mazboot hone shakti bhi deta hai

aur humare andar ek vishwas bhi paida karta hai aur tum kyun pareshan hoti ho

tumhare sath tumhari maa hain na unhone ne tum ko koi kami nahi hone dii

khud mehnat karke tum ko kitna aage barhaya hai koi ho na ho lekin hum log ek dusre ke sath to hain na

aur wo upar wala hamesha hamare sath hai – main seema se kah rahi thi aur wo usi tarah apne sar meri janghon pe rahe hue baithi thi

Ab utho aur taiyar ho jaao chuzi bhi aane wali hogi – maine ne kaha

Main chai banaun – wo uthte hue boli

Haan le aao fir princes ko jagati hun – main boli is pew o hansti hue chali gayi aur main sema ke bare me sochne lagi

Garam Garam chai garam garam chai bolti hui seema chai lekar aa gayi aur hum dono baith kar chai pene lage

Didi kya karna hai ye batao – wo chai khatm karte hue boli

Kuch nahi – main boli

Kyun – wo munh banakar boli

Kyunki sare kaam ho rahe hain aap ab uthi hain bahar jake dekhiye sab log apne kam me lage hue hain

sab intezam ho raha hai bas tum taiya ho jao abhi chuzi aati hogi to decoration wo apne hisab se karayegi - maine kha

thik hai didi – kahte hue seema room me chali gayi



 horseride  Cheeta    
Like Reply


Messages In This Thread
HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 22-12-2018, 11:28 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by sarit11 - 22-01-2019, 08:55 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-05-2019, 05:40 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 17-05-2019, 01:06 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 25-06-2019, 03:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 30-06-2019, 07:23 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 07-07-2019, 01:30 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by RajAg - 02-08-2019, 03:04 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 03:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 04-09-2022, 07:48 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 06-09-2022, 12:47 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 14-09-2022, 12:10 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 18-09-2022, 07:34 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 11-12-2022, 07:29 PM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 03-05-2023, 08:12 AM
RE: HUA KUCH AISA by Gulnaaz_banatwala - by Lovly - 05-05-2023, 07:18 AM



Users browsing this thread: 11 Guest(s)