21-11-2019, 09:19 AM
(This post was last modified: 21-11-2019, 09:19 AM by monikat. Edited 1 time in total. Edited 1 time in total.)
"bhai, ye Taashipur kon si bus jaayegi?" pratap ne paas me khade ek nav-yuvak se pucha. Us nav-yuvak ne pahle to pratap ko upar se neeche tak ghura phir paas me khadi ek bus ki taraf ishaara kar diya. Pratap ne apna beg uthaya aur bus ki taraf chal diya. Bus lagbhag khali hi thi. Pratap ek window seat par baith gaya.
.
Pichle do dino se ghar me chal rahe drama aur emotional atyachaar ka repeat pratap ke dimaag me ghumne laga.
.
Pratap delhi ki ek multi-national company me project manager tha. Kal hi pratap 15 din ki chutti lekar ghar aaya tha. Kaaran tha maa ki kharab tabiyat. Pratap jaise hi ghar pahucha to usne paya ki pita ji drawing room me baithe aaloo ke paraatho ka aanand le rahe hai. "pita ji, maa kaha hai?" pita shree ko yu paraathe khata dekh pratap ne hairaani se pucha. Paraathe kuch jyada hi swadisht the shayad kyuki pita jee ne bina kuch bole hi kitchen ki taraf ungali ghuma di. Pratap jab kitchen me pahucha to ek baar phir hairaan ho gaya. Maa bahut khushi se aaloo ke paraathe bana rahi thi. Thodi der to pratap asamanjas (duvidha) me raha ke aakhir ye maajra kya hai? "maa.........." is se pahle ki pratap kuch puch pata maa ne aaloo ke paraatho se bhari plate uske haath me thama di. Pratap chupchaap wo plate le kar pita ji ke bagal me aakar baith gaya. Ab tak saari kaahani pratap ko samajh aa gayi thi. Maa ne ek baar phir jhutha bahaana bana kar pratap ko ghar bulaya tha. "pita jee mai aap logo ko pahle hi bata chuka hu ke mujhe shaadi nahi karni lekin phir bhi aap log maante kyu nahi?" pratap ne pita ji se kaha. Is se pahle ki pita ji kuch jawab dete maa waha pahuch gayi- "chup kar ke paraathe kha verna ek thappad padega to saari hoshiyaari dhari rah jaayegi". Maa ke is counter-attack ke jawab me pratap sirf itna hi bol paya "lekin maa aapko to maloom hai saari baat!" "ha ha maloom hai hume sab, tujhe shaadi nahi karni to mat kar, teri marji lekin kabhi shakal dekhi hai apni aaine me? Jab tu yaha se gaya tha to laal tamatar jaise chehra tha tera aur ab din raat kaam kar kar ke pichke hue kele jaise dikhne laga hai." maa aaj turant hi jawab diya. Iske baad pure din ke drama aur emotional atyachar ke baad aakhir-kaar maa-pita ji ne pratap ko pita ji ke bachpan ke dost major ram singh ke yaha "taasipur" me apni chuttiya bitaane ke liye raaji kar hi liya.